CONTRACT

6 1 0
                                    

Zehra,

Zindagi k safar mein jab koi ak bar harta hai tab woh uth kar khara hota hai,dusri dafa woh shikayat karta hai aur tisri dafa woh khamosh ho jata hai,abhi woh bhi khamosh ho chuki thi,apne baalon ko bed k edge pe phel kar woh samne diwar ko tak rahi thi,aj kitne dino se woh so nehi pa rahi thi,uski har cheez to kho gayi it,uski izzat bhi,

Apne har kadmon par usne khud pe yaqeen kiya jabki yaqeeen to ALLAH uske rab k uper karna chahiye tha,use apni galti ka ihsas ho chuka tha,woh samajh gayi thi galti kahan hui hai,use achanak apne kamre k darwaze se ak awaz ayi jispe woh muri aur uth kar beth gyi bal uske kad pe havi hogayein,darwaze k us taraf se kisine chabi di thi, woh bohot tawajju se us taraf tak rahi thi jab use uski baba k pair nazar aye ak ansun k bund uske ankhon mein agaya,

Woh andar aye,Ayesha jo humehsa as pas ghum ti thi,mouka milne par woh bhi unke sath andar ayi qur zehra ki taraf nazar parhte hi woh apne hat pheylakar uske samne gayi,apne behat azeeez dost ko dekhkar uske ansun lagatr behne lage,woh uske sine pe mu chupa kar rone lagi,uski hichkio ki awaz se uske baba ko dukh ho raha tha,

" Zehra " unki saqt awaz zehra ki tawajju ka mohor ban gaye aur woh apna chehra utha kar ayesha ko samne bethne ka ishara qiya,woh bethi,aur unke bolne ka intezar karne lagi

" Mujhe nehi pata tumne jo bhi kiya kyu kiya,meri paydaish mein kami reh gayi thi ya mere diye huye paison mein samajh nehi araha "

Apne mathe pe hat bulate huye unhone kahan,zehra k ansun kambakht khatam hi nehi ho rahe thein

"Baba maine paiso kiliye nehi kiya,mujhe bus yeh kam accha lagta tha,isliye kiya "

Usne hat barhakar unka hat pakra aur yaqeen dilane ki koshish ki

" Dukh mujhe is baat ka nehi hai ki tumne kiya,is baat ka hai ki tumne kiya mere dushman kiliye aur yeh baat mujhe tumse nehi usse pata chali, "

Unki baat par zehra ka dil dukh gaya

" Baba jaan,mein aisa aur kabhi nehi karungi i promise "

Usne yaqeen dilane ki nakam Koshish ki

" Tumhe kya lagta hai zehra woh garson bohot acha shaqs hai?nehi hai,uske baba ne use chor diya,pata hai kyu? "

Unke sawal par zehra ne eyebrow unchkai

"Kyu?" Usne pucha

" Garson 12 saal ka tha jab usne apne baba ko unke neend mein marne ki koshish ki,katil banne ja raha tha, 15 saal ki umer mein woh ghar chor k bhag gaya phir kitne din bad kahan se kon pakar k leke aya kaisi halat thi khudaya, zehra woh shaqs dikhne mein haseen hai uske bare mein sab kuch behad ........"

Zehra chouk gayi,is garson ko to woh nehi janti thi,woh to us garson ko janti thi jo bacho ki tarah rota hai apne dost k judai par,jo bewakufo ki tarah uske tawajju ka shikar banne ki koshish karta hai,woh garson jisne kabhi uski izzat se nehi khela,aur woh katil hai yeh koi kaise yaqeen kare,

" Woh chahta to uske baba ko usi waqt mar sakta tha,woh to Allah ne bacha liya ,zehra meri jaan tum heera ho,kya nehi hai tum me meri jaan sab kuch hai,behtareen rishta hai tumhare liye armaan tumhe bohot ache se rakhega meri jaan bus tum haan kehdo please "

Uski baba ki minti bhari nazron ko dekhkar woh sar jhuka gayi aur djsre hi lamhe sar hila kar apni hami bhari .

" Tum garson se mohobbat to nehi karne lagi na?"

Unka sawal nehi tha jaise talwar thi sidha uske dil pe ja lagi

" Nehi "

Khwab-e-jahanWhere stories live. Discover now