"Masha Allah Umar aap ne to kafi acchi 'Ar Rahman' ke calligraphy kiya hai.Bohot khubsurat hai.Allah aap ki hunar mein aur barkat ada kare."
A kid named Umar said;
"Yeh aap ke liye mere taraf se thank you gift tha baji.Aap ne mujhe sab se pehle Quran ka talim diya tha.You are the first quran teacher of mine.Yaha se jane ke baad mein aap ko bohot miss karunga."
Meerab soften his face and said;
"Sheher se jane ke baad hume bhul maat jana.Aur humesha apni namaz ki paband rehna beta.Apni waldain se tamiz aur tehzib se pesh aana.Allah Quran mein farmate hai-Tumhare Rab ne tumhe hukm diya hai tum unke siwa kisi ke bhi ibadat nahi karo aur waldain ke sath husn sulook karo."
She paused and said;
"Jannat kaha hai beta?"
Umar replied;
"Ammi ki pero tale."
"Masha Allah.Allah ke aman mein rahe.Allah aap ko deen ki khidmatgar banai."
Umar said 'Ameen' and taking bids from her.
"Don't you think you are different than others?"
Meerab heard Murtasim's voice and turned her head.She asked him;
"Mein samjhi nahi aap kehna kya chahte hai?"
He said;
"Maine apni zindegi mein tumhari umar ke bohot ladkiyan dekha hai.They are more concerned about their career study and success.Ek tum ho graduation Islamic studies mein kiya hai.Bacchon ko quran parati ho.Humesha khud ko chupake rakhti hu jab ke ladkiyan chahte use log dekhe uske husn ki tarif kare.You know something Mujhe na tum is duniya mein ek stranger jaise lagti ho.Because I never seen someone like you."
Meerab said while lowering her gaze.
"Aap ke nazar mein jo mein ek stranger hu isko arabic mein 'guraba' kehte hai.Hadis mein aaya hai "Islam began as a something strange and it will return to being strange, so blessed are the strangers."
Meerab pauses and says;
"Mujhe is fani duniya mein qamiyabi nahi chahiye is liye mein doulat shohrat aur kamiyabi ke piche nahi bhagti.Mustakbil Allah ke hath mein.Mein Allah par tawakkul karti hu.Is liye dil mein beichaini nahi hai mujhe aur qamiyabi chahiye doulat chahiye etc etc.Mujhe us zaat pe yakin jo har haal mein mujhe samhal lega.Agar zindegi mein kuch bura waqt aa bhi jai to mein Allah se dua karungi aur sabr ke rassi ko jor se pakrungi.Beshaq Allah sabr karnewalo ke sath hai."
Murtasim listening her words and said;
"Qamiyabi kya hai tumhare liye?"
"Wa Mai Yuti'il Laaha Wa Rasoolahoo Wa Yakhshal Laaha Wa Yattaqhi Fa Ulaaa'ika Humul Faaa'izoon-Aur jo log Allah aur uske Rasool ke farmabardari kare,Allah se dare aur uske na farmani se bache wohi log kamiyab hai.You know what mein kab samjhungi meri zindegi qamiyab ho gayi hai?"
Murtasim narrowed his eyes and asked;
"Kab?"
"Jab Allah kahenge ja mere bande maine teri sari gunaho ke maf kar diya.Mere diye gaye Jannat mein dakhil ho ja.Aur Jannat to ek aisi khubsurat jaga hai jiske khubsurti aisa hai jo kisi ankhon ne kabhi tasavvur bhi nahi kiya hai.Jaha sukoon hai aur khushiyan hau.Waha ki zindegi jo kabhi khatam nahi hoga.Meri zindegi to bematlab ho jayegi agar mein jahannum mein dakhil ho gayi to.Allah hume jahannam ki aag se mehfoz kare aur hume jannat mein dakhil hone ki taufik aada kare."
__________________________________
Murtasin laying down on his bed and pondering the words of Meerab.He thinks to himself;
"Maine humesha khud ko ek qamiyab insaan samjha.I'm one of top businessmen in the country.Kya mein kamiyab hu?Agar Meerab ki baton ke mutabek socho to bilkul nahi.Maine kabhi Allah aur Rasool ki farma bardari nahi ki.Kabhi halal aur haram mein fark nahi kiya.Maine to shayed bachpan ke baad kabhi sajdah bhi nahi kiya hoga.Is kamiyabi aur shohrat ke piche mein zindegi bhar bhaga kya woh hakiki mein qamiyabi hai bhi ya nahi?"
Right than Murtasim gets a call and said;
"Bhej diya tumne.Ok I will check my email."
__________________________________
Murtasim comes to his grandfather and says;
"Dadajaan mere liye yeh email par denge please.Mujhe urdu parne mein bohot masala hota hai.I want to make sure yeh email na samajne ke wajah se mujhe koi masla na ho in future."
His grandfather read the email and handover to his mobile.Murtasim about get up from the place but his grandfather stop him and said;
"Beitho beta."
Murtasim sit and his grandfather say;
"Ek lafz ko thik se na janne ke wajah se pareshan huye tum.Kahi is mein kuch aisa na ho jai jise tumhe mustakbil mein koi masla ho.Kya yehi beichani quran ko janne mein karte ho?"
Murtasim looks at him and he continues saying;
"Allah ne hum musolmano ko tohfe ke tor pe ek kitab diya hai aur woh hai quran.Quran ek aisi kitab hai jis mein shak ki koi gunjaish nahi hai.Waha pe likha ek ek harf sach hai.Waha pe likha hai kaise zindegi ko jiya jata hai.Kaise Allah aur uske Rasool ki farma bardari kiya jata hai.Haram aur Halal ke bich farak sikhaya hai.Jannat aur Janannum ka tafsil hai.Aise bohot sare chij e hai agar woh hum mane to akhir mein ghar humara jannat hoga.Lekin afsos hum is khubsurat kitab ko khul ke nahi dekhte.Uske khubsurti mein khone jane ki toufik Allah ne hume ada nahi ki.Zindegi guzar jati hai lekin humare pas fursat hi nahi hoti ke hum yeh kitab khule aur janne ki kosish kare Allah ne humare liye kya rakha hai usme."
He paused some while and said;
"Aaj kaal jo hume dekhna pasand hai aur uske lafz samaj nahi aate to subtitles se dekh lete hai.Jis ka lafz samaj nahi aata google translate kar lete hai.Kya yehi chij jab quran pe aata hai hum use janne ke liye kuch bhi nahi karte.Zindegi guzar jata hai lekin kabhi jan hi nahi pate what kind of message Allah put on here.Allah hume quran mein bataya hai hum masfare quran se lee lekin afsos hum har jaga se mashfare lete hai siwai quran ke.Aur jab ehsas hota hai ke zindegi mein kabhi Quran ko khul ke bhi nahi dekha to us waqt duniya se ruksat hone ka waqt ho jata hai.Us waqt siwai afsos ki aur kuch nahi bachta."
Jahangir khan sigh.
__________________________________
YOUR FEEDBACK WILL APPRECIATED
KEEP VOTING 🙏
YOU ARE READING
𝙍𝘼𝘼𝙃 𝙀 𝙄𝙎𝙃𝙌:𝘼 𝙎𝙋𝙄𝙍𝙄𝙏𝙐𝘼𝙇 𝙅𝙊𝙐𝙍𝙉𝙀𝙔
Fanfiction𝙎𝙩𝙤𝙧𝙮 𝙖𝙗𝙤𝙪𝙩 𝙖 𝙟𝙤𝙪𝙧𝙣𝙚𝙮 𝙩𝙤 𝙛𝙞𝙣𝙙 𝙩𝙝𝙚 𝙥𝙖𝙩𝙝 𝙤𝙛 𝘼𝙡𝙡𝙖𝙝.