The poddars gets a call that armaan had a minor accident and got a small hurt on the head
Ab: dadi armaan teek tho haina usse kuch hua nahi na *worried*
D: tume kya hai ladki sabh kuch tumne hi tho kia hai
Ab: Maine kya kia dadi mai tho ghar pe hi hoon. Mai konsa woh gaadi chalai jo armaan driver kia tha jo aap mujh pe blame daal rahi ho
D: oye ladki
Ab: meri naam abhira hai
D: tum bhi ghatiya tera naam bhi ghatiya
Ab: aap plz mere naam ko kuch math boliye woh mere mumma papa ka naam se bani hai Abhinav aur akshara se
D: jo bhi hai. Tum ho hi ek dhum mahus paida hone se pehle hi baap ko kha liya paida hote hi apna poora khandhan ko kha gayi hogi aur bade hote hi maa ko bhi kha liya
Abhira had tears after hearing to dadi
Ru: dadi sa aap kaise baat kar rahi hai
Ab: kisi ko mere liye dadi se Ladne ki zaroorat nahi hai
Saying this abhira leaves to her room and takes a photo frame in her hand
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mumma aap ne aise kyun kia mumma. Mujhe aise logon ko Beech kyun rakh diya jo mujhe bilkul pasand nahi karte yaha mai buz sabh ka bojh banke reh gayi. Aap mujhe aise akela kyun chod diya mumma. Papa mumma ne mujhe bataya tha ki aap abhir bhaiyaa ke liye world's best papa the aap usse bahut pyaar diya tha. Aap ko hamesha ek beti chahiye thi jo aap hi ho. Lekin jab mai aayi hoon aap muje bina mile kyun chale gaye papa. Mai har din har pal aap ko bahut miss karti hoon papa. Mumma ne kaha tha aap bhi anadh the. Bachpan se bilkul akele the. Tab mumma mili aap ko family mila. Papa mumma Kehti thi ki mai bilkul aap ke jaisi hoon. Pjs maarne mein clumsiness mein aap ke jaise boli hoon bina soche samje kuch bhi bol dethi hoon, gadbad badbad karti hoon. Papa hum dono ek aur cheez mein same hai. Aap ke liye aur mere liye mumma hi family thi mumma hi ghar thi. Mumma ke aane se pehle the aap aur mai mumma ke jaane ke baad anadh ban gayi hoon papa. Aap ka beti bhi aap hi ki tarah anadh ban gayi papa. Aap dono bhaiyaa ke saat waha kush honge lekin meri kya mai tho bilkul akeli ho gayi hoon
She hugs the photo and tears starts falling from her ears
She looks at the photo again
Mumma papa jaise dadi ne kaha kya such mein itna unlucky hoon jo apne maa baap aur saara parivaar ko kha gaya kya meri wajah se aap dono iss duniya mein rahi rahe. Mumma ka tho mujhe pata hai. Mere liye hi tho woh yuvraj ne mumma ko maar diya. Lekin papa kya meri wajah se hi aap iss duniya ko chod diya. Mai nahi hoti tho aap log yaha kushi se rehte hote. Issi liye aap muje bina mile chal gaye papa. Mumma tho 22 saal mere saat thi. Lekin mai aap ke saat ek pal bhi kyun nahi reh paayi papa kyun. Mujhe kyun anadh bana diya kanha ji. Mumma ke saat hi mujhe maar dethe yaa phir papa ke saat mumma ko hi le jaati tho mumma ko itne saal itne dukh nahi sehna padta
She wipes her tears
I am sorry mumma mai aap se kia vaadha thod rahi hoon mai ab iss ghar mein nahi reh sakti jaha har cheez ke zimmedari mujhe banaya jaata hai jaha har baat pe aap ki parvarish pe sawal utaya jaata hai. Aaj tho unhone papa ko bhi involve kar diya yeh mai bilkul bardash nahi kar sakti. Ab bhi mai chup baita tho meri self respect ki value nahi hogi. Aur yeh proof hoga ki unki kaha har baat sahi hai. Kal tho kayi bukamp aayi tho bhi mujhpe ilzaam daalenge. Mai yaha nahi reh sakti
She packs her luggage and opens her door to see everyone standing there
D: kaha jaa rahi ho
Ab: aap ke ghar ki apshagun iss ghar se Bahar jaa rahi hai dadi sa aap kush raho
Vidya (Vi): tum iss ghar ki bahu ho aise kaise bahar jaa sakti ho
Ab: sorry madam meri mumma ne aap ke bete ko zimmedari diya tha mera yeh soch ke ki aap log mujhe protect karnege lekin yaha aap log ke har din ka taana sunne se accha mai ek pal mein hi Mar javu. Waise bhi iss duniya mera koi hai bhi nahi jis ke liye mai jee lungi. Mai tho anadh hoon. Aur ek baat Maine aap ke ladle se shaadi 1 year contract pe kia tha jo mai ab thod rahi hoon Bcoz I can't stand this anymore. Mai jaa rahi hoon aur bahut jaldi divorce papers ghar pe bijwa dungi aap ko meri bhoj utane ki zaroorat nahi hai
Ar: abhira
Ab: I can manage myself mere paas mere mumma papa ke pyaar aur kahna ji ke ashirvad hai jisse mai jee sakti and Don't worry mai Mussoorie nahi Delhi jaa rahi hoon waha muje koi Katra nahi hai.
Ar: abhira
Ab: plz armaan mera patience ki the end ho chuka and u must be happy na hamari deal itni chaldi katam ho raha hai, tumare sar se yeh afat jaa rahi hai.
Ar: tum akela kaha pe rahoge
Ab: armaan poddar mai abhinav sharma ki beti hoon woh insaan jis ne apne dhum pe jeena sika hai jo akela hi bada hua hai jo bina koi saat yaa sahera chalna seeka hai. Mai unki beti hoon mera papa bhi akela tha per kabhi himmat nahi hara buz zindagi se ladte hashte khelta life bita diya, akela hi problems ka samne karne unhe solve karna seeka hai. Mai unki beti hoona mumma kehti thi mai bilkul apne papa jaisi hoon tho mai bhi seek lungi. Aur waise bhi anadh log tho akela hi rehte haina. Mai bhi akeli hi hoon apne baap ki tarah. Tum mera tension math lo mai jaa rahi hoon ab tum apni chit wali se milo and stay happy khadoosman
Ar: mera vadha
Ab: usse mai khud tume Azad kar rahi hoon. Ab se tum har farz se har zimmedari se har vadhe se mukth ho. Pichli baar mujhe maa I mean vidya aunty ne rokha tha. But ab mai ruk sakti
Cousins: bhabhi *hugs her* plz math jao bhabhi
Ab: sorry baat mere mumma papa ka hai ab mai apni self respect aur unki respect nahi kho sakti. *breaking the hug* mujhe jaane dijiye
Manisha: abhira
Ab: sorry chachi sa agar aap ko kuch hurt kia tho aur aap sabh ko bhi thanks
She goes near madhav
Ab: aap bahut acche ho shayad issi liye yaha sabh ko problem hai thanks for always being their ab mai chalti hoon
She takes out the mangalsutra and gives it to armaan
Ab: meri wajah se koi galati hui tho nadhan samaj ke mujhe maaf kar dena aur apni ghar mein iss anadh gareeb ladki ko jagah lene ke liye thanks.