20

530 47 47
                                    

Bhakti: wo gaddar hai veer, tu bhola hai jo samajh nhi raha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bhakti: wo gaddar hai veer, tu bhola hai jo samajh nhi raha...

Veer: m-maa a-aap hi bata-bataiye wo k-kyu jayengi mujhe chhodkar? Kyu? Jab usne mere liye vrat rakha, usne mere saath itne acche pal bitaye phir kyuuuu!!?

Bhakti sigh leti h.

Bhakti: mujhe bhi nhi pata...bas ab ye rona dhona band kar, maine jesa kaha tha tujhe kal subah das baje ke mahurat par phere lene h matlab lene h! Ky pata kisko ke kahi wo ladki mar gyi ho? Gayab ho gyi thi wo achanak...

Veer: m-mujhe nhi karna ye vivaah me nhi aaunga kal..

Bhakti: tujhe karni padegi veer...agar maharaj ka singhaasan apne saath rakhna hai to, warna agar tu kal nhi aaya to wo singhaasan bhi jayenga or uske baad tu is rajya me rehne ki bhi mat sochna...nikal jana, phir kal se na tu mera beta rahenga na me teri maa...

Veer use disbelief me dekhkar kehta h.

Veer: ky keh rhi h aap? Maa aap apne bete ko bhula dengi?

Bhakti: haa Kyu ke uske saath phere lene ka wakt tha jab tune apni maa ko bhula diya tha wese is baar teri maa tujhe bhula dengi samjha?

Veer bas blank face se use dekhta h, wo ek taraf apni maa ko nhi chhod sakta tha apne parivaar ko nhi chhod sakta tha, kabhi esa samaye uski zindagi me nhi aaya tha ke use apne parivaar ya apne pyar me se kisiko chunna tha.

Veer: me ka-karunga ye vivaah...

Bhakti halki si smile karke uske baalo ko sehlakar waha se chali jaati h or veer apna sir again pakad kar beth jata h.

Veer: kabhi na kabhi to bhulana hi padega use, abhi se shuru kar dunga to shayad accha honga...

Wo itna hi soch raha tha ke y/n ya to apni duniya wapis chali gyi hongi ya to kahi gyi hongi, veer esa sochna to nhi chahta tha use lag raha tha wo dhoka kar raha hai y/n ke saath par wo kare to ky?

Veer: kaashh jese maine kaha tha me utna berehem ho sakta tumhare saath, kher jis tarah har baar tumhe daraya tha un saari cheezo ko aazad kar dunga tumhare liye...un dono ko bhi...

With that he close the window with a loud thud, use pata nhi y/n par gussa aa raha tha ya apne aap par, matlab sirf itna tha ke wo ab nhi seh sakta tha ye duriya.

THE NEXT MORNING~

Kahi koi khushi se apni neend lekar uth raha tha, to kahi koi phere lene ke darr se, ek hi rajya me itne paas rehkar bhi anjaan thi y/n ke maharaj ka aaj vivaah tha.

A/n: Idk maine ye kyu likha 🤷‍♀

Veer apne kamre me taiyar ho raha tha jisme use vinay madad kar raha tha.

Veer: vinay, ky jo me kar raha hu wo sahi h?

Vinay: veer, har cheez ko karne ki ek wajha hoti h...tum jo kar rhe ho wo majboori hai, bhagwaan ka likha samajhkar swikar karlo...

-𝐏𝐫𝐞𝐦 𝐤𝐢 𝐩𝐚𝐫𝐢𝐛𝐡𝐚𝐚𝐬𝐡𝐚. [kth ff]Where stories live. Discover now