Everybody aj aise hi parhlein,no aesthetics sorry i am very busy with my other novella that's why.thanks 💗✨
ZEHRA,
" Fa inna ma'al yusri yusra "
" if the hurt comes,so will the happiness " { surah Al-inshirah,ayah 6}
woh QURAN-E-PAK ki tilawat karrahi thi, lekin is ayah pe akar woh ro pari,aj tin din se woh apne kamre mein band thi,use khana deke jata koi aur plates phir koi aur leke jata tha,us din k bad woh kisi se nehi mili,ayesha ne bohot koshish ki usse milne ki magar pabandio ki wajah se woh uske kamre ki chabi dhund nehi saki,yeh ayah uske dil ko ja lagi woh ro pari phirse,usne hat uthayein,
" Allah,maine gunah kiye hein,apka har banda gunah karta hai,maine bhi kiye hein,ap mujhe maf kardein,mujhe bacha lein,mujhe itni aziyat na dein,maine sab to kho diya hai,har koi mujhe dhoka kyu deta hai Allah.maine jinse mohobbat ki sabne dhoka de diya,kyun?kya mein itni buri hun.woh to kehta tha ki mein daisy jaisi hun,mujhse acha koi nehi phir usne bhi dhoka kyu diya Allah? "
uski awaz aur na nikal saki aur woh zor se ro pari,use nafrat thi in ansun se,jo us shaqs kiliye gir rahe thein jisne 3 din se uski khabar na li ho.us shaqs kiliye jisne wafa ki baat karte huye dagha ki ho.woh nafrat karti thi in ansun se jo us shaqs kiliye gir rahe thein woh bhi lagatar.
Mohobbat k mamle mein use dar lagta tha magar garson ne to har dar ko haraya tha woh bhi itne kam waqt mein,kahan galti hui?kisse galti hui?
yahan zehra apne dil mein garson kiliye nafrat pal rahi thi wahi dusri taraf garson apni zindagi k har insan se khudko dur kar chuka tha.
GARSON,
apne hat pe sharap ki ak bottle aur dusre hat pe ak ciggarete,woh dard mein nehi tha,woh to phirse mar gaya tha,usne humesha logon ka bhala kiya tha,madat ki thi,magar usne kabhi bhi wahi mohobbat nehi payi thi,aur woh insan jisne uske har dar ko harakar apni mohobbat pe use gireftar kiya tha,usne bhi thukra diya tha,Aliyan ne uske hat se woh cigarette li aur samne ashtray pe woh phek di.garson ne uski taraf ghura
" tum samajh te kya ho khudko?jao yahan se "
"mujhe pata hai ki ap gussa hein "
" nehi mein gussa nehi hun,kisne kahan mein gussa hun" usne apne hat ki bottle diwar pe de mari aur uth gaya ,bahar jane hi wala tha k Aliyan ne uskaa hat pakar ke use bed pe phir bitha diya aur khudbhi uske pas beth gaya,
" bhai woh apne baba se khudko bachane kiliye aisa keh rahi thi.zehra apse mohobbat karti hai,don't be sad like that '
garson ne uski taraf dekha aur agle hi lamha uska kehka hawa mein gunja
" mohobbat mein dar nehi hota aliyan.mohobbat mein log kya kya kar beth te hein aur woh apne baba k samne mera sath na de payi? kya itna kamzor tha humara pyar?actually humara pyar tha bhi kahan se.izhaar sirf maine kiya tha,usne kabhi nehi kahan tha,galti meri hai,maine hi usse mohobbat karli,woh mera sirf istemal karrahi thi." garson jo apni har dukho ko apne bhai k sath bat raha tha.woh chup ho gaya
" actually,galti uski nehi,mein bhi to pagal hun na.baba thik kehte thien mein pagal hun "
aliyan jhat se utha aur uske kad ko hila kar kehne laga
' bilkul nehi,ap pagal nehi hai."
" mein pagal hi to hun,isliye baba ne bhi mujhe chor diya tha na "
aliyan ne use gale lagaya tha, garson ki ankhon se ak asun ka katra gira tha.
GARSON'S PAST,
melek yani garson ki ammi ak bhot gareeb gharane ki beti thi lekin garson k baba ki unse ak coffee shop pe mulaqat hui aur mohobbat bhi hogai,unhone shadi ki,kuch arsa woh social media k best couple thein.lekin kuch arsa bad melek apni ngo se mukhtalif scandals ka sikhar hone lagi aur garson k baba se bhi unki duri barhti gayi.garson tab qareeban 2 saal ka tha jab uski ammi use chor kar 5 saal kiliye sydney shift hogai.aur isi dauran garson k baba apne gham aur dard ko sharab mein duba dete thein.garson k jism par kafi nishan the,woh uske baba ki belt k thein,unhe jabhi melek ki yaad ati thi woh garson ko jake marte the,bichara 6 saal ka garson use samajh nehi ata tha woh kise rokein.
YOU ARE READING
Khwab-e-jahan
RomanceThis story revolves around garson alderway and zehra ahmed khan. garson is a billionaire and the CEO of his company. he has a really dark past and suddenly somebody wants to kill him,while solving the mystries,he meets zehra in a really tangled situ...