So first of all sorry readers.....
Actually mere exams ke liye der raat tak padhai karte karte akhon mein dard hona shuru ho gaya tha... Abhi thoda sa thik hai medical treatment se.---------------------------------------------------------
Singh industry -
Manishji aapne cabin mein bethke aapne kaam karrahe the tabhi...prabhakar unke cabin aata hai aur bolta hai
Prabhakar:kaise ho aap bhaisahab
Manishji:thik hi hun tum batao... Itne dino se office kyun nahi aaye... Tumhare wajah se kitne kaam ruke hue hai... Agar sambhal nahi sakte toh itna bada deal lete kyun ho...
Prabhakar:maaf kijiye bhaisahab wo thoda personal kaam tha... (In mind-jab dekho tab sirf hukum hi chalana aata hai .. bass kuch din aur phir iss company mere under hoga... Tab dekhta hun yeh kya karta hai....)
Manishji:kiss sochmein pad gaye tum... Agar kahi Jana hotoh batake nahi ja sakte...itna bada loss hote hue bacha hai....
Prabhakar:bhaisahab aap please shant ho jaiye..mein sambhal lunga sab...
Tabhi ek employee waha pe aata hai sign ke liye aur wo kuch kaam ke silsile mein puchta hai toh manishji bhi bolpadte hai:tumhe pata hai na yeh mere bass ki nahi hai..Karishma se pucho wahi iss deal ko sambhal sakte hai...
Employee:per sir...boss toh...
Tabhi manishji ko dhyan aata hai ki unhone yeh kya boldiya... Aur wo thode der chup rehte hai aur prabhakar uss employee ko wapash bhejdete hai...
Prabhakar:bhaisahab aap ko Karishma ke yaad aarahi hai...
Manishji:jo bhi ho prabhakar per wo toh mere hai bete hai na... Yaad toh aati hi hai... Per
Prabhakar:mein bhi toh wahi kehrahi hun bhaisahab Karishma toh aapne hi hai... Kya kare agar uss ladki ke chalte usne hamse rishta Tod liya... Hamare Karishma bohat dukh mein hai bhaisahab..usse buladijiye...
Manishji:uske upar pyar ka bhut sawar hai..wo nahi aayegi agar mein kahun bhi toh...aur kiss dukh ki baat karrahe ho tum...
Prabhakar:Karishma mere aapne bete jese hai bhaisahab... Isliye mene hamesha Karishma ke piche mere ek khash aadmi ko bheja hai..aur wo Karishma ke upar nazar bhi rakhta hai.. aur kal kya hua aap khud hi dekh lijiye...
Prabhakar manishji ko kal Karishma ke sath office mein Jo hua wo sab dikhate hai... Aur yeh dekhke manishji ek dam shock ho jate hai...
Manishji:yeh krish..maar kyun rahebhai itne chot lagi hai usse... Akhir kya ho raha tha waha pe... Mein iss aadmi ko nahi chodunga iski itni himmat....
Prabhakar:sab usi ladki ke bajah se hua hai bhaisahab... Hamare Karishma kese yaha jiti thi abhi toh unnlogo ko kharche mein hi uske din katjate hai... Wo gilan Han chuke hai unnsabki....
Manishji:yeh nahi ho sakta prabhakar.... Wo singh khandan ki ansh hai... Mere bete ese nahi rahegi aab..mein aaj hi jata hun aur usse lekar aaunga... Nahi khane dunga mein aapni bete ko ese thokre...
आप पढ़ रहे हैं
LOVE'S ETERNAL FLAME 💖
FanficA love story of Karishma and Haseena To know more peep into the story 😉