Republishing the chapter
It's been just 2-3 months after Akshara's birthday and sharma family came to udaipur to celebrate kaira's anniversary
Akshara is standing near the balcony holding kaira's pic
Ak: happy anniversary mumma papa. Kaash aap dono aaj mere saat hote kyun muje chodke chale gaye mai tho choti bachi thi na ek baar bhi nahi socha ki aap ke akshu aap ke bina kaise hogi.
She takes Sirat's pic with her other hand
Ak: sirat maa aap mujhe vadha kia tha na aap mujhe chodke nahi javoge jaise naira maa gayi thi tho aap kyun gayi thi mera nah sahi ek baar aaru ka soch lethe aap jaane ke baad tho woh bichari apne aap ko hi kho diya tha.
Abhinav comes and hugs akshara
Ak: abhinav...
An: ssh aap ko kuch bolne ki zaroorat nahi hai samaj sakta hoon Akshara. Kyon ki mai bhi tho 35 saal apne maa baap ke Bina guzar diya tha. Aaj bhi yahi dar saata thi rehti hai ki kayi mai unhe dubara khona doon lekin aap tho apni ankhon ke samne unhe khoya tha. Tho Kitna dard hota hai mai samaj sakta hoon. Har wakth dil mein chubta hoga na
Ak: bahut
An: mai hoona akshara aap ke saat. Aap jitna chahe utna ro sakti hai aaj aap ka poora dard bahar nikal dijiye taaki jab naye savera jab aayegi na tab sirf roshni ho andera ka dil mein jagah nah ho. Mai aaj aap ko rokunga nahi
Akshara hugs abhinav tightly and breaks down in his arms while he have tears seeing her vulnerable
Meanwhile In kairav's room
K: 6 saal ka tha mai muskaan. Apni mumma ko apni ankhon ke samne cliff se girte hua dekha tha phir sabh ne keh diya tha mujhse ki kairav tumari mumma angle ban gayi woh kabhi wapas nahi ayegi. Maine maan bhi liya tha phir mai sirat maa se Mila woh ditto naira maa jaisi thi dekhne mein. Per baad mein pata chala ki woh sirat hai meri naira maa nahi. Maine woh bhi accept kia woh meri best friend thi mujhe aur akshu ko bahut pyaar kia tha. Per woh bhi naira maa ki tarah woh bhi mujhe chod ke chali gayi. Pata hai jab mai hostel se wapas aaya tha sabh mujhse keh diya tha ki kairav tumari sirat maa aur tumare papa iss duniya mejn nahi hai. Aur sabh se bhuri baat aaru akshu ko blame karna. Aur mai kuch kar bhi nahi kar paaya tha Rone ke alawa.
Mu: kairav ji aap tho bahut lucky the aap ko kuch wakth ke liye sahi 2 maa aur papa ka pyaar mila tha. Pata hai mai ek 8 mahine ki bacchi thi jab mere mumma papa iss duniya ko chodke chale gaye the truck accident thi unki. Tab se Neelamma ne mujhe paala tha mujhe idea bhi nahi hai ki maa baap ka pyaar kaise hote hai shayad issi liye jab bhai ji ka maa papa mujhe apnaya tha mai itni emotional ho gayi thi. Aap ke paas tho muskurane ke liye yaad karne ke liye yaadein tho hai mere paas tho buz unki photos hai. Kairav ji mumma papa wapas nahi aa sakte per aaj ke din aise rute rute wish karenge tho unhe bhura lagegi na. Issi liye gehri saas leke ek pyaari smile dekhe mumma papa ko wish kijiye
Kairav places his hand on her face with love
Mu: kya hua ji ???
K: u know what mujhe tho tum kabhi kabhi abhinav ji jaise lagti ho. Koi keh hi nahi sakta ki tum bhai behan ke beach khoon ka rishta nahi hai
Mu: rishte tho khoon se bante hai dil se nahi mere bhai ji se Maine yahi seeka tha. Haa hamare khoon ka rishta nahi hai. Per dil se tho hum sage bhai behan se bhi zyaada hai such kahu agar Neelamma ke baad kisi se mai behadh pyaar karti hoona woh sirf bhai ji hai.
K: mai bhi nahi??
Mu: nahi
K: accha ji. U r right aaj mumma papa ko kushi se wish karna chahiye
YOU ARE READING
Together forever
Fanficanother book on akshnav starts when abhir gets lost as he escapes from birla mansion to meet akshnav 2 years later how will he meet akshnav And what if abhinav meets his family which he doesn't know it exists peep inside to know more