Hala aur azaan(part one)

15 1 0
                                    

13th may,

Rat k saare 3 baj rahe hein.ghari ki tik tik awaz pure kamre mein gunj rahi hai.bahar se bhi koi awaz nehi arahi hai.woh leti hui apne fan ko tak rahi thi.achanak uske surf galon par ak ansun jo bohot chupke gira tha woh gira.usne ak hat se use pocha lekin agle hi lamhe phirse ak aur ansu uske gal ko chu gaya.to usne phir pocha magar is bar pochne k sath woh aur zor se ro di.uski zindagi 1 lamhe mein itni badal jayegi use pata bhi nehi tha. use pata tha yeh lamha kabhi na kabhi ayega magar itni jaldi is baat ki tawakku nehi thi use.
Magar aisa ho raha tha.

Flashback, the same day but dupher k 3 baje,

Barish ho rahi thi.itni khubsurat barish mein usne apne mathe pe rakha chadar phek diya aur apne hat mel kar apne dhud jaise safed jism par barish ki bund ko mehsus karrahi thi.

itni khubsurat barish mein usne apne mathe pe rakha chadar phek diya aur apne hat mel kar apne dhud jaise safed jism par barish ki bund ko mehsus karrahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


woh is waqt haveli k chat par thi.woh nihayaat khubsurat thi.uske gal humesha surf. Jism ka rang dhud jaisa safed,ankhen sunehri rang ki,palkein bhi behat dil kashish,

woh itni khubsurat aur dil kashish thi ki agar woh zamidar ki beti na bhi hoti to phir bhi uske liye itne hi rishte ate

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

woh itni khubsurat aur dil kashish thi ki agar woh zamidar ki beti na bhi hoti to phir bhi uske liye itne hi rishte ate. ab woh gaon k jiske ghar mein bhi payda hoti us ghar mein chand chand lag jati

" hala jaldi niche ao, abbi agayein "

Usne yeh sun kar apne ap ko kabu mein rakha aur jaldi se apne bheege bal ko pheke huye chadar ko uthake dhaka.woh bohot hoshiyari se nuche arahi thi.use pata tha agar pakri jati to aj do tin thappar to lazmi tha,use aise hafte mein at least ak din to thappar lagta hi tha ab aj double lag jata osse use koi masla nehi tha masla to isse tha ki uski ma ki tarbiyat par shaq kiya jata.

" hala kahan hai?"

Abbi akar humesha hi yehi puchte thein agar woh apne kamre mein hoti to thik hai magar agar woh corridor mein haveli mein kahin bhi hoti to ak thappar to zarur milta.unka kehna tha.sharif ghar ki larkiyan apne kamron mein khudko mehfuz rakhti hein.

" apne kamre mein babajaan " harun uska bara bhai.hala parhna chahti thi uk.magar yahan use itni pabandio k university bhejha gaya tha woh bhi online classes rakhke lekin uska bhai harun use uk k tariqe se parhane ki koshish karta tha.

Khwab-e-jahanWhere stories live. Discover now