chapter 19

136 8 4
                                    

Mallika : boliye kya aaya reports mein
Basant : woh...... Actually reports mein yeh aaya ki.....
Jaynath : itna kyu hich hichaa rahe ho
Saaf saaf bolo hua kya hai
Basant : woh.... Food poison
Food poison hua hai
Abhi kaafi serious hai lekin aap chinta mat kijiye treatment ho raha hai na
Thik ho jaayega
He signed to Monika
Mallika noticed their signs
Basant and monika left from there
mallika followed them
Monika : kya hua
Basant : kisine wahi kaam kiya jo mallika ke sath kiya
Iske body mein drugs gaye hai
Jo quantity mallika ke sharir mein gaye na usse 10x zyada hai
she got shocked
Monika : kya.....
ab condition kaisa hai
Basant : bohot zyada serious
chances bohot Kam hai
Monika : hey bhagwan!!!
Mallika : didi......
They seen her and shocked
She went to them
Mallika : kya hua sumedh ji ko
Jiju aap jhut bol rahe the na
Basant : nahi mallika woh
Sumedh ko....
Mallika : jhut mat boliye
Kya hua sumedh ji ko
Basantika seen at eachother
Basant : thik hai mallika
sumedh ke body mein drugs gaye hai
She got hell shocked
Mallika : kya!!!!!
Basant : haa mallika
2,3 din pehle tumhe serious hua na
Woh food poison ke wajah se nahi
kisine Jaan bhujkar tumhare khaane mein drugs milaaye the
mallika : kya....... Mere khaane mein??
Basant : ha yeh baat mujhe, sumedh aur monika ko sirf hum teeno ko hi pata hai
sumedh toh yeh decide karliya ki uss insan ko pakadke hi rahega
mallika : mujhe kuch samajh nahi aa raha hai
Mera sir toh ghum raha hai
basant : mallika mallika shant hojaao
kuch nahi hoga sumedh ko
Mai hu na sambhaal lunga ha
Moni... Mallika ko sambhaalo
monika : mallika bhagwan par vishwas rakho sab thik hojaayega
Mallika : yeh kya ho raha hai didi
Mere khane mein drugs milaana aur sumedh ji ke khane mein bhi milaana
Aur mai bach gayi lekin sumedh nahi
Monika : jab hume lagta hai ki sab thik chal raha hai
tabhi ek bada sa tufaan aake sab bigaad deti hai
Yeh bhi aisa hi hai
Shayad uss insaan ko pata lag gaya hai ki sumedh usko dhunde nikla
Isiliye issbaar sumedh par waar kiya hai
achha tum yeh sab mat socho
Sumedh thik ho jaayega ha chalo
Then both left from there

Mallika is keep seeing at ICU door
mallika (inside) : yeh sab kya hai
Mai toh aapse dur jaane wali thi aur yeh sab......
Mujhe kuch nahi pata aap pehle thik ho jaaiye
Bohot kuch baat karni hai
humara bachha mere pet mein aagaya
mere khaane mein kisine drugs milaaya aur aapne mujhe bataya hi nahi
aur aaj aapke khaane mein bhi milaaya
Mai toh thik hogayi lekin aap nahi ho rahe hai
Then she went to God idol
Mallika : bhagwan ji
bohot dar lag raha hai unhe thik kar dijiye na
Sumedh ji ko thik kar dijiye
Then Monika came there
Monika : itne mushkil se mile the tum dono
Aur yeh situation aagaya
Mallika confusingly seeing her
Mallika : mushkil se milna??
Aap jaanti hai na didi woh mujhse meri maa keliye shadi kiya aur mujhse pyar nahi karte
Monika (inside) : matlab sumedh ne nahi bataya
mallika : didi....
Mai aapse kuch chupaana nahi chaahti
Mai asal mein yamini ke beti nahi hu
City ke one of the big doctors
Anant aur lata ke beti hu
bachpan mein mujhe unse pyar nahi mila tha
aur kuch wajayo se mujhe uss ghar se bhaagna pada
Aur jab yeh baat sumedh ji ko pata chala
Usne humare beech ka rishta hi Tod diya
Jab mujhe call aaya tab mai railway station mein thi
Monika is so shocked after listening that
Mallika : unhone saare hadd paar karli hai didi
Mai waha kaise reh sakti thi
Ab bhi unke baatein mere kaano mein baj rahe hai
Monika : mallika mallika tum yehi ruko mai abhi aati hu
Mallika : kya hua didi
Monika : mai wapas aane ke baad batati hu
She went to basant who are talking with jaynath and ajay
Monika : suno ekbaar...
Basant : dadaji mai abhi aata hu
They both left from there
Basant : kya hogaya
Monika explained which is said by mallika
Basant : achha!!!!
Moni ab mujhe sab samajh mein aa raha hai
tum chalo mere sath
they both went to mallika
Basant : mallika ab tumhe ek sach bataana hai
Shuru se bataata hu suno
Tumhe lagta hai na ki sumedh tumse sirf yamini ji ki baat keliye hi shadi ki
Lekin sach yeh nahi hai
He told everything to her
She got hell shocked
Mallika : kyaaaa
Basant : ha mallika yehi nahi hai
Sumedh tumse pyar bhi karta hai
Aaj tumhe sach batane hi wala tha ki woh tujhse pyar karta hai
Lekin tumhe dur jaane keliye kaha
Jaanti ho kyu
kyuki woh nahi chahta ki tum iss khatre mein raho
Woh tumhe iss khatre se bachana chahta tha aur iss khatre ko apne upar leliya
She got stunned
Mallika : aap.... Sach...
Basant : sach hi bol raha hu mallika
Sumedh isiliye tumse itna rudely baat kiya
Thaki tum kabhi uske paas na jaao
Iska matlab yehi hua na ki jo insaan yeh sab kiya woh sumedh ki aaspaas hi hai
mallika is not in this world
Monika : mallika mallika.....
Mallika : aah....
Jiju mujhe unke paas lekar jaaiye na
Basant : lekin mallika ICU mein.....
Mallika : please jiju zyada der nahi rahungi please lekar jaaiye
Then basant taken her to sumedh
She sat on chair and basant left from there
Mallika : yeh sab....
Yeh sab kya sunn rahi mai
kyu kiya aisa aapne
aap mujhse pyar karte the
Aap mujhse itna pyar karte hai ki jo khatra mujhpar aana wala hai usko apne upar leliya aur mujhe khudki jindagi se nikaal diya thaki mujhe kuch na hojaaye
haina....
Lekin kyu??? 😭
suniye aap mai kahi nahi jaane wali
humara bachha hoga
Hum parents banne Wale hai
Aapki maa aayegi
aapne uss insaan ko pakadne ki shuru ki na ab mai pura karungi
Aapke aankh kholne se pehle hi mai uss insaan ko pakdungi aur humara bachha aane se pehle hi mai aapko Ghar le aaungi
....... I..... I love you sumedh ji
By saying this she leaned on his chest and started crying
Time skipped to evening
Mallika : baba dadaji mai yaha rahungi aap dono Ghar jaaiye
Ajay : nahi beta hum kaise Jaa sakte hai
Jab tak sumedh thik nahi hota
Mujhe toh kahi bhi chein nahi milti
jaynath : mujhe kuch gadbad lag raha hai
achanak se tum dono ko food poison kaise hoga
Kahi basant kuch chupa toh nahi raha hai
Monika and mallika seen at eachother
Mallika : dadaji.....
uss din mujhe food poison nahi mere body mein drugs gaye hai
They both got shocked
Ajay : kyaaa
Mallika : ha baba
uss din kisine Jaan bhujkar mere khaane mein drugs milaaya
Aur aaj bhi wahi kiya aaj sumedh ji ke khane mein milaaya
jaynath : toh yeh baat hume bataaya kyu nahi
Monika : kyuki aap pareshan hojaate na isiliye nahi bataaye
Jaynath and ajay seen at eachother
Ajay : humari pariwar ko koi dushman hi nahi hai
Na baba ko na mujhko na hi sumedh ko
Aur tum toh yamini ki beti ho
Tumhe kon dushman hoga
Monika : uncle ji
Kehte hai ki Ghar ke chor ko eeshwar bhi nahi pakad paate
Yeh sab jisne bhi Kiya na zarur humaare aaspaas hi hai
jaynath : monika ne sahi bola
Kabhi kabhi humare apne hi hume peeche se waar karte hai lekin
Jo koi bhi humare apne hai sab itne achhe hai fir kon hoga Jo aisa karte hai
Mallika : dadaji aur baba
Aap chinta mat kijiye jitna bhi mushkil kyu na ho mai uss insaan pakadlungi aur aapke saamne lekar aaungi
Ajay : yeh tum kaise kar paaogi mallika
Agar iss chakkar mein tumhe kuch hojaata toh nahi mallika beta
Hum yaha se dur jaate hai
Yaha sumedh already iss condition mein hai aur mai tumhe Aisa danger mein kaise jaane deta
Agar tum dono hi...
Mallika : baba aap mera chinta mat kijiye
mujhpe vishwas rakhiye
Mai Aisa kuch bhi nahi karungi jisse mujhe kuch khatra ho
Jaynath : vishwas toh bohot zyada hai beta
thik hai tum dhundo uss ghatiya insaan ko jo tum dono ko aisa karna chahta hai
Aur tu bhi kya ajay
Kitna tak bhaagte hai bhaagte woh hai jo galat karta hai humne toh koi galti nahi ki na mai na tum na sumedh na hi mallika
Mallika beta Tum uss insaan ko Mera saamne toh zarur le aao
Aisa sabak sikhaunga na ki woh kabhi nahi bhulega
Monika : ha dadaji
Waise mallika akeli kaha hai mai aur basant hai na
Mallika : thik hai na baba ?
Ajay : tum bohot ziddi ho mallika
Bilkul sumedh ki tarah
Thik hai tum dhundo uss insaan ko
humare aashirwad humesha tumhare saath hai
Mallika smiled
Then sulochana arrived there
sulochana : bhaiya ab sumedh ko kaisi hai
jaynath : abhi treatment chal rahi hai sulochana
Sulochana : hey bhagwan na jaane bhagwan ko hum par kyu itni dushmani hai
Humare hi pariwar ke logo ko itna kuch karte hai
Hey bhagwan humare sumedh ko bachaalo
monika : uncle mai mallika ghar le chalti hu
Mallika : nahi didi mai
Monika : mallika baat samjho hmm...?
She nodded
Ajay : ha beta tum dono jaao
Then they both left to sumedh house
They both sitting on sofa
Mallika : ghar kyu le aayi?
monika : mallika hospital mein discuss karna shayad thik nahi hai humare liye
diwaaro ko bhi kaan hote hai
Woh toh hospital hai itne saare log hote hai isiliye yaha le aayi
Mallika : hmm...
Didi chalo maante hai ki uss din jab aaplog gaadi roke car se bahar aaye
Tabhi kisine chipkar khane mein drugs milaaya lekin aaj toh sab Ghar pe hai
Aur aaj nashta bhi nahi bani
Sumedh ji ne nashta tak nahi khaaye
Monika : kuch bhi nahi khaaya toh yeh drugs aaye kaha se
Mallika : wahi toh didi
Yeh toh zarur hai aaj jo kuch bhi hua Ghar se hua
Lekin bahar se koi nahi aaya subah se toh mai hall mein hi thi
Jab room mein gayi thi tab bhi room ke door khula hai
Mujhe toh koi aawaj nahi aaya kisike aane ka
Monika : hmm....
Sumedh ne kuch peeya kya ya fir tum peene wali thi
She started thinking
Flashes to Flashback
Sulochana : mallika beta
Kya hua chehra aisa utri utri kyu hai
Mallika : woh thoda weakness hai dadi
Sulochana : achha tum ruko mai abhi tumhare liye dudh leke aati hu
Fir hum mandir chalenge
Mallika : nahi dadi iska koi zarurat nahi hai
Sulochana : aree tum ruko toh mai leke aati hu
Flashes to present
mallika : ha didi
Aaj subah dadi boli ki mere liye dudh le aayegi
Fir mai uske bare mein bhul hi gayi
Monika : ekbaar kitchen mein chalo
They both went to kitchen
Monika : yeh glass dekho yeh table par hai aur kafi saaf sutra hai
She smelled glass
monika : yeh dudh ka smell aa raha hai
Dudh ke saath kuch aur smell bhi aa raha hai
mallika : matlab sumedh ji ne yeh dudh peeya
Lekin woh dudh mere tak nahi aaye
Kahi....
Both seen at eachother
Monika : dadi ke kamre mein chalo
They started searching her room
Then mallika found one packet
Mallika : didi..........
Monika seen that
Monika : mera andaaza sahi tha
Shuru se yeh dadi mujhe bohot ajeeb sa lag rahi thi
Tumhe Aisa karne wali yehi hai
Mallika : mujhe toh abhi bhi vishwas nahi ho raha...
Sulochana : kaise hoga beta.....
They both seen her and got shocked

..............................TBC...............................

That's it for today's chapter
Hope you all like this chapter
Vote and comment for more chapters
Stay tune
Radhe Radhe 💛
~Author

yeh kahani hai humare {COMPLETED}✅Where stories live. Discover now