Dekh Kar ke dusron ko,
Aayi Hume unki yaad,
Bhar aaye aankhein,
Dil gaya kaap,
Zakm sa lagta hai ye darmiyan bich ka hamare,
Par utna hi khubsurat banata ye safar humare,
Aankhon mai unka intezar hota hai,
Zuba pe unka hi Faryad hota hai,
Dil pe naam unka hota hai,
Phir bhi sham yunhi badnaam hota hai.
Raaton ko rokar soye hai aankhein,
Ke subah phir intezar ka ineteqam Shuru hua hai,
Darr Kar khone ka unko,
Mil Jaye dhoka Jo usko,
Ya mile sath zindagi bhar ka usko,
Sab sochein hai usne,
Apne aas pass ki harr jagah ko jod liya hai usne,
Unki yaad mai kitne hi kahani kisse banaye hai,
Unke yaad mai Kitna hi raatein jag Kar bitaye hai,
Dil jab Dara ho to unko hi yaad kiya hai,
Taqat mili unse to sab kaam safal hua hai,
Kase yaad na aaye harr pal unki,
Jab zindagi ka harr ehsaas unse Juda hai.
Yaadein to hai magar sath ki bekarari bhi hai,
Juda nhi unse Parr durri ye dushwari hai,
Juda hai filhal intezar mai ek duje ke,
Yaadein hai filhal,
Par umeed sath hone ki aankhon ke chamak mai,
Faryad unse milne ka Inn labon mai,
Ke jhuk jaye aasman jab mile hum dono uss anokhe pal mai.
YOU ARE READING
For you
PoetryJust collection of some random hindi poems which I have written.I wrote what I felt,hope you like it..