❤️ Chapter 7 ❤️

672 101 27
                                    

A few days passed away in the jiff.

Anirudh was trying hard to confess his feelings to Bondita but wasn't able to.

On the other hand, bondita too wanted to confess but she wasn't finding any better opportunity.

One evening,

Anirudh picked Bondita and left for the home. He looked at her who was thinking something.

Ani : kaisa tha aaj ka din?

Bon : thik tha.

He thought to talk to her after dinner.

They reached home, and she went to the room.

Kaka : anirudh yeh bahu itni bujhi bujhi su kyu lag rahi hai.

Ani : kaka woh....

He saw everyone looking at him only suspiciously.

Ani : kya sab aise kyu dekh rahe ho mujhe maine kuch nahi kiya kaka.

Batuk : mushkil hai.

Ani : kya?

Kaka : toh nalayak kya hua bahu ko.

Ani : mujhe nahi pata kaka abhi khana khane ke baad baat karunga usse.

He nodded.

**********************************

After dinner,

Bondita was sitting near the window quietly in the room thinking something.

Two arms wrapped around her, she smiled and cuddled to him more.

Ani : kya hua bondita, jabse mili ho tabse aise chup chap kyu ho kuch hua hai kya, Parkar uncle ne kuch kaha?

Bon : nahi patibabu, woh toh bohot acche hai.

Ani : toh phir kya hua?

Bon : patibabu aaj mujhse ek galti ho gayi.

Ani : meri bondita se galti ho jaaye yeh maan na thoda mushkil hai.

Bon : ho gayi patibabu.

Ani : accha batao kya hua hum mil kar usse thik kar denge.

Bon : patibabu aaj ek case mila tha..

Ani : toh tum haar gayi, it's okay mishti hota hai kabhi kabhi mere saath bhi hua hai.

Bon : nahi patibabu main woh case jeet gayi.

Ani : phir kya hua.

Bon : patibabu kanoon ke nazro mein sahi hua par insaaniyat ki nazron se woh galat tha.

Ani : Bondita paheliyan mat bujhao batao kya hua.

Bon : ek sahukaar ne apne karzdaar par case kiya tha, karzdaar ne 6 mahino mein paise wapas karne ka waada kiya tha par 1 saal ke baad bhi de nahi paaya, toh aaj court mein woh sahukaar ne mujhe apna case diya, maine lada par phir pata chala ki uss karzdaar ki beti ki shaadi ke dahej mein woh saare paise chale gaye, toh court ne uss karzdaar ka ghar sahukaar ko de diya, ab woh karzdaar apne hi ghar mein kirayedar hai.

Ani : bondita kaanoon ke nazro mein yeh galat nahi hai agar aap karz lete ho toh usse wapas karne ki takat bhi aap mein honi chahiye, aise kai log hote hai jo dono haathon se karz le lete hai par jab karz lautane ka waqt aata hai toh paise nahi hote unke paas, phir gareeb aur laachar hone ka natak karte hai taaki unn par koi daya kha le, kaka ke pass bhi aise kai log aate hai, kitno ke toh kaka ke karz bhi maaf kar diye hai, lekin agar woh sahukaar apne paise wapas chahta tha toh kuch galat nahi hai.

Bon : main jaanti hu patibabu, ki woh bhi galat nahi hai par ek baat mere mann mein hai betiyon ke pita ko karz kyu lena padta hai, kyuki apni beti ke ghar ko basane ke liye usse Khushiyan dene ke liye aur kuch laalchi logo ke paiso ki bhook mitane ke liye, unhe dahej dena padta hai taaki unki beti apne sasural mein khush reh sake bina kisi takleef ke, patibabu main khush kismat hu ki maa ko kabhi iss paristhiti ka saamna nahi karna pada lekin aaj bhi aise kitne pariwar hai jinhe inn paristhithiyon ka saamna roz karna padta hai, kya hum inke liye kuch nahi kar sakte.

Ani : Bondita inn 8 saalo mein main bohot kuch badalne ki koshish ki hai aur kai hadd tak main kaamyaab bhi hua hu aisi kai prathaye hai jiska nivaran ho chuka hai lekin yeh jo dahej ki pratha hai woh itni aasani se bandh karwana aasan nahi hai, kyuki log apni betiyon ko khush dekhna chahte hai aur isiliye apni marzi se dahej dete hai.

She looked down.

Ani : mishti ek baat samjho zindagi mein hume chaaro ore se safalta nahi mil sakti, hum chaha kar bhi ek saath sabko khush nahi rakh sakte shona, ab iss baare mein mat socho, hmm, kuch din do mujhe uss sahukaar ke pass jayenge aur uss karzdaar ka pura karz utaar denge aur uska ghar chudwa lenge main baat karta hu.

She smiled and nodded.

He kissed her forehead.

He picked her in his arms, and she blushed hard.

He made her lay down on the bed and hovered above her, her heartbeats were rising with each passing second.

He kissed her eyelids, then cheeks, her heart was hammering wildly.

She blushed profusely.

Ani : mishti kuch kehna chahta hoon, bohot time se khena chahta hu, karna toh kuch khaas chahta tha par ab aur intezar nahi kar sakta, I LOVE YOU MISHTI.

she had tears in her eyes, the words she wanted to listen to for years, finally he said.

Ani : kya hua shona, it's okay main....

Bon : I LOVE YOU TOO PATIBABU....!!!!!

She said and his senses stopped working, the joy he was experiencing now was just incredible.

Ani : sach.. sachme...??

She nodded.

He immediately sealed his lips with her.

She clutched his shirt tightly. Her whole body sparked in excitement and anticipation.

It was like her whole body went numb, her senses stopped working, he bites her lower lip. She blushed and responded to his kiss...!!!!

After a few minutes he broke the kiss sensing her breathlessness.

She wasn't able to look at him, she was looking everywhere except him making him chuckle.

He realised it was too much for his little bondita to handle.

Ani : ab so jaaye?

Bon : kya?

Ani : kya hua aise kyu dekh rahi ho kuch aur karne ka mann hai toh main taiyar hu.

She was totally red in shyness and hits him making him chuckle.

Ani : good night.

Bon : good night patibabu.

They both slept cuddling each other....!!!!!

Anidita : Journey of Love ❤️Where stories live. Discover now