Jaanleva Dhoka

98 6 0
                                    

Fardan ke yahan hone ki wajah se Adil ko office me rehna pad gaya tha. Adil aur uske dad wahan ka kaam sambhaal rahe the. Adil ne bhi zidd ki thi ke wo yahan aayega lekin Fardan ke mana karne pr khamosh hogaya.

*Sir wo andar aa raha hai.* Ek aadmi ne kaha jis pr sab log saavdhaan hogaye.

*Sir wo bilkul dikhayi nahi de raha bahot se log usse ghere hue hai.* Dusre aadmi ne kaha.

*Tum sab ussi pr dhyaan do.* Ahmed ne kaha jo uss aadmi ke sabse pass tha.

*Sir wo apke bahot pass aagaya hai. Aap usse maar sakte hai. Bahot bheed hone ki wajah se kisi ko aap pr shakk nahi aayega. Aap goli chala dijiye.* Ahmed Fardan se bolne laga.

*Beep Beep* Fardan ka phone vibrate karne laga. Fardan phone ko anjaan maarta hua uss aadmi pr nishaana lagane laga jo bahot se logon ke beech me tha. Uss aadmi ka chehra ab bhi sahi se nazar nahi aa raha tha lekin wo aadmi se jis tarah aas paas ke log pesh aa rahe the Fardan jaan gaya tha ke wo aadmi yahi hai.

Fardan ne goli maarne ke liye nishana uski taraf kiya aur ab goli maarne hi laga tha ke phone phir se bajne laga jis wajah se Fardan ka call uske aadmiyon se cut gaya aur usse ab wo aadmi ki sahi position maloom nahi chal rahi thi kyunki bahot logon ne usse gher liya tha. Fardan chidd kar phone dekhne laga jis pr "Jaan-e-Fardan♡" ke naam se phone aane laga. Fardan ka gussa aur chidd uss naam ko dekh kar mitt gayi. Wo muskurata hua call uthane laga.

*Assalamualaikum.* Faiza ki awaaz aayi jis pr Fardan ne sukoon ki saans li.

*Walekum assalam meri jaan.* Fardan pyaar se bolne laga lekin uski nazar ab bhi ussi aadmi ki taraf thi.

Kuch log hatt gaye aur ab Fardan ko wo aadmi ache se nazar aa raha tha. Fardan nishana uski taraf karke goli chalane hi wala tha phir Faiza ki awaaz sun kar rukk gaya.

*Aap kahan hai?* Faiza pareshaani se puch rahi thi.

*Mai kuch kaam se bahar aaya hoon.* Fardan ka dhyaan ussi aadmi pr tha aur wo Faiza se baat karte hue bol raha tha.

Fardan ne gehri saans li aur goli chala di. Gun me silencer lage hone ki wajah se koi awaaz nahi aayi aur goli seedha uss aadmi ko lag gayi. Sab log chillane lage. Security wale goli jahan se chali thi ussi taraf aane lage aur bahot log wahan se bhaagne lage. Sab apni jaan ki parwah me lage the aur Fardan ka dhyaan apni jaan ke baaton me tha jisne pehli baar khudse usse call kiya tha.

*Aap ghar kab tak aayenge?* Faiza ki awaaz sunn kar Fardan hosh me aaya aur gun jaldi se chupane laga. Fardan sabse bahot durr khada tha isliye wahan ke tamashe ki awaaz Faiza tk nahi pahonchi thi.

*Mai jald hi aaunga.* Fardan ne kaha aur tabhi Ahmed bhaagta hua Fardan ke pass aa kar bolne laga.

"Sir jaldi yahan se nikaliye. Wo log hamari taraf hi aa rahe hain."

Ahmed aur Fardan bheed me chale gaye aur ab wahan ke logon ki awaazein sunn kar Faiza pareshaan hogayi.

Jaise hi Ahmed aur Fardan mall ke bahar aaye ambulance bhi wahan pahonch chuki thi.

"Sir humne usse bahut asaan maut di hai." Ahmed ambulance me le jaate body ki dekh kar Fardan se bolne laga.

"Sahi kaha Ahmed lekin ab hamare pass yahi ek raasta tha." Fardan ko bahot afsoos tha ke usne bina tadpaye iss aadmi ko maut ki saza di thi.

"Aaj 10 saalon baad apka badla poora hogaya." Ahmed nafrat se uss aadmi ki laash ko dekhta bol raha tha.

"Tum jaante nahi Ahmed mai ne kya kuch nahi kiya iss aadmi se badla lene ke liye." Fardan bhool gaya tha ke Faiza call pr thi. Usse laga tha uske kehne pr Faiza ne call cut kar diya lekin wo unki saari baatein sun rahi thi. Faiza ko bas jhatke lag rahe the wo hairath se unn dono ki baatein sunn rahi thi.

"Sir humne bas suna hai lekin aap ne toh jiya hai wo sab. Mujhe khushi hai apka badla poora hua. Kash hum usse sirf ek goli se nahi balke ek bhayanak aur dardnaak maut de paate." Ahmed bol raha tha aur Fardan ko achanak apni saari guzri hui zindagi yaad aane lagi.

"Tum jaante ho iss aadmi ko maarne ke liye mai ne apni shaadi ki pehli raat apni biwi ko chodh kar bahar bitayi hai. Iss aadmi ne mera sukoon mera chain sab haraam kar diya tha lekin ab mai sukoon ki saans lunga." Fardan apni pehli raat yaad karta hua bol raha tha.

"Haan sir. Aap ne apne valime ke din bhi toh isse maarne ki koshish ki thi." Ahmed Fardan se baatein karne me laga tha.

Wo dono baatein karte hue car me jaa baithe the aur car se saara tamasha dekh rahe the. Fardan ke saare aadmi wahan se nikal chuke the.

"Valime wale din toh wo marta marta bach gaya tha lekin ab uski hayat khatam kardi hai maine. Aaj hum sab mil kar jashan manayenge." Fardan muskurata hua ussi aadmi ko dekh kar Ahmed se keh raha tha.

Faiza ye sab baatein sun kar bahot pareshaan hogayi thi. Usse nahi maloom tha uska shohar ek qaatil hai. Wo samajhte thi Fardan ka koi business hai lekin wo ek qaatil tha ye jaan kar Faiza ko bahot bada sadma pahuncha tha. Usse bahot afsoos ho raha tha ke Fardan ne kisi ka qatal kiya aur uss baat pr wo jashan manane ka keh raha tha. Faiza sadme me wahin zameen pr baith gayi aur phone bhi wahin kone me pada reh gaya jo Faiza ke haath se gir gaya tha. Fardan inn sab baaton se anjaan Ahmed ke saath apne secret hideout me baitha tha.

"Sir mai ne Adil sir aur Rumaisa ko uss aadmi ke marne ki khabar dedi hai wo log kuch der me aa rahe hain." Ahmed Fardan se bolne laga.

Fardan apne khayalon me hi baitha tha. Sab log jashan manane ke liye khane ka intezaam kar rahe the aur Fardan ek kone me baitha kuch soch raha tha.

"Bhai humne suna aap ne uss aadmi ka qatl kar diya." Adil jo Rumaisa ke saath aaya tha bhaagta hua Fardan ke pass aa kar bolne laga.

"Bhai aap ne usse itni asaan maut kyun di? " Adil puchne laga jis pr Fardan zor zor se hasne laga.

Wahan ke saare aadmi khamosh hogaye aur sab ek kone me thair gaye. Rumaisa aur Adil ko bhi ab Fardan se darr lag raha tha. Rumaisa khud ko Fardan ke picche chupane ki koshish kar rahi thi aur Adil apne darr pr qaabu paane ki.

"Tum logon se kisne keh diya wo marr chuka hai." Fardan gehri awaaz me baat kar raha tha jis pr sab ko khauf aa raha tha.

"Mere maa baap ke qaatil ki maut itni asaani se nahi hogi kabhi." Fardan ne gusse se kaha aur wahan rakhe table pr zor se mukka maar diya jis wajah se wo kaanch ka table chaknachur hogaya aur Fardan ke haath se khoon behne laga.

**************************************

So, how was the twist?

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi)  Under Editing!!! Where stories live. Discover now