Taqreeb Ki Taiyyari

92 5 0
                                    

Fardan fajr padhte hi Faiza ke saari tasveerein le kar apne office chala gaya tha. Uske office me bhi ek study room bana tha jo sirf Fardan khol sakta tha aur usme usne Faiza ki saari tasveerein saja di thi.

Subah ke 7 baj rahe the office me koi maujood nahi tha. Wo akela baitha Faiza ki tasveerein dekh raha tha. Wo baar baar usse dekh kar muskura raha tha. Phir apna laptop liye wo apne kaam karta wahin baitha. Jab 9 bajne lage toh uska kaam khatam hogaya. Wo uth kar Faiza ke mamu ke ghar chala gaya.

"Assalamualaikum" Fardan ne muskura kar kaha toh Mami darr se apna thook nigalti usse dekhne lagi.

"Walekum assalam." Mamu bahar aate hue bole.

Fardan hall me baitha tha. Jab sab wahan aagye toh Fardan ne kaha, "Mai shaam me ek dawat kar raha hoon. Aap sab Phuppo ko ghar aa jaiye."

"Kis baat ki dawat?" Shafiq ne sawaal kiya.

"Kal Faiza ka birthday hai aur mai chahta hoon aaj raat theek 12 baje uske saare apne uske pass maujood ho." Fardan muskurate hue bola.

"Haan hum sab aajayenge." Arshia ne muskura kar kaha toh Fardan wahan se uth kar chala gaya.

Fardan wahan se Rumaisa ke ghar gaya tha. Rumaisa ab tk apne kamre me saakit si leti thi. Raat bhar roo roo kar uski aankhein soojh gayi thi. Chehre pr sukhe aansuon ke nishaan ban gaye the. Wo zinda laash ki tarah padi thi jab bell bajne laga toh achanak se hosh me aayi. Apne kamre ki khidki se dekhne lagi. Fardan bahar khada tha toh dupatta sambhaalti hui chehra saaf karke nicche darwaza kholne ko utri. Zehra ne darwaza khola toh wo wahin rukk gayi.

"Assalamualaikum khala." Fardan ne sawaal kiya. Fardan Zehra ki asliyat se anjaan tha. Wo usse ab bhi ek achi aurat samajhta tha jisne Rumaisa ko sounteli hone ke bawajood pyaar se paala ho. Fardan Zehra ko mahine mahine kharcha deta tha aur Rumaisa ko bhi salary deta tha. Rumaisa mahine ki kharch wali baat se anjaan thi isliye Fardan ke pass mehnat karke saare paise Zehra ke hawale karti thi.

"Walekum assalam." Zehra ne jawab diya.

"Aaj shaam me phuppo ke ghar dawat hai. Aap sab aajaiye. Khaas kar Rumaisa ki maujoodgi chahta hoon mai." Fardan ne muskura kar kaha.

"Kis baat ki dawat." Zehra ne sawaal kiya.

"Meri biwi ka birthday hai." Fardan muskura kar bola toh Rumaisa ko yaad aaya ke kal Faiza ka birthday hai.

"Hum aajayenge beta." Zehra muskurate hue boli. Fardan ke jaane ke baad bhi Rumaisa wahin khadi rahi. Zehra apne phone me kuch number milati hui apne kamre ke taraf jaati hui baat karne lagi thi jisme Rumaisa ne suna, *Shaadi hum kal karenge aur kal hi hogi shaadi. Ladke ko taiyyar rehne ko kehna 10 lakhs ke saath. Haan wahi aadmi.* Muskurate hue Zehra ki awaaz madham hui aur Rumaisa apne kamre ke taraf bhaag gayi.

**************************************
Fardan party ke baare me sab se keh chuka tha lekin Faiza iss baat se ab tk anjaan thi. Gharwalon ko ghar ki sajawat karni thi isliye Fardan Ayesha aur Faiza ko shopping pr le gaya tha. Wo log jis mall pr aaye the wahan saare kaam karne wali sirf auratein thi aur siwaye Fardan Faiza aur Ayesha ke saare mall me kahin koi grahak maujood nahi tha jisse Faiza ko bahot ajeeb mehsoos ho raha tha. Unki shopping khatam hone pr bhi wo bewajah Faiza ko lekar har dukaan pr phir rahe the taake ghar me sab kaam hojaye.

Faiza toh kabhi zindagi me itne mehenge mall me nahi aayi thi lekin Fardan aur Ayesha ke liye aam si baat thi. Faiza kuch bhi lene se bahot hichkichati lekin Ayesha sab kuch aise utha rahi thi jaise wahan sab muft me mil raha ho.

Faiza ko sochta khada dekh kar Ayesha uske pass aayi aur puchne lagi, "Kuch pasand nahi aa raha?"

"Nahi yahan sab kuch acha hai lekin bahot mehenga hai." Faiza ne jawab diya.

"Ohoo bhabi tum fikr kyun kar rahi ho? Paise toh bhai ko dene hai. Jo bhi pasand aaye uthalo na." Ayesha ab bhi kapde uthati usse boli. Fardan muskura kar wahin ek kone me khadi rahi. Ayesha ki nazar Fardan pr padi jo ek khoobsurat laal gown pr nazar jamaye thaira hua tha.

"Kya soch rahe hain aap?" Ayesha ki awaaz pr wo usse dekhne laga.

"Aaj ki party ke liye kaisa hai ye?" Fardan ne sawaal kiya.

"Bhabi tum ye try karke aao. Bhai ne pasand kiya hai tumhare liye." Ayesha usse wo khoobsurat sa laal rang ka gown pakdati hui boli jo abhi wo Fardan ke pass se le aayi thi.Wo itna bhi laal nahi tha ke aankhon ko chubhe balke ek khoobsurat laal tha jaise Ishq ka rang. Jab Faiza wo gown pehn kar bahar aayi toh Fardan aur Ayesha munh khulla rakh kar usse ghoorte reh gaye.

"Bahot khoobsurat Ma Sha Allah." Ayesha ki awaaz pr Fardan ne jaldi se apna munh band kiya.

"Ma Sha Allah." Fardan usse dekhta hua bola.

"Ye toh aisa lag raha hai jaise tumhe dimaag me rakh kar hi banaya ho." Ayesha muskurate hue boli.

Faiza ko itni tareef ki aadath nahi thi. Wo bas sharam se muskura kar unhe dekh rahi thi.

"Chalo ab tum dono." Fardan Faiza aur Ayesha ke haath pakad kar unhe dukaan se bahar le gaya.

"Ye kapde... Rukiye mujhe kapde badalne dijiye." Faiza ne kaha toh Fardan usse anjaan maarta hua unhe mall ki dusri dukaan me le gaya.

Faiza ko wahan ke maujood staff ke hawale karke Fardan wahan se chala gaya tha. Ayesha bhi Faiza ke pass wali chair pr baith gayi thi.

Jab dono ka poori tarah makeover hogaya toh Ayesha Faiza ko le kar khane ke section me aagayi.

"Tum kuch peena chahogi? Mujhe bahot pyaas lag rahi hai." Ayesha usse puchne lagi.

"Nahi lekin mujhe batao hum kyun aise taiyyar hue hain?" Faiza ko ab tk kuch samajh nahi aa raha tha.

"Bas aise hi. Tu wo sab chodho. Tum meri favourite coffee peena chahogi?" Ayesha usse counter ki taraf le jaati hui boli.

"Coffee? Maine ek baar try ki thi Shafiq ne mujhe pilayi thi." Faiza muskura kar boli.

"Tumhe zarur pasand nahi aayi hogi?" Ayesha andaaze pr sawaal karne lagi.

"Haan wo bahot kadwi thi." Faiza ne munh bana kar kaha toh Ayesha hasne lagi.

Ayesha ne kuch order kiya aur wo dono wahan table pr baithi hui thi. Jab wahan ki waitress unka order le aayi toh Faiza ne fries try ki jo usse kaafi pasand aaye the. Ayesha ke kehne pr Faiza ne coffee bhi try ki jo bahot maze ki thi.

Jaise hi unka khana peena hua wo nicche utar gayi aur parking ki taraf jaane lagi. Ayesha Faiza ko le kar ek car me baith gayi aur wo driver unhe ghar le jaane laga.

"Di wo nahi aayenge?" Faiza ko bahot der se Fardan nahi dikha toh wo puchne lagi.

"Nahi bhai pehle hi ghar ja chuke hain." Ayesha muskurati hui boli.

Ghar tk ka safar khamoshi se kata aur phir jaise hi Ayesha aur Faiza ghar ki taraf badhe toh ghar poora andhere me tha. Faiza ko samajh nahi aaya kuch aur wo bas ek jagah rukk gayi.

"Di??? Phuppo??" Faiza ne awaaz lagayi lekin wahan koi nahi tha. Wo haibath me yahan wahan dekh rahi thi ke achanak ghar ki saari lights jalne lagi.

"Surprise!!" Shaam ke 11 baj rahe the jab sab wahan jama hue the aur Faiza ke saamne aakar chillane lage the.

Faiza sabko hairath se dekh rahi thi. Ayesha muskurate hue uske galle me haath dale muskura rahi thi. Phuppo Phuppa Adil Rumaisa Arshia Shafiq Hadi Sadia Mamu Mami aur baaqi Faiza ke saare dadiyaal wale rishtedaar wahan maujood the. Faiza sabko dekh kar bahot hairaan hui thi phir achanak se khush hui lekin jab Fardan usse kahin nazar nahi aaya toh usse dhundne lagi.

"Kise dhund rahi ho beta?" Mamu ne sawaal kiya toh wo na me sar hilane lagi.

"Tum inn sab se milo." Hadi usse apne dadiyaal se milata hua bola.

Wo sabko janne lagi aur sabse mil kar bahot khush hui thi.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi)  Under Editing!!! Where stories live. Discover now