Khushiyan

5 2 0
                                    

Pucha kisine tha mujhse Khushi kya hai tumhare liye,
Jawab diya bhram hai wo mera liye,
Sapne sajana aata hai mujhko,
Phir khush hokar bikharte dekha hai khudko,
Kehte hai log Khushi ke pal mai jee liya karo,
Hum khush hote hai to wahi log hi rok deta hai khushiyan sare,
Sirf yeh kehkar ki itna na khush ho,khushiyan chali jayengi,
Zindagi kafi badi to nhi hoti yaha ,
Par zindagi mai aap Khushi se Kitna jeeta ho,
Yahi Mayne rakhta hai,
Yeh duniya ke log Hume kehta hai gen z,
Do they even know who are we?
Zarurat se zyada masum ya chalak,
Hadd se zyada shant ya rude,
Behad khas ya bilkul simple,
Even we don't know who we are,
Main mante hun ki pyar taqat hai,
To koi kehta usse kamzori,
Koi mane ki khushiya hi sab hai,
Par main Manu yaha sirf paisa hai zaruri,
Yaha ke log,unke jazbat,unki baatein,unki harkatein,
Unki harr chiz hum par Asar karti hai,
Humare apne hi hai wo log,
Jo jab hum khush ho,
To unhe tabah karte hai,
Isliye kehti hun ab ye aur karti hun vishwash,
Ki Khushiyan sirf ek bhram hai mera yaar.
Aaj khush ho jitna usse zyada kaal roge,
Jitna sukoon hai aaj,kaal Utne hi bechain hojaoge,
Ye duniya ek bhram hai,hum khud bhram hai,hum Jo sochte hai wo bhram hai,
Humare ehsaas,humari yaadein,humare apne ,
Sabhi ek bhram hai,
Yaha ki khushiyan meri jaan bhram hai,
Maat bano bewakuf yaha,
Aur dikhao apne jasbat,
Khush bhi ho agar Sach Mai,
To chupa lo apne jazbat,
Nazar na lage khushyon ko tumhare,
Ye Dua rahegi hamare,
Bhram tumhara hai,rakshak tum ho,
Smhal lena yaar,
Bikhro bhi to udaas na hona,
Kuch choti si Khushi phir dhund lena,
Bhram hai khusiyan ,
Par hai to wo umeed hi,
Chahe agar jeena wo bhram,
To chupake rakho isse Bass duniya se durr ase hi.

For youWhere stories live. Discover now