Zehra
woh coridor ki balcony mein khari niche do bacho ko apne baba k sath khelte huye dekh rahi thi.woh ro rahi thi.aj uska birthday tha aur kisine use wish nehi kiya uske baba ne ak check bijwa diya jiski ab use zarurat bhi nehi thi.woh zehra ahmed khan thi.romania ki bohot shandar company ki malik ki beti.usse zyada kush kaun ho sakta hai.lekin yeh kushi kahan thi kaisi kushi thi yeh sirf woh janti thi.aj use job bhi mili thi ak behtareen position pe ab woh programmer thi.student thi law ki lekin,uska iq bhi to tha 140+ ka woh na karti to kaun karta.use koi challenge nehi karta tha akhir harne ka shokh kisko tha.
"Happy birthday to you!
Happy birthday to you
Happy birthday
Happy birthday
Happy birthday to you"
Ayesha uski dost usi k sath law department mein parhti thi.aj uska din khas banane phir agayi thi.zehra ki ankhon se ansu a chuke the.woh kush ho chuki thi.aur kuch nehi chahiye tha.sirf kushiya chahiye thi.agar ayesha use chor jati to use pata tha woh phir bhi kush ho sakti thi akhir kar ayesha use kush rakhne ki zimmedari mein to nehi thi.
"Mein janti thi.tum kuch to karne wali ho"
"To karna to tha na zehra ka birthday hai kisi aur ka thori"
Unhone cake kata aur tabhi
"Zehra tumahari assignment do. Sab ka ak sath assign karwa rahe hein hum"lucas piche se ate huyein keh raha tha.
" mera assighnment ruko "zehra ne bag khola to kuch nehi mila usne nighahen ayesha ki taraf ki ayesha samajh chuki thi.
" lucas mein khud ka khud assign karwa dungi,hostel pe rakhke ayi hun"lucas tawjjub se uski taraf dekh raha tha,zehra bhul gayi yeh to mumkin nehi tha."thik hai karwa dena"zehra larko zyada ache se baat nehi karti thi lekin lucas bohot acha dost tha.zehra age bar kar ja rahi thi.use ajeeb lag raha tha ki woh bhul kaise gayi.shayad yeh kismat ka khel tha,zehra jo kabhi choti se choti bat nehi bhulti thi woh aj itni baari assignment bhulke a chuki thi.yeh mumkin kaise?
woh hostel poch chuki thi.har taraf police ghum rahi thi.har koi idhr se udhar dour raha tha. Usne kadam barhake apni caretaker ko pucha
"Yeh kya horaha hai nanny"
"Pata nehi suna hai koi andar aya hai,guard so raha tha aj finally woh rejected ho hi gaya" zehra ka kehka hawa mein gunja "use fired kehte hein rejected nehi"
"Haan jo bhi ho" zehra ne unke gal pein lab rakhe aur phir woh upar ja rahi thi.tawajjub to use is baat ka laga ki uske darawaze par keys lagi hui thi.
Yeh ayesha kabhi nehi sudhre gi na.uske baba ne use seperate room dilwaya tha lekin phir bhi kabhi kabhar ayesh uske sath reh jati thi kal rat bhi assignment karne kiliye ruk gayi thi.zehra ne age barkar darwaza khola andar andhera tha.usne door lock kiya aur age chalkar lights on ki.
"Ahhhhhhhhhhhhhhh"
Uski cheekh hawa mein gunji pure hostel ne suni hogi.usne apne hath se apna mu band kiya.yeh kaun hai uska sawal tha.samne ak lamba choura banda leta hua tha, uske baazu se khun nikal raha tha.uske mathein pe bhi chot thi.zehra ne khud ko sambhala aur age bar kar uska bazu apne ak hath se uthaya.
"Itna khun!kahi mafia to nehi" waise zehra darti nehi thi lekin bande ki body aur khun use lag raha tha ki woh mafia se hai zarur.zehra ne apni puri tagat se use uthane ki koshish ki lekin har manke khud bhi nuche gir gayi
"Yaar banda hai ki hati"
6 foot 4 inch ka banda ab halka to nehi ho sakta tha.
"Zehra itna gym kiya hai, dumbbell samajh k uthale ise" usene puri taghat se phir uska ak hath apne ak kandhe pe leke dusra hath apne hath mein leke uthaya aur bohot koshisb se use bed pe lake pheka.zehra ne sans li.kushi ki uske shoes utar ke uske zakhmo ko saf karnw lagi uska court utara aur zakham itna gehra tha ki zehra ko khud dard ho raha tha.usne zakham saf kiye ab is bande ki uthne ki deri.zehra ne socha is larke ko apne room me rakhke woh assignment to dene ja nehi sakti ab kare to kare kya.samne hi rakhi hui ak sofa par beth gayi aur gaur se use dekhne lagi.
dil kashish chehra,choti si hoth, saf aur pak lag raha tha.gal k ak side pein dimple"yeh hasta hoga to dono side pe bhi parta hoga na?"usne socha.
"Zehra kya hogaya aise paray mard ko ghurke use aise dekhna gunah hai nehi" tauba karke khud ko yaad dilaya pata nehi kab aisi harkatein karte karte so gayi.Garson
Uski ankh khul rahi thi,saf nehi dikh raha tha,usne apne ak hath se apni ankhen saf ki to dekha hat pein patti bandhi hui hai.usne samne dekha to sofe k ak corner par ak larki soyi hui hein.akdam daisy jaisi,khubsurat chehra, usne ak brown gown aur boots pehne huye the,woh shehzaadi lag rahi thi,garson ne nazar bhar k use dekha,woh soch raha tha woh hasti hui kaisi dikhegi uski awaz kaisi hogi,uski ankhen kaisi hongi,uski batein kaisi hogi,use garson ki vasha ati hogi ya nehi,garson chup sa sirf use dekh raha tha,aur sirf dekh raha tha.us larki ki ankhen jhap se khuli, saf nazar araha tha woh koi daravna khwab dekhke uthi hai,lekin is waqt woh garson ki khwab thi.garson apni khwab-e-jahan mein mashgul tha.usne nazar uthake use dekha apne ankhon se girte huyein ansu saf kiyein.
"Ap uth gayein?"
Zehra uske pas ake usse puch rahi thi.
galderway sirf uski taraf dekh raha tha.brown ankhen dil kashish ankhen,uski awaz itni khubsurat ki garson ka man karraha tha woh sunta rahein.lekin garson alderway tha adat se majbur
"Apko dard to nehi ho raha?"
"Agar apko meri dard ki fikar hoti to mujhe yeh cheap bandages nehi lagake deti.hospital leke jati"
Zehra ka muh khul gaya
"Excuse me?"
"What excuse me?you literelly have no manners you can't just do my bandages like that it can be an infection . You should've taken me to the hospital"
Zehra ka khun khol raha tha ab uska dimag ghum gaya tha
"Dekhiye,ap mere room pe ayein, keys lagi hui thi uska fayeda uthaya shukar kijiye bahar kahri hui police ko dikha na diya apko,warna pata to mujbe bhi hai ki ap kaise insan hai"
"What do you mean?kaisa insan lag raha hun mein apko?"
"Filhal to besharam,na shukri karne wala jaheel aur badtameez insan" garson alderway apni zindagi mein kabhi aise alfaz nehi sune honge.
uska jawab woh kya de
"Ap nihayaat badtameez hai, apse zyada badtameez maine kisiko nehi dekha.janti hai mein kon hu?"
"Janti hun,akhru sare huyein badtameez insaan ap jaisa makhluq nehi dekha aj tak.niklo mere kamre se usne ak hath darwaze ki taraf karte huyein kahan" haan haan mujhe bhi koi shoq nehi hai rehne ka"zehra ne uska bazu pakarke door k samne le ayi aur use bahar dakhel diya
"Jao hospital aur ilach karwalo" darwaza that se band hua.yeh pehli martaba garson alderway chup tha.kya kehta shabd nehi the kehne ko.Guys i know it's not that good so don't judge 💗
YOU ARE READING
Khwab-e-jahan
RomanceThis story revolves around garson alderway and zehra ahmed khan. garson is a billionaire and the CEO of his company. he has a really dark past and suddenly somebody wants to kill him,while solving the mystries,he meets zehra in a really tangled situ...