10

545 42 24
                                    

The scene starts after few days after abhira gets discharge

Ar: mujhe tumse kuch poochni thi

Ab: plz khadoosman ab phirse case chod dho ki Rath shuru math karo plz

Ar: woh nahi. Mujhe tumari mumma ka naam ke alawa kuch nahi pata jab mujhe hospital mein form diya tha tab waha tumara Papa ke naam poocha gaya tha per mujhe nahi pata unka naam aur tumne sirf mujhe itna bataya ki woh tumara paida hone se pehle hi guzar gaye the. Unki naam kya hai woh karte kya the woh kaise the kuch nahi pata mujhe

Abhira has tears in her eyes

She takes a photo frame

Ab: yeh hai mere papa Mr

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ab: yeh hai mere papa Mr. Abhinav sharma mere papa bahut acche aadmi the. Woh ek mamuli sa driver the. Pata hai phir bhi unhone mumma ko lawyer banane ke liye bahut mehnat kia tha mumma ko as a lawyer dekhna unki sapna tha per dekhne se pehle hi woh guzar gaye *wiping her tears* papa mumma ko bhi sikaya haina woh sabh kuch mumma ne mujhe sikaya tha. Mumma mujhse kehti thi ki woh 7 saal papa mumma ko itna pyaar diya ki woh poori zindagi uss yaadon mein jee sakti hai, aur yeh bhi kaha ki papa mumma ko bahut strong banake gaya hai issi liye woh unke Bina bhi mere kyaal rakh paayi. Papa mumma ko sherni bolta tha agar woh aaj hote tho shayad muje choti sherni bulate

She wipes her tears as she couldn't control her emotions

Ab: sabh bacche papa se bed time stories sunn ke bade hote hai lekin mai, mai apni mumma se mere papa ki kahani sunn ke badi hui hoon

Ar: bahut yaad aati hogi na unki

Ab: yaad karne ke liye wakth bhi tho bitani padti haina aur meri kismat itna phuti hai ki mujhe mere papa ko sirf photo mein dekhne ko mila hai. Pata hai pichle 22 saal se mumma ki adat hai har roz sone se pehle papa ko daily routine dena aur yahi adat muje bhi aayi hai. Pata hai roz mumma papa ko mujh pe complaints dheti thi yeh keh ke ki abhinav aap tho gaye apni mini version ko chod ke dekho yeh bilkul aap ke jaise harkat karti hai mai tang aa gayi yeh woh

Ar: oh tho tum apne papa jaise ho

Ab: haa gadbad badbad karna, pjs maarna, clumsy hona goofy hona, acchi hona sabh ki sochna etc etc buz sherni mai apne mumma jaisi hoon aur gussa bhi.

Ar: aur batao apne papa ke baremein

Ab: mumma kehti thi ki agar woh hote tho woh world ke best father hote I miss him. Meri bachpan poora logon ke taane sympathy sunke bhi padi hoon yeh keh ke ki yeh bichari ke paas papa nahi, yeh manhus paida hone se pehle hi baap ko kha gayi etc etc. Mai badi tho ho gayi per taane bandh nahi hue pichle Maine hi tho tumare fufa se ne taana maara mujhe

She hugs his photo frame

Ab: mumma kehti thi mere papa world ke best husband the jo hamesha mumma ka saat especially tab jab unke saat koi nahi tha, jo unhe hamesha respect kia hai jo hamesha usse pyaar kia ho. Marte dhum papa mumma ke liye hi jiya tha. Unhe mumma se khushi se badkar kuch nahi tha. Kyonki meri tarah mere papa ke liye mumma hi sabh kuch thi unki 1 and only family aur woh meri tarah anadh the. Mumma kehti thi ki mere papa duniya ke sabh se cutest insaan hai aur mai unki cutie pie beti dekho hum dikhne mein bhi same 2 same haina

Ar: haa bilkul

Ab: mumma hume unki life ke sunshines bulati hai jis ke sahare woh jee paayi. Mumma papa ko bahut miss karti thi Ab papa ke saat kush hogi aur papa bhi mai hi akeli ho gayi nah mumma hai aur nah papa aur nah koi family. Aur pata hai sabh se bhuri baat kya hai log gareebi aur anadh hona hamari apni choice maan ke taane pe taane maarte rehte hai pehle mere papa sunte the ab mai. Kabhi kabhi aise feel hota hai ki kaash mumma papa ke saat mai bhi gaya hota uper

Ar: abhira *concerned*

Ab: tume aur tumari family ko mere naam bahut ajeeb lagti haina per pata hai mujhe abhira naam kaise aayi

Ar: kaise

Ab: mere mumma papa ke naam milke banaya hai Abhinav ka abhi akshara ki ra. Actually tho navira rakhna chahti thi per abhira rakha so that hum teeno ki naam A se ho jaye abhinav abhira akshara pata hai mai mujhe yeh shaadi romance prince charming etc cheezon pe bilkul barosa nahi hai mujhe bcoz meri concentration poora career banani pe hai but mai hamesha chaha hai ki mere life partner jo bhi ho mere papa jaise ho aur meri love story thoda mere mumma papa jaise ho. Buz meri padai jaldi katam ho jaye aur mai intern se lawyer ban javu phir tumse deal katam aur mai apne papa jaise insaan ko doond lungi

Armaan glares at her

Ab: kya

Ar: kuch nahi

Ab: Don't worry jab woh milega sabh se pehle tume hi batavungi aur shaadi mein bhi bulavungi tum mere dosth jo ho

Ar: thank you

Ab: welcome

Here is the short os on the request of JainiKapadia4

mere papa Where stories live. Discover now