So.......yahan jaanke kya hi karna hai ff padhke hi dekhlo sab pata chal jaayega, kyun ki iss baar maine kuch batana hi nahi hai 😁😂
.
.
.
.
.
Aur haan aisi ff main pehli baar likh rahi hoon toh kuch bhi galati nazar aaye toh usse nazarandaz karna
Y/n mahira ke ghar se wapis aa gayi thi aur jo idea mahira afla aur darishta ne diya tha woh karne wali thi
Y/n to herself- Yeh kaisa ghatiya idea hai inn teeno ne 🤦🏻♀️mujhe toh bada ajeeb lag raha hai already.
Chalo flashback mein
Mahira- So plan yeh hai ki.... most important thing aaj y/n aur naseem ke shaadi ko 1 mahine ho gaye hai which means aaj unki shaadi ki one month anniversary hai so kyun na isse special banaya jaaye.
Darishta- Jaise ki?
Mahira- Jaise ki kyun na y/n bade pyare tareeke se unhe wish kare?
Afla- Haan accha toh hai, par utna romantic nahi lag raha hai.
Mahira- Ban jaayega, mahol khud ba khud romantic ban jaayega.
Darishta- Ab aap jab keh hi rahe ho toh plan thik hi hai, y/n tu aisa hi karna!
Y/n- Koshish karungi.
All- Ayyyyy koshish nahi!! Tujhe karna hi hoga!
Y/n- (pout) Ok.
End of flashback Aa jao bhai wapis aa jao
Sab dinner karke sone bhi chale gaye the aur ab bas y/n aur naseem hi bache the par naseem toh ab tak ghar aaya hi nahi tha toh y/n usska wait kar rahi thi
Y/n- Hum thik toh lag rahe hain na?
Woh ek baar khudko aaine mein dekhte hue kehti hai
Her look
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Y/n- Kuch zyada toh nahi ho gaya na? Humein toh yeh idea hi gha-
Phir doorbell bajti hai aur y/n jhat se jaati hai darwaza kholne
Y/n- A-aa gaye aap? (🤦🏻♀️ Kya lagta hai).
Naseem- Hmm.
Phir woh jaake sofe pe baith jaata hai woh dekhke hi bohot thaka hua lag raha tha
Y/n- Hum aapke liye paani leke aate hain.
Phir y/n usske liye paani leke aati hai aur usse deti aur woh ek baar mein hi poora pee jaata hai