13

636 49 22
                                    

Veer: tum rakhongi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Veer: tum rakhongi...mujhe pura wishes hai, mahadev kabhi meri icchao ko thukrayenge nhi...or na hi tum meri patni hone ko...

Wo smirk karta h, jis tarah wo har roz dekha karta tha ke wo kabhi na uska pehnaya mangalsutra utarti thi na kabhi usne use khaali maang dekha ho, yahi se veer ka confidence itna tha ke wo keh sakta tha y/n uske liye sab karengi wo bas batati nhi ye alag baat thi.

~

Y/n apne kamre me aakar bethti h, use bada bore hota tha yaha jab koi nhi tha usse baat karne it was another rainy day jisme use bheegne ka mann hua, wo khidki ke paas jaakar apne haath phelati h baarish bohot badi hui thi. Y/n smile karke bahar jaane hi wali hoti h ke darwaze par use veer dikhta h, wo apni talwar ko admire kar raha tha.

Y/n: talwar se hi shaadi kar lena chahiye tumne to...

Wo mumble karke uske paas se chali jaati h par ky veer ne use nhi suna? Usne suna bhi or react bhi kiya,

Veer: tumse to ki hai shaadi par tum meri baho me aati hi kaha ho...jisse me tumhe chhukar dekh pau aankh bhar...

Y/n bahar aati h or baahe felakar baarish ki bundo ko mehsoos karti h, it was the bestest feeling for her. Use bilkul uski mumma kabhi bheegne nhi deti thi or pata nhi yaha use cold bhi nhi hota tha bheegne ke baad bhi? Warna apne ghar me y/n roz bimaar hi rehti thi. Wo yu hi dance karti hai apne almost soaked hair ko felate huye, she feels too good.

Wo notice nhi karti kab veer waha aakar use dekhne laga tha.

Veer: sabse khubsurat...mahadev kaise banaya hai aapne ise? Itni pyari koi kesi ho sakti h...

Y/n ko veer ki aawaz aati h or wo uske taraf dekhti h, but again use ignore karte huye baarish ko feel karne lagti h, wo nhi jaanti thi ke veer kitna dooba hua tha uski beauty me, aakhir ky tha y/n me esa jisne ek heartless raja ko again prem ke kuch rang dikha diye?

Veer uske paas aata h and he hug her from back, wo flinch hokar uski grip se apne aap ko chhudwane lagti h but that was impossible.

Veer: tum bilkul apni maa ki tarah ho, nachaniya...

Y/n use glare deti h.

Y/n: ky kaha? Zara phirse kehna? Meri maa ko nachaniya bolne ki himmat kese hui tumhari? Huh.!?

Veer: kyuke wo thi hi, or ab tum ho...

Y/n use push karti h jese hi wo uske kareeb aane lagta h.

Y/n: veer raghuvanshi tum kitne gire huye ho! Tum isiliye mere is jism se pyar karte hona kyuke shayad tumhe lagta h me apne aap ko saup dungi tumhe? But never, is janam me me tumhari kabhi nhi ho sakti yaad rakh lena...or tumne jo kaha haina us baat ko me kabhi bhool ne nhi wali...

Wo apne tears ko control karke waha se chali jaati h, y/n ko dance pasand tha iska matlab ye nhi koi bhi aakar use kuch bhi keh jayenga? Jis tarah us din veer ki maa ne kaha tha aaj wo keh raha tha, aakhir kyu sab y/n ko hurt karne par tule the? Wo apne kamre me aakar bethti h rote hue use veer ke shabd acche nhi lage, or kisko acche lagege jab use nachna pasand h iska matlab ye nhi har koi aakar use nachaniya ka khitaab dekar jaaye?

-𝐏𝐫𝐞𝐦 𝐤𝐢 𝐩𝐚𝐫𝐢𝐛𝐡𝐚𝐚𝐬𝐡𝐚. [kth ff]Where stories live. Discover now