6

573 111 49
                                    

Murtasim laying down on the bed and pondering what Meerab said to him.

"Kuch bhi nahi.Bas sacche dil se ansu baha kar Allah ke aage apni kiye gaye harqat ke mafi mangni hoti hai.Allah ko apni bande ke ankhon mein ansu jo khulus dil se nikalta ho woh bohot pasand hai.Allah ke pas lautne ke liye intezamat ki jarorat nahi hoti nahi jarorat hoti hai kisu kisam ki tam jham ki.Kyun ki woh taube ke darwaza humesha apni bando ke liye khul ke rakhta hai."

Murtasim said to himself;

"Kya Allah mujhe maf karenge.Aisa koi gunah shayed nahi hai jo maine kiya nahi.Haram khana ho ya haram rishtan sab mein kar chuka hu.Kya mein Allah se mafi ke haqdar hu.Lekin Meerab ne to kaha hai sacche dil se mafi mango to Allah maf kar deta hai.Mujhe bhi mafi mangni chahiye aur tauba karna chahiye apne sare gunaho ke liye."

Then something comes to his mind,it's seems like someone whispering to his ears.

"Mafi mangne ke liye pura zindegi hai.Aur tumne itna bara kuch bhi kiya nahi jo tauba kaena pare.Jawani ke din ke lutf uthao aur burape mein hajj karke sare gunaho ke mafi manglena.Waqt nikal to nahi ja raha.Enjoy your youth day."

Murtasim agree with this whispering words and said to himself.

"Tauba karne ke liye puri zindegi hai mere pas.Bad mein tauba bhi kar lunga aur mafi bhi.Ab is waqt ko enjoy karte hai."

__________________________________

" Kullu nafsin zaaa'iqatul mawt; wa innamaa tuwaffawna ujoorakum Yawmal Qiyaamati faman zuhziha 'anin Naari wa udkhilal Jannata faqad faaz; wa mal hayaatud dunyaaa illaa mataa'ul ghuroor-Har jaan ko maut ka zaika chakhna hai aur tumhare badle to qayamat mein pura kiya jayega.Jise jahannam ki aag se bacha kar jannat mein dakhil kiya jayega woh yakinan galib hai.Duniya ki zindegi to mehej dhoke ka saman hai."

Someone recite this verse of Quran in Murtasim's dream.He immediately get up and didn't feel like he had a dream but feel like someone recited near his ears.

"Har jaan ko maut ka zaika chakhna hai."

This line again and again ringing in his ears.

Then suddenly he remembered the words Meerab told him first day at their meeting.

"Shaitan is tarha se logo ko bhatka ta hai ke enjoy your youth day kyun Ki religious hone ke liye pura zindegi baki hai.You know what yeh jo zindegi hai na iska koi gurranty nahi hota.Maut mohlat nahi deta.Kab kaha expires hone ka ticket kat jai pata hi nahi chalta.Phir jab use Allah ke samne pesh karte hai aur apne amlo ka hisab liya jata hai to kehta hai Ya Allah mera koi kasur nahi maine jo kiya shaitan ki bharkave mein aake kiya.Aur shaitan kahega tumne wohi kiya jo tumhare nafs chahta hai is mein mera koi kusur nahi.Is liye mein chahti jab is duniya se ruksat hoke jab Allah ke samne jau to ruswa na hu.Mein apni jawani apne nafs ke nahi balki apni rab ki ibadat mein guzarna chahti hu.Taki akhir mein meri manzil jannat ho."

Murtasim takes frequent breaths and said;

"Meerab sahi thi shaitan bilkul isi tarha hume bharkata hai ke jawani ke maza uthao tauba karne ke liye puri zindegi pari hai.Lekin Allah kehta hai har jaan ko maut ke zaika chakhna hai aur maut ek aisi sacchai hai jise muh nahi mura jata.Woh kabhi bhi kisi bhi waqt aa sakta hai.Ya Allah agar aab mere samne maut aa jai to mera kya hoga.Kaise samna karunga apne rab ka.Kis neki ke badle woh mera gunaho ko bakshega jab ke kisi neki se mera pura hath khali hai.Aab mein kya karu?"

"Allah ke pas lautne ke liye tham jham ki jarorat nahi hoti balki jarorat hoti hai apni ankhon se nikle ansu ke jo aur sacche dil se mafi ki."

Murtasim recalled this word and left the bed and goes to washroom.He somehow make wudu which he learnt in his childhood from his father.He used to visit mosque with his father.But in his teenage days he turned away from Allah after the death of his parents and lead his life by his will.

__________________________________

Meerab wakes up middle of the night to pray tahajjud.Suddenly she heard someone crying voice.She comes out from her room and sees Murtasim raising his hand to make dua in the corner of their living room.She comes near him and heard how he pleaded infront of Allah and seeks forgiveness from him.

Murtasim feels Meerab presence and asked;

"Tumne kaha tha Allah ke taraf lautne ke liye sirf ankhon se nikla ansu ke jarorat hai.Maine ansu girai unke age girgirai aur apni tamam gunaho ke mafi bhi manga.Kya woh mujhe maf kar denge?"

Meerab takes out the Quran from the shelves and open it.

"Pata hai Allah Surah Az Zumar mein kiya kaha?

Murtasim asked;

"Kya?"

"Aye mere bando jinhone khud pe gunah karke zulm kiya.Allah ke rehmat se mayus maat ho.Kyun ki Allah beshak tamam gunaho ko baksh deta hai."

Murtasim finds hoping to her words and said;

"Bando ka kam hai apni malik se mafi mangna aur jo rehem dil malik hai na humara uska pasandida kam hai apne bande ko maf karna.Apne apni ankhon se ansu girai.Allah ke age mafi mangi apni tamam gunaho ki.Aap ne tauba ki beshak woh aap ko maf kar denge.Allah behad khush hote hai jab uske bande unke taraf laut aate hai.Ummed hai aur yakin bhi Allah bhi is waqt aap ke taube pe bohot khush huye honge."

Murtasim wipe his tears by his hand and said;

"Shukar ada karta hu har woh ek chij ka jisne mujhe apni rab ke taraf lautaya ho.Mujhe bhatke huye raste se hidayat ka raah dikhaya.Andheron se ujala ke aur lee aye.Apni zindegi ka maksad yaad dila di.Aab Allah mujhe is sidhe raste mein humesha kayem rakhe aur kabhi bhatke huye raste mein tanha na chore."

Meerab smiles and said to herself;

"Beshak hidayet dene ka ikhtiyar sirf Allah ko hai.Kab kaise kis ka dil badal jaye pata hi nahi chalta.Aur jo ek bar Allah se mile hidayat ka lutf uthaya ho woh hi sirf iski mithas ko janta hai.Allah sab ko sahi raste chalne ki hidayat aata kare."

__________________________________

Murtasim returning to Karachi.Meerab come to him and give him a calligraphy and say;

"Aap ke liye ek chota sa tohfa.Is calligraphy pe likha hai "Ihdinas Siratal Mustaqim" yani ki Allah hume humesha sidha rasta dikhai.Jab bhi shaitan aap ko dhoka dena chahe to yeh yaad karlena.Allah ap ko sidha rasta jarur dekhainge aur bhatke huye raste jo shaitan dikhata ho usse dur rakhenge."

Murtasim lower his gaze and said,

"Yeh mere liye bohot jarurat ke tohfe hai.Shukriya Meerab.Har ek chij ke liye tumhari kahi huye har lafzon ne mera nazariya badal diya.Jo dhoke ki zindegi mein ji raha tha use bahar nikal saka aur ehsas huya yaha ke zindegi ko mahej ek dhoka hai manjil to humari jannat hai.Allah aap ko zaza e khair de."

"Shukriya.Nanajaan se sunke bari huye hu humesha logo ko khubsurat alfaz mein nasihat karte rehna chahiye.Kab kis ka dil badal jai kya pata.Beshak hidayet ke ikhtiyar sirf Allah ke pas hai.Allah ne jo mujhe yeh wasila banai uske liye unka shukriya."

Murtasim takes a deep breath and says;

"Allah hafiz.Agar Allah ne chaha to hum milenge dubara.Tab tak dua karna Allah ne mujhe jis rah dekhai usme mein datke chal saku."

"Insha Allah jarur chal payenge.Allah se yeh dua humesha karte rehna "Ae dilo ko tabdil karnewala mera rab hume hidayet ke raah dikha kar phir kabhi gumrah maat karna.Aur apne taraf se hume rehmat aata farma.Beshak aap hi aata karnewala hai."

__________________________________

Your feedback will be appreciated

Keep voting 🙏

𝙍𝘼𝘼𝙃 𝙀 𝙄𝙎𝙃𝙌:𝘼 𝙎𝙋𝙄𝙍𝙄𝙏𝙐𝘼𝙇 𝙅𝙊𝙐𝙍𝙉𝙀𝙔Where stories live. Discover now