Prem kya hai

3 0 0
                                    

Dekh Kar unko kho gaye hum,
Hataye unse nazre to tabah hua hum,
Mile Jo unse to zindagi khushhaal hogaye,
Ki bichdi phir rahein to dil behal Kar gayi,
Unki muskan mai zamana abad dikhta hai,
To wahi aankhon mai nami ho,
To zamana khrab lagta hai,
Kuch hojaye unhe ye sochna bhi na gawara hai,
Par khud maut ko Cho le to bhi manzur hai,
Dua bss yahi dil ki hoti hai,
Ki muskan meri unki ho,
Aasuon unke mera ho,
Zindagi agar meri zyada hai to,
Aadhi usme unki ho,
Dinn shuru hua ki hua dinn khtm,
Ye pta hi na chala,
Ki kho chuke unmein khudko hai hum,
Ehsaas ye ajnaabi si hai,
Na phle mehsus kiya na dekha kahi hai,
Dil jal jaye kisi aur ka sath unko dekh Kar,
Khoon khol jaye unke naam ke sang kisi aur ka jodte dekhkar,
Manzur nhi hota iss mann ko mera ,
Bechain hojata hai ye dil ka aagan,
Lekin unki Khushi kisi aur mai hai,
To unke sath hum unhe chod denge,
Nhi jante ye ehsaas kya hai,
Par unki muskan ke liye khudko tabah Kar lenge,
Koi kehra ki ye pyar hai,
Na Jane kase ye bahar hai,
Jo hai uska naam nhi jante,
Par jaan hai wo meri itna hai mante.

For youWhere stories live. Discover now