Honey flower resort, Mussoorie
Abhira(Ab)- bhai ji koi gadbad nahi hone chahiye already mujhse kaafi galatiya ho chuka hai no more gadbad warna yeh aarman ji aur uska family jeena haram kar denge ok ji
Staff 1: ok mam
Ab- mai yeh juice unn logon ko dhe aati hoon tande tande juice piyenge tho dimag bhi tande tande hogi
Abhira takes the tray and starts going but accidentally armaan who is busy in phone gets crashed with abhira and juice falls on her
Ab: uija
Armaan cuts the call
Armaan (Ar): wth dekhe nahi chal sakti tum
Ab: mai dekhe hi chal rahi hoon sir galati aap ki hai aap phone mein busy the ulta mujhe bol rahe ho
Meanwhile Armaan's family enters and checks what's happening
Armaan's dadi (D): phirse kya gadbad kia iss ne
Ar: woh juice
D: juice gira diya shirt pe jab se yaha aaye tab se dekh rahe hum. Ek ke baad ek gadbad karti hi jaa rahi ho
Ab: I know mam mujhse bahut saari galatiya hui hai but iss baar galati meri nahi thi mam woh buz yeh aap ka pota
D: zara sa bhi tameez nahi hai tume kuch na kuch karti hi rehti ho
Ar: dadi sa woh
D: hum baat kar rahe armaan thoda wait karo. Batao ladki wale harkat hai koi aap mein. Maa baap tameez nahi sikayi kya
Abhira tears flowing listening to baap
Ar(in mind)- yeh badbad karne wali roti bhi hai
Ab: I am sorry madam. Mujhse galati hui hai. Aage nahi hogi aaj se koi gadbad nahi ho issi liye mai directly koi kaam nahi karungi saara kaam hamare staff dekh lenge iss baar ke liye I am sorry aage se aap koi shikayat ki mauka nahi milegi
Saying this abhira leaves
Ar: dadi sa galati uska tha hi nahi Kab se mai aap ko batane ki koshish kar rahi hoon mai hi galati se takra gayi thi lekin yeh ladki ithi emotional kyun ho gayi yeh mujhe samaj nahi aayi
Staff 1: woh mam ne Maa baap kaha haina sir. Abhira mam iss duniya meij aane se pehle ki unka pita iss duniya se chale gaye the. Usko rishte mein sirf Maa hi hai. Usko papa ka pyaar nahi mila kabhi tho aap ki baatein sunke woh emotional hui hogi
****
In abhira's room
Abhira is crying holding a photo
Ab- Sabh ke paas parivar hai rishte hai pita hai papa mere paas tho mumma ke alawa kuch bhi nahi hai. Haa aaj tak mumma mujhe kisi cheez ki kami nahi hone diya papa lekin mera bhi mann karta haina ki mere paas bhi parivaar ho. Especially aap nahi ho papa. Bachpan se mumma se aap ki baatein sunte badi hui hoon. Lekin kabhi aap ko dekh nahi paayi. Pata hai jab pehli baar school gayi thi na sabh apna mumma papa ke saat aaye the. Lekin mere paas aap nahi ho. 3 saal hi thi mai jab mujhe pata chala ki mujhe papa ka pyaar nahi milne wali. Tab se aaj tak jab bhi koi papa ke baremein kaha ho yaa kisi ko papa ke saat dekha ho aise hi chup chupke aap ka photo pakad ke roya hoon papa. Mumma hamesha kehti hai mai aap ke jaisi hoon same to same. Mumma ne mujhe kaha tha ki woh meri Maa ho sakti dosth ho sakti chacha chachi mama Mami bua fufa nani dadi har rishta ho sakti lekin woh mere papa nahi ban sakti kyonki aap ki jagah koi nahi le sakta. Mumma ne bataya tha abhir bhaiyaa aap ka khud ka beta nahi tha phir bhi aap usse bahut pyaar kia tha mumma ne kaha tha aap uske world ke best father tha . Maine aap ka pj book aur aap ka diary pada tha aap ke zindagi ka har pal mumma aur bhaiyaa ke liye jiya tha mujhe bhi woh pyaar chahiye tha papa.
Aap unke super hero the na ek beti ke liye apne papa hi super hero hota hai. Mujhe mere super hero ki zaroorat thi papa. Har ladki ke liye ek aise wakth hota jab usse bhai yaa papa ke zaroorat hoti hai jo uske daal banke usse har mushkil se protect kare support kare care kare lekin mere paas dono nahi hai. I miss u papa I miss you so much. Sirf Mai hi nahi mumma bhi aap ko bahut miss karti hai buz kabhi batati nahi hai but I know. Woh hamesha kehti thi aap usse bahut strong banake gaya hai. Kehti hai mai super papa ki super beti hoon so mujhe bhi bahut strong rehna hai. Har pal sochti rehti hoon ki aap hote tho Kitna accha hota. Mumma ne yeh bhi bataya ki aap ka khud ka family nahi thi. Mere paas bhi nahi hai buz mumma hai aur mumme ke liye mai buz. I love you papa. I miss you kaash mujhe bhi aap ka pyaar milta jaise bhai ko mila. Kaash mai aap ke saat time spend kar paati. Aaj uss dadi ne aise kaha mujhe bahut hurt hua. Buz yeh baat mumma ko pata nahi chaleMeanwhile she heard some voice
Choti choti
Ab- uija mumma aa gayi. Aise dekh liya muje tho woh pareshan hogi
She hides abhinav's pic under the bed and washes her face and then opens the door
Ab- hi mumma
Ak- kaha thi itni dher
Ab- woh mai
Ak- ro diya
Ab- nahi tho
Ak- tere chehre ka rang uda hai so saaf hai ki tu royi bata such bata kya hua
Ab: woh buz papa ki yaad aa gayi thi
Akshara hugs abhira and gets emotional
***
The end
Since it's first Os and emotional I wrote small chapter
And I really loved akshara calling abhira as choti
So I kept herePlease do vote and comment
I hope you all liked it
Thanks for reading
YOU ARE READING
mere papa
Fanfictionit Is a book of os with abhinav and abhira with few emotional shots and few funny shots peep inside to know more