Meerab friend Naaz visiting her home and Meerab said;
"As Salamu Alaikum.Kaisi ho?"
She smiles and says;
"Walaikum As Salam.Bilkul thik hu."
Naaz looked at the outside through the window and asked;
"Yeh naya banda kon hai?"
Meerab comes there and sees Murtasim is sitting in the chair and scrolling his phone.
Meerab replies;
"Cousin hai mera.Mamu ka beta hai."
Naaz looks at him and says;
"Wow he is so handsome.Mera to dil aa raha hai."
"Astagfirullah kaise baat karte ho Naaz.Kisi na mahram ke bare mein koi aisa baat karta hai.Aau yaha se."
Meerab make her sit on the bed and said;
"Kitni dafa samjhaya hai apni nazar ka hifazat karo.Aisa na ho kaal roz qiyamat mein yehi ankhen humari khilaf bayani de ke hum kis nazar se na mehram se dekhte hai.Yaad hai na Allah ne hume kiya hukm diya hai Quran mein.
Naaz looks at her and Meerab said;
"Surah Noor mein aaya hai-Aur momin aurat se kehdo apni nighahen nichi rakhe.Yeh ayat pehle mard pe lazmi hota hai phir aurat pe.Allah mard aur aurat dono ko hi hukm diya hai apni nigahen ki hifazat karne ke liye.Hume aisa kuch aise nighahon se dekhna nahi chahiye jo kaal humare hi khilaf bayan kar sakta hai.Yeh jo humara jism hai na jise lekar hume bohot fakhar hota hai.Sach kahu yeh jism ke ek hisse bhi humare apne nahi hai.Roz hashr mein Allah inhe bhi izazat denge baat karne ke liye.Neki karoge to tumhare haq mein gawai denge aur gunah karoge to khilaf.Dekha jai Allah ke ilawa koi apna nahi hai is jahan mein.Allah chahe to humare samandar jaise gunha bhi maf kar sakte hai.Mujhe pata hai aur yakin bhi hai Allah meherban hai woh maf karna pasand karta hai aur apne bande ko maf kar deta hai."
Naaz listening to her words.Meerab continually says;
"Tum humesha kehte ho na tumhe humare Nabi Hazrat Muhammad (SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM) ki tarha hi ek sharik e hayat chahiye."
Naaz nodded her head.
"Agar zindegi mein Muhammad chahiye ho to tum pehle Khadija bano.Kyun ki Allah Khadija ke zindegi mein hi Muhammad ko bheja tha."
Naaz sighed and said;
"Meerab pata nahi maine apni zindegi mein konsa neki kiya tha jo Allah ne tumhe dost bana kar bheja.Kitni khubsurati se tum sab kuch samjhate ho.Allah tumhari ilm mein izafa de."
Meerab smiles and says;
"Tum meri behtarin dost ho.Allah ne jaise duniya mein hume dost banaya hai dua karunga jannat mein bhi hum aise dost ban kar rahe.Allah hume phir ek baar jannat mein mulakat karai."
"Ameen."
Naaz said this.
__________________________________
Murtasim roaming around in the road.Suddenly he sees a vegetable seller praying Salah in the corner.He goes to him and that man just complete his Salah and says;
"Kuch chahiye aap ko saab?"
"Sabji ko aise khula chor ke aap namaz parne lag gaye.Koi aake le jata to."
"Hifazat ke malik Allah hai saab.Log beshak mere chij churake le ja sakta hai lekin mere rizk nahi chin payega.Woh to Allah deta hai.Aur maine apni chij o ko Allah ke aman mein chor ke hi namaz parne jata hu.Jo Allah pe bharosa karta hai uske liye Allah hi kafi hota hai."
Murtasim observed his condition and said,
"Is dhop mein khare hoke aap sabji bech rahe rahe.Aur juban pe Allah ka naam.Aap ko shikayet nahi hota unse ke aap ke halat thora sa behtar kyun nahi hai."
That man smiles and says;
"Allah ne Quran mein farmaya Hum yakinan tumhe azmayenge kabhi bhuk se kabhi khauf se to kabhi jaan ki to kabhi daulat ki nuksaan se.Lekin sabr karnewalo ko khushkhabri sunao jo kehta hai jab us par koi azmaish aata hai beshak hum Allah ke taraf se aaye hai aur lautna bhi hume unke taraf hai."
That man sighed and said;
"Yeh duniya fani hai saab.Yaha hume azmane ke liye hi bheja gaya hai.Agar azmaish mein hum qamiyab ho gaye hai manzil humari jannat hogi.Waha yeh garibi yeh dhop nahi hoga.Sirf sukoon hoga."
Murtasim looks at him and he says;
"Aap keh rahe the na mujhe apni halat ke liye Allah se shikayet hota hai ya nahi?"
"Ha."
"Jab bhi shaitan ki bhehtave mein aake mere dil mein yeh sawal uthta hai ya Allah mere halat mein thora sa behtari to la sakta tha.Kitna pukarta hu mein tujhe.Lekin tab dil se aur ek awaz aata hai itna gunahe ke wayozod Allah ne tujhse tera sanse nahi china.Rizk nahi china.Rehne ke liye sar ke upar chad nahi china.Sajdah karne ke taufik nahi china aur tu us rab ke aage shikayet karta hai.Phir mein apni harqat pe sharminda hota hu aur apni rab ka shukriya aada karne lag jata hu.Sach mein itna neimat to diya hai to shikayet kaisa.Dua rahegi saab Allah mujhse sab chin le lekin kabhi unke aage sajdah karne ka taufik na chine.Agar woh chin jai to mein tabaho barbad ho jaunga."
Murtasim pondering his words and thinks to himself;
"Itni renowned university mein graduation karnewalo ko zindegi ka sabak ek vegetable seller se mila hai.Jo kabhi school bhi gaya bhi nahi kya pata.Lekin uske pas woh hai jo Business tycoon Murtasim khan ke pas nahi.Deen ki ilm."
__________________________________
Meerab is making tea in the kitchen.Murtasim clear his throat and said;
"Ek sawal puchna tha jawab doge."
"Ji bole."
"Dil mein beichaini hai.Sukoon nahi mil raha.Tum to humesha pur sukoon rehte ho.Mujhe bataoge sukoon kaha se late ho."
Meerab replied;
"Allah se.Jab bhi mein pareshan hoti hu.Mujhe beichaini hoti hai to mein turand Allah se apni masle ka bayan karti hu.Aap yakin nahi karenge Allah se sari kehfiyat bayan karne ke baad mein pur sukoon ho jati hu.Aisa lagta hai Allah ne meri sun li aur mujhe dilasa de rahe hai mere masle ko woh samhal lenge."
"Kya Allah sunta hai hume?"
"Bilkul sunta hai.Maine mehsos kiya hai Allah bohot gor se sunta hai hume.Humare duyan qubool farmata hai.Humare liye waha se wasila banate hai jo humare guman mein bhi nahi tha.Allah humare bohot karib hai.Woh janta hai humare dil ki hulchal.Phir bhi chahta hai banda usse kahe apni pareshani aur sirf usse hi madad mange.Kyun ki woh bande ki dua o pasand karta hai."
Murtasim words are stuck in the throat.He somehow asked;
"Agar koi Allah ke pas lautna chahta ho to kya karna chahiye.Jisne apni zindegi mein sirf gunah kiya ho."
"Kuch bhi nahi.Bas sacche dil se ansu baha kar Allah ke aage apni kiye gaye harqat ke mafi mangni hoti hai.Allah ko apni bande ke ankhon mein ansu jo khulus dil se nikalta ho woh bohot pasand hai.Allah ke pas lautne ke liye intezamat ki jarorat nahi hoti nahi jarorat hoti hai kisu kisam ki tam jham ki.Kyun ki woh taube ke darwaza humesha apni bando ke liye khul ke rakhta hai."
Murtasim left from there.Meerab turned around her head and sees his departure.
__________________________________
Your feedback will be appreciated
Keep voting 🙏
YOU ARE READING
𝙍𝘼𝘼𝙃 𝙀 𝙄𝙎𝙃𝙌:𝘼 𝙎𝙋𝙄𝙍𝙄𝙏𝙐𝘼𝙇 𝙅𝙊𝙐𝙍𝙉𝙀𝙔
Fanfiction𝙎𝙩𝙤𝙧𝙮 𝙖𝙗𝙤𝙪𝙩 𝙖 𝙟𝙤𝙪𝙧𝙣𝙚𝙮 𝙩𝙤 𝙛𝙞𝙣𝙙 𝙩𝙝𝙚 𝙥𝙖𝙩𝙝 𝙤𝙛 𝘼𝙡𝙡𝙖𝙝.