Main waha se bina kuch kahe apne room main aagyi. Main soch bhi nahi sakti thi ki esa kuch ho sakta hai mujhe to ye lga tha ki wo asiab(jinn) meri dost ke jism par kabu karna chahta hai lekin main galat thi. Abbu ne jo kaha uske baad mujhe kuch samjh nahi aa rha tha main kya kru.
Main ye sab soch hi rahi thi to ek dam mere room ka door knock hua. Bahar se abbu or ammi dono behad pareshani se awaz de rhe the: "Beta darwaza khole hame tumse kuch baat karni. Hame pta tha ye btt sun kar tum pareshan ho jaogi isliye ham tumhe kuch nahi bata rhe the. Ab tumhe hamne sab kuch bata diya hai plz beta darwaza khol do ham tumhe pareshan nahi dekh sakte plz".
Ammi abbu ki awaaz sun kar mene darwaza khol diya. Mere chehre ki pareshani dekh kar abbu bhi thoda udas ho gye mene kapte hue kaha : "W..W..wo asaib (jinn) m..m..mere liye yaha aaya hai w..wo mujhe apne sath lekar Jana chahta hai. Abbu plz kuch kariye na m..main uske saath nahi jana chahti or meri wajah se meri dost ko itna suffer karna padh raha hai. please abbu kuch kariye".
Meri kapti hui awaaz or baicheni ammi abbu ko kese andar hi andar pareshan kar rhi thi. Mujhe Sulane ke baad ammi abbu living room main jakar baith gye or is masle par btt krne lage ki ab us jinn ko kese roka ja skta hai. Wo koi mamuli sa jinn nahi balki ek asaib yani jinnato ka Shehzada hai use rokna itna asan nahi hoga. Ammi abbu ye baat kar hi rhe the itne unke pass moulana ka call aayi.
"Assalamualaikum, maulvi sahab"
"Walekum assalam, hamne apko ye batne ke liye call ki hai ap apni beti Ruhi ko call hamare pass dargah lekar aayein hame kuch baat karni hai".
"Lekin kese lekar aayein ham use jabse use ye pata chala hain ki wo asaib Saafiya ke liye nahi balki uske liye aaya hai tabse woh bohot dar gyi hain. Aur use bohot tez bukhar bhi aa gya hain. Hame to kuch samjh nahi aa rha hain ap hi kuch raste bataye jisse hamari dono beti pehle jesi ho jye".
"Isliye hi to main apko kal bula raha hu hamne kuch socha hain. App Ruhi ko lekar kal aayein ham apko kal batate hain ki aage kya karna hai, Aur ha Saafiya ki koi esi chiz bhi lekar aana Jo wo apni rozana ki zindagi main istemal karti ho".
"Ji thik hai, ham Ruhi ko kal ,
lekar aa jyege"."Thik hai, fi aman ullah "
"Allah hafiz "
Moulana se baat karne ke baad ammi dinner ki tayyari karne ke liye chali gyi, or abbu living room main baithe the. Thodi dair baad ammi hame uthane ke liye room main aayi :" Ruhi beta uth jao khane ka waqt ho gya hai chlo jaldi utho or kuch khalo phir Aram kr lena".
"Ji ammi ham aa rhe hain ap chle". Ammi ke jane ke baad main washroom main jakar fresh ho gyi or niche dinner ke liye aa gyi. Dinner ke baad main sidha apne room main chli gyi or isha ke namaz aata krne ke baad bed par lait gyi.
Kuch samajh hi nahi aa rha tha mere saath ye kya ho rha hai. Jese tese raat khatam hui, or ham agle din ham moulana ke pass Jane lge. Jate jate ammi ne aunty se Saafiya ki koi esi chiz le li jo wo rozana istemal karti hain. Dargah pe pohoch ne ke baad moulana ne hame baithaya or Saafiya ki istemal Kari hui chiz mangi. Ammi ne ek scarf apne bag se nikala or moulana ko de diya.
Moulana ne us scarf ko gor se dekha or kaha :"Thik hai, ab ham jo kehte hain wo gor se suno. Mene is asaib ke bare main Amal Kara to malum hua ki ye asaib itni asaani se jane wala nahi hain. Ye hamari soch se bhi zyada takatwar hai. Ruhi jab tk ham na kahe tb tk tum Saafiya se milna to dur usse call ya massage par bhi baat nahi kar sakti".
"T..thik hai, main usse btt nahi krugi ". Mene unhe jawab dete hue kaha. Uske baad unhone mujhe ek Tavis diya or kaha :Beta is tavis ko hamesha apne pass rakhna or ise kabhi mat utarna,
thik hai". Mene unse tavis le liya. Uske baad ham waha se ghar aa gye. Main bina kuch kahe sidha apne room main chli gyi or us tavis ko dekhne lagi."Ruhi ka esa behaviour mujhe kuch acha nahi lag raha hai, hamari hasne khelne wali beti pta nahi kaha kho si gyi hai". ammi ne abbu se kaha uske baad ammi kitchen main chli gyi. Abbu bhi living room main jakar baith gye tabhi abbu ke pss Saafiya ke father ka call aata hai.
"Assalamualaikum, Ibrahim app ajj moulana ke pss gye the waha kya hua moulana ne kya kaha".
" Walekum assalam, Azeem ham Ruhi ko lekar gye to the unhone Kaha ki wo Jinn hamari soch se bhi zyada takatwar hai abhi wo uske bare main janne ki koshish kar rhe hain".
" Acha, or Ruhi ke liye unhone kuch bataya ki use Saafiya se milna chahiye ya nahi".
"Jese ki tum jante hi ho wo jinn kitna takatwar hai or wo Ruhi ke liye hi yaha aaya h, to moulana ne filhal Ruhi ko Saafiya se milne ko mana kra h or use ek tavis bhi diya hai jo Ruhi ko us jinn se mehfuz rakhe ga. Yaha tak ki ab wo Saafiya se call bhi baat nahi kar skti".
"Acha, bass yehi puchne ke liye call Kiya tha ki waha sab kuch thik to hai".
"Ha yaha sab thik hai, or tum bhi pareshan mat ho moulana kuch na kuch kar hi lenge, Allah par bharosa rakho".
"Ha, bss ab Allah pr hi bharosa hai,
in shah Allah sb thik hi hoga"." Hnn, Allah hafiz phir baat karte hain".
"Thik hai Allah hafiz".
Let's meet at next part