Prologue

1.3K 30 9
                                    


Annirudh: Bondhita, main... Main Chahata hu tum Shaadi Karlo.

Bondhita: Jii Barrister Baby Main tayaar hu shadu ke liye. (With a small smile playing on her lips.) Par main aapse kuch kehna chahti hu kya keh sakti hu.

Annirudh: Bilkul Bondhita, tumhe puchne ki jarurat nhi hai, kaho kya kehna hai.

Bondhita: Jarurat toh hai , main ye kehna chahti hu ki mujhse pehle aap ki shaadi ho. Akhirkar aap mere sikshak babu hai aur aap mujhse bade bhi hai, toh shaadi aapki mujhse pehle hi hogi. Vaise bhi jab aapki shaadi hogi toh meri rai aap puchenge ya nhi iska toh pata nhi par mai aapko rai zaror dungi bhalehi aap na mane. Aur jab aapke bachche honge na toh mai unke sath khelne bhi aaungi. Isbar mai banungi aapke bacho ki shikshak aur rakshak babu, aur agar aapki beti hui na to vo bharat ki sabse kushnaseeb beti hogi jiske baba uske saare adhikar dilwayenge.  Shotti..   (giggles)

Interrupting her Annirudh spoke, 

" Bondhita, tum.... Tum bhi toh Maa banogi na, toh mai bhi..............

" Nahi Barrister Babu Main Maa nahi banungi kabhi nahi,"

"Bondhita, ye tum kya..  kya keh rahi ho, kuch hua hai kya, koi samasya hai to mujhe batao hum suljha lenge jarurat padi to doctor ke paas jayenge."

" Nahi koi aisi samasya nhi hai ki mujhe sharirik roop se koi dikkat hai par mai kabhi Maa banna hi nahi chahti."

" Ye tum ye kya keh rahi ho nahu banna chahti Maa matlab kya hai. Ye toh ek Aurat ke jivan ki sabse khusi ki baat maani jaati hai" 

(With a stoic face)

 " Hogi par main nahi maana chahti, ha par main bachcha jan sakti hu lekin sirf tab, jab mera Rape ho jaye aur mai pregnant ho jau, tab jab phirse koi Thakur mere saath zabardasti kare aur vo kaamyab ho jaaye, Ya phir tab jab aapka chuna hua insaan uski patni hone ka kartayva mujhe pura karne par majboor kar de."

"Par tab bhi mai shyad waqt se pahle hi apne aap ko khatam kar lu ya gar  na bhi karu kyunki main ek mazboot mahila hu aur kisi masoom ki jaan nahi lungi phir bhi mai us bachche ke prati apne pure kartavya nibhaungi  par kabhi uski maa nahi banungi. Kyunki koi bachcha apni maa par bojh ho sakta hai par apne palak par nhi jo apni marzi se uska palan swikaar kare." (Sarcastic smile.)

" Bondhita ye tum..."

"Aap ye sab chodiye, ye bataiye ki ladki dekhne kabjaana hai ya phir pehle se hi dekh rakhi hai. ha... (with a teasing smirk.)

" Aur ha papers ready hai ya (taking a short pause) karwane hai. Mai karwa dungi kyunki aap ko bohot kuch sambhalna hai, bas aap thodi madad kar dijiyega."

" Kaise papers bondhita"

Are aap bhi naa, Aur konse papers honge OfCourse DIVORCE PAPERS."






Author's section 

Hey dear readers, how is the prologue? 

Hope you all like it. Should I continue with it or not? Please comment.





BY AAS......

Finding her ExistenceWhere stories live. Discover now