Chapter 4

219 8 1
                                    

Subha ho gayi thi aur suraj bhi nikal hi gaya tha par y/n bibi🙂 woh toh so hi rahi thi kyun ki jaldi uthna unka kaam nahi hai na 😂 phir tab hi

*Ding*
*Ding*

Aur y/n ki neend khulti hai phir woh apna phone leti hai

Y/n- Kaun itne itne subha subha pareshan kar raha hai (sleepy tone).

Phir jab woh dekhti hai toh naseem ka message aaya tha

Naseem- Assalamualaikum

Naseem- Good morning

Y/n- Walaikumassalam

Y/n- Good morning

Y/n- Kya baat hai aaj itni subha subha message kiya?

Naseem- Ji woh namaz padhne ke baad phir neend hi nahi aa rahi thi toh socha aap se baat karlun

Naseem- Sorry ager aapko pareshan kiya ho toh

Y/n-  Arre nahi nahi sorry mat boliye

Y/n- Koi baat nahi hai

Y/n- Waise aap namaz padhte hain? (Ayy pagal 🤦🏻‍♀️)

Naseem- Ji

Naseem- Jab kabh bhi time milta hai toh padh leta hoon

Naseem- Kyun aap nahi padhti?

Y/n- Uh...ab... Ji nahi hehe 😅

Naseem- Padha kijiyega dekhiyega accha lagega

Y/n- Hmm

Y/n- Zaroor

On other side

Naseem ka toh kal se hi dil nahi lag raha tha kyun ki y/n se kal baat hi nahi hui phir aaj jab namaz padhke utha toh phir neend hi nahi aa rahi thi aur dil bhi bechain tha toh ussne y/n ko message karne ka socha

Naseem- Waise kal aapne message nahi kiya tha

Naseem- I mean har din aap karti hi thi na

Y/n- Ji woh kal hum apne ek relative ke yahan gaye the toh phir time hi nahi mila

Naseem- Ohh

Y/n- Ji

Y/n- Umm so......

Y/n- Bye

Naseem- Ok bye

Naseem in mind- Kya ho raha hai bhai mere sath kal ussne message nahi kiya dekh mera dil bechain ho raha.....ya allah pagal hota jaa raha hoon main....

Next scene

Saare practice kar rahe the kal ke match ke liye par naseem usska dimaag pata nahi kahan hi tha aur yeh baat babar notice karta hai toh uss se puchta hai

Babar- Kya hua bhai aaj dhyan kahan hai tera?

Naseem- N-nahi kuch nahi well bhai ek baat puchun?

Rab Ne Bana Di JodiWhere stories live. Discover now