Chapter 1

111 8 5
                                    

(scene 1:male staff room)
staff room mein Ek teacher ay or sab k samnay methai ka Dabba agay kiye "meethai kahain, sir''uss my zawiyar sy kaha
(zawiyar NY us ki BAAT sun ny k Liye apni ainak utari)
"kis baat ki meethai hai??''
"zawiyar sir, Shaadi horhi hai Meri''
"congrats''
ussi Duran dosray teacher my sawal Kiya  "love marriage ya arrange?''
uss NY muskra k jawab diya"love marriage sir love marriage bachpan ki mohabat''
zawiyar janay k Liye kahra huva
"sir AP kidhar ja rhy Hain Khana order Kiya huva hai kaha k jaiye ga''
"mein Ghar chalta hoon ab,AP log enjoy kry Allah Hafiz'' uss ny teacher k kandhay pe hath rakha or kaha "Khushnaseeb ho Jo bachpan ki mohabat mil Gai'' ye kehtay hi wo wahan sy Chala gya
"sir ny Shaadi kyun nhi ki abhi tak'' jis teacher ki shadi thi uss NY bakiyo sy ye sawal Kiya.
"pata nhi aj tak Kisi ko nhi bataya''
"sir tou itny handsome Hain larkiya tou Marti Hain un pe''
(zawiyar Ghar ponch ke)
wo apnay kamray mein dakhil huva or sath hi tv on kr liya uss pe uss NY wo tasveer Chala di Jo wo saalo sy tanhai mein dekha krta tha,uss NY ja KY kapray badlay or khanay k table py neechay Chala gya
uss NY apnay sath wali kursi nikali or uss Khali kursi k agay plate or chamach rkh diya
"Dekho aj Kahna kha lo bohat dino sy mein Akela Khana kha rha hoon''
"bhook nhi lagti ab mujhe Dil nhi krta Mera Khana khanay ko''he imagined the reply
"kyun?? agar Tum Khana nhi Khao gi tou mein b nhi Khao ga''
"aesay Ruthy raho gy kya,Tum hi tou kehtay thy khanay ko inteezar nhi krna Chahiye,or Tum khao mein Sirf  tumhe dekhny ai hoon''
"Tum Meray sath university kyun nhi ati Sara din akeli hoti hogi''
"university,wahan log hotay Hain mujhe logo sy nafrat hai log arzi hotay Hain''
"tabhi mein b wahan Kisi sy zyada baat nhi krta Ghar AKe Sirf tumsy baat krta hoon''
"Ek min call arahi hai''
uss NY ja k phone uthaya
"hello! zawiyar Kahan gaib Rehtay ho''
"kahin nhi Ghar sy university university sy Ghar''
"zawiyar wo tumhara Ghar nhi hai''
"ye Mera ghar hai'' uss NY chilatay huvy bola
"zawiyar Tum samjh kyun nhi rahay,Tum Pagal ho mein Tumhe kab sy keh rha hoon ko chod do uss ko wo tumhari Kuch nhi hai Yahan wapis ao sab k pas apno k pas''
"wo Meri hai koi b uss ko mujh sy cheen nhi skta Meri mohabat hai wo or Wohi Mera sab Kuch hai or Wohi Meri apni hai Tum sab matlabi ho saray munafiq ho Tum logo ki waja sy wo Meri nhi hai''
"zawiyar hosh kro uss baat ko ath(8) Saal hogay Hain bhool Jao ussy''
"jis din ussy Bhola na samjh Lena Jeena bhool gya hoon,uss sy bhool gya tou mar Jao ga mein zinda ho uss k sath......''
"uss ki yaado k sath zawiyar,wahan Kuch nhi hai ghar ajao mama Roz tumhara inteezar krti Hain''
"mein idhar uss k sath Raho ga mama NY bola tha k Meri or uss ki iss ghar mein koi jaga nhi hai ab mein uss k sath Yahan raho ga'' uss NY ye kehtay hi call kat di
wo APnay kamray mein Sonay k Liye Chala gya
"Tum sari Raat udar kyun beth ti ho idhar Meri sath soya kro na''
"sotay tou AP hai mein tou apko dekhti hoon,or agar mein so gi tou AP k khawabo mein kaisay ao gi??''
"ye b hai,Chalo good night I love you''
ye boltay hi wo sogya
aglay din wo subha uth k university gya wahan ja k pata Chala k pooray staff room mein uss k baray mein baat horhi hai
"kya horha hai ye sab??''
"sir wo Ek larki hai uss NY AP k baray mein confession Kiya hai''
"kya??''
"sir likha hai zawiyar sir university,duniya infact pooray universe k sab sy haseen mard Hain un ki cheel jaisi ghari ankhein Jin mein  doob janay ko Dil krta hai un k wo Baal Jo bilkul uss khoobsurti ki Tarah Hai Jo sooraj dhalny k waqt Asman mein hoti hai un k bolnay k andaz boltay Hain  tou yo lagta hai jaisay koi sorang ho jis mein insan kho jata hai un ki wo muskarahat muskratay kaam Hain lekin un ka muskrana yu hai jaisay farishty un k Galo py bethay hoon,un ky lehjay ki zarafat jaan lewa hoti hai un k libaas shirt k sath jeans phen na or har jummay ko shalwar kameez pehn na un ki har ada har baat un sy mohabat krny pe majboor krti hai najanay wo Kis sy mohabat  krty hai raaz kya hai un ki Zindagi ka?Kon hai wo Khushnaseeb Dua krti hoon k unhi b ishq hojay or un k mohabat un ko milay na ''
zawiyar ye baat suntay hi anso sy ro para
"zawiyar sir AP theek tou Hain??''
Ek sir ny uss k betha ke pocha or Pani diya
"zaroori hai Jo insan Kisi sy mohabat na kr py uss ko baddua Dena log itny matlabi kyun hotay Hain''
"sir i know uss NY ye Galat baat kahi hai lekin haar cheez waisay nhi hoti jaisa Hum ussy assume krty hain ''
haath mein Ek paper pakry huvay Ek or teacher staff room mein aya
"zawiyar sir  psychology k miss NY ai ho principal keh rhy Hain k AP un ki class ly ly''
"jee mein jata hoon'' ye kehtay hi wo neehayat narmi k lehjay mein wahan c Chala gya,classroom mein dakhil hotay hi jab wo apnay laptop table pe rakh rha tha saray students uss ki khoobsurti pe rashk krny lagay
"kya Haal hai AP sab ka??''
"hum theek sir,AP Kaisay Hain''
"Theek Kuch parhna chahy gy AP log??''
Ek larka khara huva
"sir sab sy Sunna hai AP bohat achay hai apka andaz bayan psychology sy mohabat py majboor krdeta hai AP aj apni marzi ka koi b acha sa topic parha dein''
uss NY muskratay huvay us student ko bethny ka ishara kiya or board marker uthaya or board or likha "LOVE PSYCHOLOGY''
"shoro krein?? theek hai love psychology Naam sy hi AP logo ko interest hojay ga love psychology sy Murad mohabat ki nafsiyat sab iss ko samjhny ki salhiyat nhi rkhty attraction mohabat ishq teeno ka bohat Ghara talauq hai dimag sy, Dil sy ye teeno hi Ek jaisay Hain Kisi ko dekha wo Dil ko acha Laga haa bhaii hogi mohabat koi bohat acha Laga haan hogi attraction Kisi ko shiddat sy zyada chaha tou ishq hogya teeno mein Ek cheez main hai attraction,jab k mohabat ki nafsiyat kya kehti hai Kisi ko dekha wo Dil ko Pasand agya tou wo attraction,lust, temporal,right?Kisi ko chaha uss ko paa liya tou theek hai nhi paya tou bhool Jao lekin ishq!ishq Jo hai wo mohabat or attraction sab sy zyada strong hai ishq mein koi shart nhi hoti k mehboob milay tou theek hai nhi milay tou uss ko bhool Jao??nhi ishq mein insan turk e ulfat py b bas ussy ko yaad krta hai, beshak wo apko chahay na chahay Milay na milay chahay zinda hi ya mar hi kyun na ja har pal bas Wohi yaad ata hai charo tarf bas Wohi dekhai Deta hai insan uss ko bhool janay k bajay uss ki yadoon mein Jeena prefer krta hai  log ussy Pagal kehtay Hain lekin nafsiyat uss ko ishq kehti hai ye thi mohabat ki psychology Kisi ka koi sawal abhi tak??''
"kya APko kabhi Kisi sy ishq huva hai??'' Ek student NY zawiyar sy pocha
__________________________________________________________________________________
Will be releasing chapter 2 soon
Stay tuned
Vote for it comment your reviews
Thank you for reading

CHIRAG E ZINDAGI Where stories live. Discover now