Taqdeer Ke Mod

93 6 0
                                    

Saif gusse se bike tezi se road pr chalane laga. Uske mann me bahot kuch chal raha tha lekin uske pass ek bhi aisa shaqs nahi tha jisse wo apne mann ki baat karta. Bachpan se aisa hi tja ke wo sab kuch akele hi bardasht karta aaya tha. Uske 5 saal ka hone pr uski maa iss duniya se chal basi thi. Uske baap ke pass uske liye kabhi waqt na hota. Duniya ke dikhawe ko toh wo bahot acha baap tha lekin jab bhi Saif ko apne baap ki zarurat hoti wo kabhi uske pass maujood na hote. Bahot choti umar se hi Saif ne khudko sambhalna seekh liya tha. Saif shuru se hi sharmila aur tanhayi pasand qism ka ladka tha isliye uske koi dost nahi the. Usne apni zyadatar taleem ghar se hi ki thi kyunki uska baap uski hifazat ko le kar bahot sakht tha isliye wo sirf exams ke waqt hi school ya college jaata. Uske dadiyaal me koi nahi tha kyunki uske walidein ki pasand ki shaadi thi aur yahi wajah se unke aapas me talluqat poori tarah khatam ho chuke the. Uske nanhiyaal me uske nani thi jo ek firangi aurat thi. Wo aksar bemaar hi hoti thi aur Saif ke 15 saal hone pr wo bhi guzar chuki thi.Uska ek mamu bhi tha jo uske baap ka khaas dost tha aur wo dono business partners the. Saif ke mamu ne apne baap ki raah pr chalte ek firangi ladki se shaadi ki thi isliye Saif ki apni mami aur unke bacchon se kuch khaas banti nahi thi kyunki usse unke khane aur tareeqay pasand nahi the.

Saif ko apni maa ki tarah apne saqafat se mohabbat thi aur yahi wajah thi ke Saif ko Ayesha se kuch din baat karte hi uski aadath si hogayi thi. Wo Ayesha se mohabbat toh nahi karta tha lekin usse pasand karne laga tha. Wo jaanta tha pasand ko mohabbat bante der nahi lagti aur yahi wajah thi ke usne khudko Ayesha se durr karliya. Uske ek adaa pr shayad hazaaron ladkiyaan marr jaati aur uski neeli aankhon wo toh har ladki ka dil ghayal karte the lekin Ayesha ek aisi ladki thi jisne apni mohabbat ka kabhi iqraar nahi kiya. Usne toh har waqt uske jazbaaton ke izhaar pr hamesha shakk hi kiya tha. Wo baaqi ladkiyon ki tarah uske husn pr nahi mari thi. Uske laakh chalakiyon ke baad bhi usne uske maqsad ko kamyaab hone nahi diya lekin wo kahan jaanta tha Ayesha koi khaas ladki nahi thi. Wo bhi baqiyon ki tarah pehli hi nazar me uski neeli aankhon pr dil haar gayi thi.

Saif ke dimaag me bahot kuch chal raha tha. Apne baap se ladai, Ayesha se judaai, Apni maa ki yaad, Fardan se badle ki aag aur Mamu ki salah. Wo apne soncho mein gum gaadi tezi se chala raha tha. Gaadi ki raftaar wo apne bechaini ke saath saath badha raha tha. Wo hawa se galle lage gaadi ko na jaane kahan le jaa raha tha. Usse bas iss tarah tezi se gaadi chalana hi hamesha sukoon deta tha lekin aaj ye cheez karke bhi wo bachain tha.

"Maa aap kyun chali gayi mujhe chodh kar? Aap hoti toh mai apki goud me sar rakh kar roo leta. Maa aap aaj mere pass hoti toh mujhe ye sab na sehna padta. Hum sab khush hote. Maa please kahin se aajao na aap. Mai nahi bardashth kar sakta ye sab." Saif highway pr gaadi chalata hua roo kar asmaan ko dekhta khudse bol raha tha. Wo jab bhi kisi uljhan me hota aise hi gaadi tezi se chalata apni maa se baatein karta lekin aaj usse isse bhi sukoon nahi aa raha tha. Usse mehsoos ho raha tha usne ek dil toda tha aur yahi wajah thi ke uska sukoon cheen gaya tha. Rone ki wajah se aansuon se sab dhundla kardiya aur gaadi se tezi se jaati kisi truck se takra gayi aur durr jaa kar giri. Wo buri tarah se ek kone me girr pada aur aankhein band hone lagi toh apni maa chehra aankhon ke saamne dekh kar muskurane laga aur sab andhera hogaya. 

**************************************
Ayesha bina kuch kahe bottle ghumane lagi aur iss baar bottle phir se Faiza pr aayi.

"Truth ya dare?" Ayesha puchne lagi.

"Dare" Faiza ab kuch naya try karna chahti thi.

"Toh tumhara dare hai aaj shaam ka khana tum humein bana kar khilaogi." Ayesha mauqe ka fayda uthati hui boli.

"Wo aap mujhe aise hi keh deti toh bhi mai bana deti." Faiza muskurate hue boli.

Rumaisa ne bottle ghumayi toh iss baar wo Adil pr ruki.

"Truth ya dare?" Rumaisa puchne lagi.

Adil na jaane kin khayalon me gum tha. Rumaisa ke doobara puchne pr hosh me aaya.

"Truth" Adil udaas lehje me bola.

"Apna ek aisa raaz batao jo tumne kabhi kisi se nahi kaha hoga." Rumaisa boli.

"Mere har raaz kisi na kisi ko toh maloom hai." Adil be parwah sa bola.

"Toh aisa koi raaz batao jo tum nahi chahte ke sabko pata chale." Rumaisa ne sawaal ghumaya.

"Kisi se pehli nazar me pyaar kar baitha hoon. Itni shiddat ka pyaar ke uske bina lagta hai jaan nikal rahi ho meri." Adil udaasi se bola.

"Oh kaun hai wo badqismat ladki?" Rumaisa mazaak me boli.

"Tum" Adil bola toh sab hairath se usse dekhne lage. Ayesha nahi jaanti thi uska bhai ye sabke samne kehne wala tha.

**************************************
"Sir apke liye kisi unknown number se call aa rahi thi. Mai receive karu?"

"Haan karo. Kahin koi zaruri toh nahi."

"Theek hai sir mai call back karke puch leta hoon."

*Assalamu alaikum Kaun baat kar rahe hain aap? *

*Walekum assalam. Inke phone me ye number mila humein. Hum nahi jaante ye kaun hai. Yahan highway pr inka accident hua hai. Hum inhein pass ke hospital le jaa rahe hain. Aap wahan pahonch jaiyyega.*

*Kiska phone? Kiska accident?*

*Hum inhe nahi jaante. Inke phone me Dad naam se number save tha apka.*

*Acha apka shukriya. Mai abhi aata hoon.*

Call cut hote hi bechaini se pucha gaya.

"Kiski call thi? Kya accident?"

"Sir apke bete ka shayad accident hogaya hai. Wo log unhe highway ke pass wale hospital me le jaa rahe hain."

"Kya kaha tumne?"

"Sir chaliye hamari zarurat hai unhein."

Wo achanak sadme se bahar aaya aur bhaagta hua car ki taraf pahoncha.

**************************************
"Mai?" Rumaisa hairath se puchne lagi.

"Kya keh rahe ho Adil?" Ayesha ne hairath se sawaal kiya toh Adil hasne laga.

"Tum hogi badqismat... Meri pehli mohabbat nahi. Mai aisa kehna chah raha tha." Adil ki iss baat se Rumaisa ko bahot gussa aaya lekin wo bs munh bana kar khamosh hogayi.

"Chalo Ayesha ab tum Bhai ko call karo." Adil Ayesha ki taraf mudta bola.

"Yaar Adil tum kya ajeeb musibath me daal rahe ho mujhe?" Ayesha apne bhai ka reaction sochne ki koshish karti hui boli.

"Chalo karo bhi. Tum unki chaheeti ho. Wo tumhe kuch nahi karenge." Adil Ayesha ka phone uski taraf badhata hua bola.

Ayesha ne himmat se Fardan ka number dial kiya. Do ring pr hi Fardan ne call receive ki.

*Assalamu alaikum.* Ayesha ne salaam kiya.

*Walekum assalam* Fardan ne jawab diya.

*Bh..ai... Wo bhabi... Bhabi na... Mujhe nahi pata unhe kya hogaya. Wo hosh me nahi aa rahi. Humein Adil ghar chodh kar gaya tha lekin yahan koi bodyguards nahi the aur ab bhabi hosh me nahi aa rahi. Mai unhe hospital kaise le jaun? Bhai mujhe samajh nahi aa raha mai kya karu?* Ayesha ki iss acting pr Adil Rumaisa aur Faiza bahot hairaan hue the.

Ayesha bilkul aise baat kar rahi thi jaise Faiza ko sach me kuch hogaya ho.

Fardan kuch nahi keh saka. Wo bas tezi se car le kar wahan se nikla. Kaanpte hue gaadi chala raha tha. Aakhir ko jo darr tha wahi hua. Wo jaanta tha Faiza ko uski zindagi me laane se uski jaan khatre me pad sakti hai kyunki Fardan ke bahot dushman the aur ab waqai aisa kuch hogaya tha.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi)  Under Editing!!! Where stories live. Discover now