Ankaha 2

4 2 0
                                    


Siyah rang pasand aane laga hai
Mano dil ko sukoon aagaya h
Par kya yeh sukoon hai?

Charo or suraj ki roshni hai
Fir bhi na jane kyun andhera sa h

Charo or logo ki awaze hai
Fir na jane kyun aas pass sannata sa hai

Yeh andhera bhi siyah h
Iss sannate ka bhi shor hai

Kuch samaj nahi aaraha hai
Kuch dikh nahi raha hai
Phir bhi khichi chali ja rhi hu is siyah rang ki pasandidgi ki or
Kya yeh pasandidgi hai?

Na jane kya ho raha hai
Iss shor mei dum ghut raha hai

Roshni ki kiran chahiye
Is shor bhare sannate se duri chahiye
Dil ko sukoon chahiye
Is siyah rang se duri chahiye
Vo purana thehrav chahiye
Dil ko karar chahiye

Is siyah rang ko gayab kardo
Mujhe is shor se door kardo
Sukoon ki shanti dedo

Kahi yeh siyah rang mei kho na jau
Usse kabhi mil na pau
Bohot kuch batana hai usse
Kahi deri na ho jaye
Jo batana hai vo ankaha na reh jaye
Sanse meri ruk na jae
Is siyah rang ki besukooni mei khi meri pehchaan na mit jae .









-thecarpediem4

Kuch Ankahee Si BaateWhere stories live. Discover now