Andhere Mein Chupe Raaz

89 4 0
                                    

"Ye kisne diya tumhe?" Fardan puchne laga jab Faiza guldasta aur chitti le kar aayi.

"Mai nahi jaanti. Jab mujhe hosh aaya toh ye wahan rakha hua tha aur iss pr likha tha hum jald hi milenge!" Faiza bhi utni hi hairaan thi jitna Fardan tha.

"Theek hai tum pareshaan mat ho. Mai dekh lunga." Fardan uske haath se wo note leta hua bola.

Dono khamoshi se khana khane lage aur jab khana khatam hua toh Fardan ne Ahmed ko call karke ghar pr aane ka kaha.

**************************************
Ayesha Saif ke baaton se bahot zyada toot chuki thi. Usne kabhi Saif se kaha nahi tha lekin wo Saif se bahot mohabbat karne lagi thi. Saif ki neeli aankhein uski aankhon ke saamne baar baar aa rahi thi. Wo chahti thi wo sab bhul jaaye lekin ye mumkin nahi tha. Wo nahi jaanti thi Saif ka khoobsurat chehra tha ya uska har waqt uske liye maujood hona jis wajah se wo usse mohabbat karne lag gayi thi. Saif ka iss tarah anjaan maarna usse bahot chub gaya tha. Wo baar baar usse yaad karke roo rahi thi. Uska ye kehna ke wo ab usse shaadi karna nahi chahta Ayesha ko bahot takleef de raha tha. Kash wo samajh paata wo usse kitni mohabbat karti hai lekin Saif ne itne mahino se bas uske jazbaaton ka mazaak banaye. Uske saath khel kar usse chodh diya. Wo jis baat se hamesha darti aur mazak me Saif se kehti rehti wo sach hogayi. Wo sach me uske jazbaaton se khel kar chala gaya.

Ayesha kayi der tk apne office me baithi chehra haathon me chupaye roti rahi aur tabhi peon ke aane pr chehra dusri taraf pher liya.

"Madam apke liye chai ya coffee kuch mangau?" Peon ke puchne pr Ayesha apna chehra saaf karti hui apni awaaz ko qaabu me laati boli, "Nahi mujhe kuch nahi chahiye."

Peon ke jaane pr Ayesha apna chehra dho kar phuppo ke office ki taraf chali gayi.

**************************************
Ahmed aur Sameer Fardan ke saath nicche hall me baithe the. Faiza goliyon ke asar ki wajah se phir se apne kamre me sogayi thi.

"Ahmed ye note dekho. Ispe kiska handwriting hai aur ye hospital me kaun rakh kar gaya. Hospital ke saare CCTV check karo aur iss insaan ki saari details mujhe shaam tk laa kar do." Fardan wo chitti Ahmed ko de kar bola toh Ahmed wahan se chala gaya.

"Toh kya maloom kiya hai tumne Saif Sultaan ke baare me?" Fardan Sameer ki taraf dekh kar puchne laga.

"Sir Saif Sultaan toh bahot hi shareef aadmi hai. Wo bahar desh me paida hua hai aur wahin uski parvarish hui hai. Usne bahot ache university se photography ki degree bhi li aur toh aur wo ek wakeel bhi hai. Uski life bahot ache se guzar rahi thi bahar phir najaane kyun wo yahan aaya. Wo ek ameer ghar ka ladka hai. Uski maa nahi hai lekin baap bahot bada businessman hai isliye usse paison ki kami toh kabhi nahi thi lekin uska yahan aana ab tk samajh nahi aaya. Upr se hamari company join karna bhi kuch ajeeb hai." Sameer ne ek saath saari baatein bata di.

"Ye Saif Sultaan hai kaun? Tasweer dikhao mujhe iski." Fardan puchne laga.

"Sir maine bahot dhundne ki koshish ki lekin humein bas kuch hi photographs mile hain wo iski university ke hai aur kuch maine iske resume se nikali hai." Sameer photos Fardan ki taraf badhata hua bola.

"Lagta hai kahin dekha hai isse maine... Lekin kahan mujhe yaad nahi aa raha." Fardan khudse bola.

"Aur kuch details mil sakte hain toh maloom karo iss Saif ke baare me." Fardan bola toh achanak se Ayesha andar aayi.

"Nahi bhai koi zarurat nahi." Ayesha boli.

"Kyun?" Fardan hairath se puchne laga.

"Bas zarurat nahi." Ayesha boli toh Fardan khamosh hogaya.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi)  Under Editing!!! Where stories live. Discover now