longing for you

1.1K 57 16
                                    

Akshara hold their family pic

"2 saal mein kaafi kuch badal gaya hamari life mein. Mera hasta hua family tut gayi. Sabh kuch barbaad ho gaya. 2 saal ho gaye lekin ab tak abhir ka kuch nahi pata chala. Mera beta pata nahi kaise mushikilon mein jee raha hai. Aur ek taraf Maine apna abhinav ko bhi kho diya jisse Maine pyaar Kia tha woh muskurane wala baat baat pe pj maarne wala woh daant khaane wala, woh jo dusron ke baremein pehle aur khud ke baremein baad mein sochne wala, jo kisi ka dil anjaane mein nahi dukane wala. Mere woh wala abhinav ko Maine kho diya. 2 saal pehle tho hamare paas paise daulat shaurat kuch nahi tha per sukh shanti aur kushiyaa thi. Lekin aaj sabh kuch hai paise gaadiya daulat shaurat lekin tu nahi ho hamare paas abhir. Betu plz jaldi wapas aa jao mumma papa tumare bina nahi reh sakte. Yeh 2 saal mein Maine as a lawyer bahut acche se position mein aa gayi, abhinav bhi financially stable ho gaye business expand kia hai, ab tho hum middle class bhi nahi hai" says Akshara to herself but she stops as she heard a voice

"Kya faida akshara hamari zindagi ka asli kamai tho hamare paas nahi haina" says a men wearing

Ak- abhinav yeh kab tak chalega

An- akshara jitni bhi koshish karu mai khud ko maaf nahi kar paa raha hoon .

Ak- abhinav jo hua uss mein aap ka kya galati hai

An- galati tho mera hi haina mera baccha apne sage baap ko chodke mujhe chuna hai aur mai uska wish bhi poora nahi kar paaya. Upar se Maine kya kia aap se keh diya hum apne bete ke dil thod lenge taaki woh Dr. Abhimanyu Birla ke paas jaaye aap ne muje samjane ki koshish ki phir bhi nahi suna accha aadmi banne ka chakkar mein mai sabh se bhura baap ban chuka hoon. Mai yahi business ko kuch saal pehle expand kia hota na akshara aaj hamara beta hamare saat hota. Meri gareebi ki wajah se hum court case haar gaye. Nah aap ko yeh takleef jelna padta nah Nikki jo. woh bichara baar baar keh raha tha mujhe nahi jaana mujhe nahi jaana lekin mai ek nahi suna. Meri wajah se nikki ji ghum ho chuka hai.

Ak- abhinav Kab tak aap khud ko blame karenge mai bhi tho uski maa hoona mai bhi zimmedar hoona mujhe bhi apne bacche ki takleef samajna chahiye tha

She says wiping his tears

Ak- abhinav mai abhir ko bahut miss karti hoon lekin usse zyaada mai apna abhinav ko miss karti hoon mere woh purane wala abhinav jisse mujhe pyaar hua hai

An- uss abhinav ki wajah se tho aap ko itna kuch sehna pada

Ak- nahi uss abhinav mera sabh se badi himmat aur takat hai jo serious situations mein bhi pjs maarke mujhe Zor se hasata tha jo badi asaani se mere gusse bardaash kar detha tha. Abhinav dard tho hai abhinav jo hume bardash karni hai hume jab tak abhir nahi milta tab tak. Lekin yeh takleef mai bardash nahi kar paa rahi hoon Abhinav ki aap khud ko blame kar ke khud ko takleef dhe rahe ho

An- akshara yeh dard ho haina yeh hamari galati ki saza hai jo usse sudarne tak hume bukatna hi padega

Ak- tab tak mujhe mera wala abhinav nahi milega

An- mai aaj bhi aap hi ka hoon Akshara

Ak- lekin woh purane wale nahi hona. Teek hai aap ko lagta haina aap ki acchai ki wajah se yeh sabh ho raha hai issi liye aap sirf acche log ke liye acche aur bhure log ke bhura banne chahte

An- haa

Ak- lekin aap ki hasi, aap ki bachpana, aap ke pjs inn sabh se tho kisi ko takleef nahi hogi na abhinav

An- woh sabh abhir ke saat chale gaye Akshara. Kyonki meri hasi meri kushi sabh kuch woh hi tho hai. Ab woh mila tho hi shayad aap ko woh wala abhinav wapas milega

He looks at akshara and wipes his tears
Yes he is not that old abhinav but for others
But for akshara he is still that soft spoken who carefully listen to Akshara's every word who can't see in her pain who is still scared of his wife

Together forever Where stories live. Discover now