Hisaab Aur Inteqaam

96 6 0
                                    

Faiza Fardan aur Ayesha ke saath Shafiq aur Arshia ki shaadi me pahonch gayi thi. Zeba unhe dekh kar unke pass aa rahi thi toh Fardan Faiza ka haath pakad kar usse dusri taraf le gaya jahan Riyaz khada hua tha. Riyaz Fardan ko dekh kar thoda pareshaan hua. Uske maathe se paseena jaane laga. Wo sharmindagi se sar jhukaye Fardan ke saamne thaira tha.

"Assalamualaikum mamu." Faiza boli toh Riyaz ne muskura kar jawab diya. Fardan bhi daant peeste hue Riyaz ko salaam karne laga.

Zeba ab unke pass aayi aur Fardan se boli, "kaisa ho beta aap?"

"Ye sawaal toh apko Faiza se puchna chahiye." Fardan Zeba ko ghurte hue bola.

"Beta Faiza ko mai ne kaha tha kuch samaan laane ko wo pata nahi wahan kaise band hogayi." Zeba ab jhoot bolne lagi jisse Riyaz gusse se usse ghurne laga.

"Mai subah apka aiteraaf sun chuka hoon Mami." Fardan apne gusse pr qaabu paate hue kaha.

Faiza Fardan ko dekhe jaa rahi thi. Usse darr lag raha tha kahin Fardan gusse me kuch kar na baithe. Wo uske aur mami ke darmiyaan khadi ho kar Fardan se boli, "Haa mami sahi keh rahi hain. Mai kuch apna samaan lene wahan gayi thi aur kisi ne kamra lock kiya toh mera dhyaan nahi gaya. Ab wo baat hogayi aap usse jaane dijiye."

Mami muskurate hue mann me boli, "Bahot khoob Faiza, sahi seekha hai tumne mujhse."

Fardan Faiza ko dekh kar gehri saans leta hua khudka gussa shant karne laga. Jab Fardan ka gussa khatam hua toh wo muskurata hua Faiza ko dekhne laga. Faiza bhi muskurate hue stage ki taraf jaane lagi jahan Arshia aur Shafiq baithe hue the. Fardan bhi Zeba ko ek nazar ghoor kar stage ki taraf jaane laga.

"Bahot mubarak ho Shafiq tumhe." Faiza stage pr thairi hui boli.

"Shukriya" Shafiq bolta hua Arshia ko dekhne laga.

Fardan ek tohfa Shafiq ke haath me rakhta hua usse mubarakbaad dene laga. Faiza Arshia se galle mil kar usse mubarakbaad de rahi thi. Arshia ke kehne pr Faiza aur Fardan ne unke saath kuch tasweerein li aur phir wo stage se utar gaye.

Azra aur Aqeel bhi wahan aaye hue the. Sab mil kar khane ki taraf gaye aur khana khatam hote hi Fardan Riyaz se akele me muskura ke mil kar bina ruke sab ko le kar wahan se nikal gaya.

**************************************
"Boss kahan reh gaye itni der se?" Sofiya Adil ke pass baithti hui boli.

Raat ke 12 baj rahe the aur Fardan ab tk unke pass nahi aaya tha. Wo sab 9 baje se Fardan ka intezaar karte hue baithe the.

"Bhai shaadi me gaye hue hain. Unhe aane me der ho jayegi. Tumlog ghar chale jao. Bhai se mai baat kar lunga." Adil phone side me rakh kar Sofiya se bola.

"Lekin boss ko kuch zaruri kaam hoga humse toh?" Sofiya puchne lagi.

Rumaisa achanak se andar aayi aur Sofiya ko Adil ke bahot pass baithe dekh kar usse bahot ajeeb laga. Wo bas Sofiya ko ghoor rahi thi jaise usse kaccha chaba jayegi. Adil ki nazar Rumaisa pr padi toh Sofiya ke kandhe pr haath rakhta hua wo bola, "Tum fikr mat karo Sofi... Mai bhai se baat karlunga."

Adil ka Sofiya ko Sofi keh kar pukarna Rumaisa ko bilkul acha nahi laga. Wo gusse se unn dono ko dekhi jaa rahi thi. Sofiya Adil ke Sofi kehne pr sharmane lagi jisse dekh kar Rumaisa ko bahot chidd aayi.

*Assalamualaikum.* Rumaisa ka phone bajne laga toh wo baat karti hui phir se bahar chali gayi.

Adil jaldi se uth kar dusri jagah baith gaya. Usse Sofiya ke pass baithna bada ajeeb laga tha lekin Rumaisa ka rad'e amal dekhne ke liye Adil jaan bujh kar Sofiya ke pass baitha. Kaafi der tk Adil Rumaisa ka intezaar karta hua wahin baitha raha lekin Rumaisa nahi aayi toh Adil pareshaan ho kar bahar aaya. Rumaisa ki gaadi wahan nahi thi toh Adil ko bura laga.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi)  Under Editing!!! Where stories live. Discover now