chapter 8

295 46 51
                                    

Chalo 40 votes toh complete hogaye so how are you all ..

Sab badiya ??

Haan mein bhi teek hunn .

Ramadan ke wakth jo bhi roza kar rahe hai , take care of yourself and dhoop mein math jana .

And now we will continue the story

Note

Bold lines are flashback and

Italic lines are present story bye Moran

" Chandra lekha rajya mein jo problems thi unhe solve karne mein hi busy thi , dusri taraf Britishers kisi bhi tarah rajya par control pana chahte the , Rajya mein luteri log bad gaye the , upar se Raja vijayendra ji ki tabiyat bhi bigadne lage , kisi ne bola ki jungle mein jo ayurvedic medicine milthi hai , usse Raja ji tabiyat mein sudhar aa sakta hai , isiliye ek din Chandra akele hi jungle mein chali gayi , thodi dhur jane ke baad woh ek waterfall ke pass agayi thi , wahi pehli baar thi woh iss jharna ke paas aayi thi ..

Iss mandir mein Mata Rani ka darshan karke woh fhir se medicine keliye doondne lagi , tabhi uski nazar kuch logon par padi thi jo mukhota pehen kar jungle mein Safar kar rahe the , unke pass bahut bade bade nags the jismein bahut sare dhan aur  sone ki ornaments the ,

Chandra dekh kar hi samaj gayi thi ki yeh log luteri log hai jo bahut dinon se aam logon ko pareshaan kar rahe the , isiliye un logon ko rokhne ki koshish ki  , lekin woh log bahut khatarnak log the , Chandra uss wakth normal kapdon mein thi isiliye koi pehchaan nahi paye the , uske upar attack Kiya tha , lekin faida nahi huyi , unlogon ko sambhalne keliye Chandra akeli hi khafhi thi ,

Lekin kayi se ek ladka Chandra ko madad karne waha pahunch gaye , Punam ki raat mein iss ladke ki chehra , ek hi second mein Chandra ka dil leli , upar se un luteri logon ki halat dekh kar Chandra samaj gayi ki woh ladka bahut hi brave aur powerful hai ..

Unlogon ka kaam katham karke woh ladka Sara dhan aur sampati ko apne ghode ke upar lagadiya tha ,

Chandra ko laga ki yeh bhi un logon ki tarah ek lutera hoga ,

" Ek minute tum bhi ek chor ho ? " Chandra boli thi

" Ji ?? Hum koi chor nahi hai , hum yeh sari dhan ko sahi jagah pahuncha dengey " woh ladka bola ..

" Hum aapko kaise Mane ki aap chor nahi hai , abhi ke abhi Sara saaman chod kar jao varna , aaj se sirf tumhara Marne ka kabar hi bahar jayegi " Chandra boli thi .

Woh ladka ek pyaari si hasi dekh kar Chandra ko dekha , jiski smile mein Chandra ek second  kho gayi ,

" Aap se milke humme bahut accha laga  , lekin aap kabhi mere saamney math aana varna " woh ladka bola

" Varna , jis din aap dubara humare saamney ayengey ussi wakth hum aapse shadhi karlengey , aur aap bhi kudh ko humme pyaar karne se rokh nahi payengey "

" What ? " Karan interrupted her story ..

" Kya hua ? " Monu asked with a jerk

" Woh ladka ayise kaise bol sakta hai ?? , koun hai ladka aur Chandra ko ayise kaise bol sakta hai , uski marzi bhi toh important hai " he said in one go

" Karan , shayad aap bhul gaye hai ki yeh kahani hai , bahut saal pehle hogaya hai aur aap iss ladke se kyu jealous feel kar rahe hai " she asked somewhat suppressing her laugh

" Mein jealous nahi hunn ,i was just concerned for Chandra, " he replied with grumpy face although jealousy is quite visible on his face .

" Aap na ek louta insaan ho jo " she stopped her sentence in btw ..

𝔓𝔶𝔞𝔞𝔯 𝔥𝔲𝔞 𝔠𝔥𝔲𝔭𝔨𝔢 𝔰𝔢 🤍Where stories live. Discover now