Bhai tum kash smjhte

9 1 0
                                    

Mana sagi bhen nhi mai tumhare,
Rishta khoon ka nhi hamara,
Par dil se mana bhai tumko,
Par mann sake na tum apna mujhko.
Kaha tha Maine ki tum mera apna ho ,
Par Main tumahre sirf pareshani hun.
Bhai Kash tum smjhte,
Kya bitte hogi mujhpe uss Rakhi Par
Jab aaye nhi tum mile itne khas mauke Par.
Dil se salamati ki Dua Manga karti hu,
Ishwar se tumhare khushiyan hi mangti hun,
Mana sagi nhi ,muh boli bhen hun Teri,
Phir bhi hun to Teri hi na saheli,
Ruth jaun,to maafi Mang leta hai,
Ladd lu to sunn leta hai,
Agar kuch puch lo ,
To tu khoya hi rehta hai,
Kash bhai tu smjh Pata,
Sirf bhai ,bhai nhi,
Dost hota hai bhen ka,
Uske chehre ke bhav se usko padhta hai wo,
Tune kabhi mera chehra pe muskan hi nhi dekhi,
Dukh kya hi batau mai tujhko,
Khush thi ki tu mera bhai hai,
Ab dukh hai kyunki Jane ki Teri Bari aayi hai,
Pass rehkar Yun to milta nhi hai mujhse,
Durr jakar to bhul jayega,
Kash bhai tu thoda sa smjhta,
Kuch hamare iss pyare se rishte ke,
Khatte mithe yaadein mujhko de jata,
Tera Jane Par, Teri yaad mai hoth mai muskan aur aankhon mai Nami hoti,
Par Asa hua nhi,
To shyd chehra pe aansu aur dukh ka nishan kayam dekhenge,
Kash bhai tu smjh Pata,
Ek bhai Jase bhen ko Stata,
Chal chod khush reh tu,
Shikayat kya hi karun,
Apna thodi manta hai tu.

For youWhere stories live. Discover now