Chapter - 3 (Guilt)

2K 142 57
                                    

In Poddar house, everyone was feeling guilty that they blamed Abhira for no reason and they were feeling not good that she has left the house. They were thinking all this just then Kaveri spoke.

Kaveri - Humse bahut badi galati ho gayi uss bacchi ne toh hamare ghar ko sawarne ki koshish ki aur hum usse anjaane kya kya keh diya.

Manisha - Ab kyu pachta rahi hai aap Mummy sa, aap toh yahi chahti thi na ki Abhira yeh ghar chod kar chali jaaye toh lijiye chali gayi woh. Yeh sab chodiye na yeh bataiye party kab rakhni hai Abhira ke ghar se jaane ke khushi mein.

Vidya - Kaisi baat kar rahi ho tum Manisha, abhi abhi iss ghar ki bahu gayi hai aur tum party ki baat kar rahi ho.

Manoj - (sarcastically) Galat kya kahe rahi hai Manisha, Bhabhi sa. Aap, maasa aur Armaan toh yehi chahte the na ki Abhira yaha se chali jaaye toh woh chali gayi. Aap sab keliye galat toh hamesha Abhira hoti hai toh lijiye chali gayi woh. Ab iss ghar mein ab koi galti nahi hogi aur kuch galat nahi hoga.

Sanjay - Maana hum sab se galti hui hai par Abhira chahe toh rok sakti thi na Charu ko par usne aisa nahi kiya.

They were talking on this just then Charu shouted loudly.

Charu - Bas..bas...bahut hua, kya har baat ke liye aap sab bhabhi ko blame kar rahe hai? Aapke ghar ki bacche ki galti hoti hai toh aap unhe kuch nahi kehte par aap sab Abhira bhabhi ko blame karte hai. Haan unhone mujhe roka tha aur kaha tha agar main yeh baat aap sab se share nahi kar rahi hu toh atleast main yeh Armaan bhaiya se share karu par mujhe time chahiye tha in sab ke liye. Kuch hua nahi ki aap sab bhabhi ko blame karte hai kyu aakhir kyu? Ki haar baar Abhira bhabhi galat aur sab sahi. Ruhi ne bhi toh galati kari hai apne aur Armaan bhaiya ke affair ke baare mein chupa kar. Aap sab unhe kuch nahi bol rahe hai bas Abhira bhabhi ko galat therah diya. Are unhe ke wajah se aaj main aur Krish apne passion ko follow kar paa rahe hai. Unke wajah se hi iss ghar mein sab kuch thik ho raha tha par aap sab ko woh nahi dikha.

Madhav - Charu kyu apna sar deewar mein phod rahi ho? Inn sabko kaha samjha aayega yeh sab. Inhe pata nahi kyu chid thi uss masoom si bacchi se jo har wakt uske piche lage rahte the.

Armaan - Papa aisa nahi hai, hum jaante hain jo bhi hua woh galat tha aur pachtawa bhi bahut hai inn sab cheez ka.

Manisha - Ab pachtana se kya hoga, jab chidiya chug gayi khet. Phele main chahti thi ki Abhira iss ghar mein rahe par aaj yeh sab dekhar lagta hai Abhira ka yeh ghar chodkar jaane ka faisla sahi hai. Woh apne ghar mein kush rahegi aur uss bahut pyaar milega joh usse yaha bilkul bhi nasseb nahi hua.

Krish - Sahi kahe rahe ho aap mamisa. I am glad ki aaj woh apne parivaar ke saath yaha se chali gayi.

Charu - Sahi mein Krish, yaha ke logo ko sirf apne khushi se matlab hain, apne baccho ki khushi inse dekhi nahi jaati.

Everyone heard them and were feeling guilty about it. Goenkas also feels guilty for whatever they had done with Akshara and because of that Abhira is also away from them. Ruhi was getting angry that they are still talking about Abhira even though she left this house.

Ruhi - Aap sab ko ho kya gaya hai, aap sab abhi bhi uske baare mein baat kar rahe hai jisne itna kuch kiya hai aur iss ghar ko barbaad karna chaha.

Rohit - Just shut up Ruhi. Bhabhi ne kuch galat nahi kiya hai aur agar galati ki baat kar rahi hoon toh sabse badi galati toh tumne ki hai, mere zindagi ke saath khelkar. Agar tum bhai se pyaar karti thi toh tumne mujhse shaadi kyu ki. Apni toh zindagi barbaad ki hi meri bhi kardi.

Endless LoveWhere stories live. Discover now