Chapter 5

229 7 8
                                    

Y/n apne bed pe baithi hi hui thi kyun ki kal raat ko woh soyi hi nahi thi phir woh paani peene ke liye kitchen mein jaati hai toh woh y/m ko dekhti hai jo ki nashta bana rahi thi

Y/m- Arre beta tu aaj itni subha subha uth gayi? Kya baat hai?

Y/n- Kuch nahi ammi bas kal poori raat neend hi nahi aayi.

Y/m- Kya poori raat neend nahi aayi tabiyat thik toh hai na beta?

Woh y/n ke paas aake usske forehead ko touch karte hue kehti hain

Y/n- Aap tension mat lijiye hum thik hain.

Y/m- Raat bhar nahi soyi hai jaa abhi jaake so jaa baad mein uthke nashta kar lena.

Y/n- Arre ammi-

Y/m- Jaa........

Phir y/n room mein aati hai aur bed pe let jaati aur thodi der baad hi usse neend aa jaati hai

Time skip

Y/n uthke nashta karne hi baithi thi ke darishta afla aur unki family aa jaati hai kyun ki aaj phir Pakistan ka match tha haan woh log pakistan se nahi hain pakistan cricket team ko support karte hain aaj ka match khas jam nahi raha tha khel mein na toh usska ( samajh lo kaun ) aur na match dekhne mein y/n ka aur last mein yeh hi hota hai ki pakistan team haar jaati hai

Next scene

Darishta- Yaar aaj maza nahi aaya match mein hai na y/n? Y/n?

Y/n jo apne hi khayalon mein khoyi hui thi woh khayal se bahar aati hai

Y/n- H-haan? Kuch kaha kya?

Afla- Subha se dekh rahi hoon tera dhyan kahin aur hi hai kya hua?

Y/n- N-nahi kuch nahi.

Darishta- Aise kaise? Kuch toh hai.

Y/n- Arre kuch nahi hai woh bas k-kal raat se soye nahi hain toh accha nahi lag raha hai, ab....tum jao please hum baad mein baat karenge.

Woh dono bhi aage kuch nahi kehti hain aur chali jaati hain

Time skip
Few days later

Y/n ka haal waisa hi tha jaisa pehle tha ussne phone bhi uss din se bandh hi rakha hua tha par phir aaj usske dimaag mein kahan se khayal aata hai aur woh apna phone on karke charge pe lagati hai aur phir bathroom chali jaati hai thodi der baad woh aati hai aur dekhti hai usska phone baj raha hai aur jab woh phone uthake dekhti hai toh phone kisi aur ka nahi naseem ka hi tha woh phone uthati hai aur balcony mein chali jaati hai

Otp

Naseem- Khuda ka shukr hai ke aaj tum- i mean aapne phone utha liya maine pehle bhi aapko call kiya tha par phone uss hi din se bandh aa raha tha.

Y/n- I-i am s-sorry humne uss din j-jaisa kiya waisa nahi karna chahiye tha.

Naseem- Arre please sorry mat boliye sorry toh mujhe bolna chahiye.

Y/n- ....................

Naseem- I am really sorry y/n ji ager maine uss din aapko awkward feel karwaya ho toh par kya hi karta mere dil mein jo tha woh maine aapko batana sahi samjha a-

Y/n- (sob).

Naseem- A-aap ro rahi hain?

Y/n- N-naseem ji hu-(sob) hum aapko deserve nahi karte hain (sob) a-aapko humse kai zyada acchi ladkiyan mil sakti hain-

Naseem- Par mujhe sirf aap chahiye.

Y/n- Naseem ji-

Naseem- Duniya ki mat sochiye aap kya chahti hain aapka dil kya chahta hai woh bataiye.

Rab Ne Bana Di JodiWhere stories live. Discover now