Ankaha 3

4 2 0
                                    


Ansuljha sa ankaha sa raaz ban gayi hai zindagi
Na jane kesa imtehaan bn gyi hai zindagi
Is zindagi ki bhul bhulaiya mei phass gaye hai hum
Na jane ab kese bachenge hum

Kisi bhi raste pe chal pade hai hum
Laut phir kar wahi aa khade hai hum

Khushi si jo thi gayab hogyi hai vo
Dukho ke mele mei gum hogye hai hum
Jis ungli ko pakad kr befikr ghumte the hum
Duniya ki baato mei aakar vo chordi h ab

Anjaam hua kuch yu hai ki kho gye hai hum

Is raftaar bhari zindagi mei logo se nawazish ki khwahish rakhi thi
Ahl-e-dil the jo
Unhe aaj iztiraar h

Arsh ko chune ki khwahish mei
Posheeda ranjisho ke bhawar mei phass gayi hu

Khata esi ki khwabo ki tabeer hi puri na ho payi
Lehzo ki kharwahat dilo mei ghar kar gayi or bikher gayi hume

Ab dekho kese tutne ki  dun pe raqs kar rahi hu
Bina aasu ro rahi hu
Kesi justujoo hai hai yeh jo kisi moutze ka intezaar kar rahi hai
Par moutze bhi kho gye hai hume dhundte dhundte is bhool bhulaiya

Par khwaishe puri karke rahungi mei
Apna rasta khud dhundhungi mei
Arzoo hogi meri puri
Dil ki khalish ko is baar harna hoga
Must-e-khaak mei milna hoga

Waqt-e-nazara hoga vo jb vo milega us paar
Hasrat hogi puri meri

Muntazar hu mei us pal ki
Jab ikhtiyaar hoga mera uspe
Bas farq itna hoga ki vo is dunia mei hoga or mei us dunia mei
Arsh se zameen ka farq hoga
Par usse par kar lenge hum
Ek doosre se milenge hum.












-thecarpediem4

Kuch Ankahee Si BaateWhere stories live. Discover now