kyu aaj dil kuch udaas hai.
wajah bhi na koi khas hai,
chikheiin jo itni sune hai humne,
jane aaj kya unmein ehsaas hai
drishya jo dekha wo sirf nritya hi to tha,
par darawna itna ki ruh kaanp jaye
hua jab sachme hoga uss ladki par atyachaar
kase na tod gaye wo chikhein
unn rakshason ke dil ko par
aankhon se baha harr ek ka aansu
phir bhi hua khamosh nyay ka tarazu
harr ladki aaj darri hai
harr aurat aaj sehmi hai
ladke aur mard sab bure nhi hote
par na jane kyu aaj unse bhi durri hai
rakshak jo aaj bhakshak bane hai
jhut ka chaddar odhe kuch sach chupaye baithe hai
farab ke upar acchai ka nakab dalkar rastein par haiwan chalte hai
jo pari si thi ,unko hi nochte hai
nhi rishta koi khoon ka na koi rishta dil ka hai
phir bhi chinta uss ladki ki hai
insaaniyat hai aaj bhi bss usse hi rishta hai
na jane koi itna nirdaye kase hogaya
uss rishte ko tod kar yun wo chala gaya
hum insaan ye kase bhul rahe hai
ki banane wala ek tha humara
wo bhi aurat ke aage jhukha hai
sirf mardon ko hi kya kahe hum
jab aurat ne hi sach ko nakara hai
sharm aate hai ase kanun pe
jaha rakshas ko marne wale yoddha ko fasi hoti hai
taqat ke tale sab dab jate hai
bhrashtachaar ke aage sab jhukte hai
aagar iss baar bhi unn janwaron ko fasi mili to ye anyay hoga
uss masum ne to 9 rakshashon ko jhela hoga
inhe fasi na mile ye dua hai hamare
jangli janwar inhe noch khaye ki inki chikhon se gunje duniya sare
ase khwaish rakhte hun mai
ek ladki hun janab
bss uss hadse ke bare mai soch kar hi darte hun mai
jis par guzri thi uska haal baya nhi kar payega koi
aur agar wo kehni aaye to seh nhi payega koi
YOU ARE READING
For you
PoetryJust collection of some random hindi poems which I have written.I wrote what I felt,hope you like it..