Chapter 6

214 7 2
                                    

Pichhale kuch dino se sab mast aur swast hi jaa raha tha y/n aur naseem ki baat bhi thik thak ho hi rahi thi aur dekhte dekhte kab itna saara time chala gaya pata hi nahi

Aaj y/n ke dil mein subha se ek ajeeb si feeling aa rahi thi usse bada hi ajeeb bhi feel ho raha tha aur phir woh naseem ko call karti hai bohot der ke baad woh phone uthata hai

Otp

Naseem- Hello (sob).

Y/n- I am sorry ager aapko pareshan kiya ho toh par- ek minute aap ro rahe hain?

Naseem- N-nahi tu- i mean a-aap (sob) bolo kya bolna tha.

Y/n- Naseem ji dekhiye humse chupaiye mat kyun ki ab humein pakka lag raha hai ki aap ro rahe hain.

Naseem- Y/n....mujhe unki yaad aa rahi hai (sob).

Aur phir y/n samajh jaati hai ke woh apni ammi ki baat kar raha hai aur phir woh aaj ki date dekhti hai aur aaj hi usski ammi ki barsi thi

Y/n- N-naseem ji aaj unki barsi hai na?

Naseem- Hmm (sob).

Y/n- Dekhiye aap please roiye mat warna unhe bohot bura lagega woh kya sochiye unhe kitna bura lagega jab woh dekhengi ke unka beta khush nahi hai w-woh ro raha hai.

Naseem- Par woh mere sath-

Y/n- Kisne kaha ke woh aapke sath nahi hai hmm woh hamesha aapke sath hai woh hamesha aapko dekh rahi hain toh please aap khud ko akela mat samajhna.

Naseem- Hmm, thank you.

Y/n- Arre thank you kis liye?

Naseem- Mujhe samjhane ke liye mera mood accha karne ke liye.

Y/n- Tab thik hai mujhe thank you nahi kuch aur chahiye.

Naseem- Kya?

Y/n- Aapke chehre pe ek acchi si smile jo hamesha barkarar rehni chahiye.

Naseem- (chukle) Accha thik hai aur kuch?

Y/n- Ji nahi.

Phir tab hi y/m y/n ko hall mein se awaz lagati hai

Y/n- Accha ab hum phone rakhte hain ammi bula rahi hain.

Naseem- Thik hai.

Aur y/n phone rakhke hall mein jaati hai

Y/n- Kya hua ammi?

Y/m- Beta humein tere ashraf uncle (y/d ke friend) ke wahan jaana hai.

Y/n- Oh par kyun?

Y/m- Woh aaj unki poti ka birthday hai na toh iss hi liye.

Y/n- Oh ok aap zara ruko hum abhi taiyar hoke aate hain.

Phir y/n apne room mein jaati hai aur thodi hi der mein aa jaati hai kyun ki ussne just apne kapde change kiye baal thik kiye aur bas kajal aur lipbalm lagake aa gayi

Time skip

Woh log aa gaye the y/d ke friend ashraf ke yahan

Sultana (ashraf ki wife)- Aap sab baithiye main chai banake laati hoon.

Y/m- Arre nahi nahi bhabhi aap baithiye y/n bana degi, pata hai y/n chai bada hi accha banati hai.

Sultana- Accha? Toh phir y/n beta tum hi chai bana do.

Y/n- Thik hai aunty.

Aur y/n jaati hai kitchen mein woh chai bana hi rahi thi ke usska phone bajne lagta hai aur jab woh caller ID dekhti hai toh usske chehre pe ek smile aa jaati hai

Rab Ne Bana Di JodiWhere stories live. Discover now