Basically yeh story tab start hoti hai jab Dhruv Tara or Shaurya navrangvan ka use karke 21st century mein jate hai .Tabhi Durgawati navrangvan ko aag laga deti hai par isse phale aag un tak pauche Dhruv Tara or Shaurya 21st century pauch jate hai
(Sabse phale dhruv ki aankhen khulti hai aur woh dekhta hai ki woh Tara or Shaurya uski jungle ke usi hisse mein hai jahan per Dhruv ko Shaurya ke fenke hue sone ki sikke mile the)
Dhruv- Tara Shaurya utho dekho hum 21vi sadi pauch gaye
(Dhruv ki baatein sunkar Tara or Shaurya dhere dhere apni aankhen kholte hai)
Tara - Dhruv hum 21vi sadi pauch gaye
Dhruv - Haa Tara
Shaurya- Maasa yeh hamare papasa ki duniya hai na jiske baare mein apne mujhe bataya tha
Tara - Haa Shaurya
Shaurya - Maasa hume bhaut bhook lagi hai kya hum bhojan karne chal sakte hai
(Yeh sunkar Dhruv Shaurya ko apni god mein uthata hai or Tara ka hath pakadkar bolta hai)
Dhruv - Kyo nahi aaj phali baar hum teeno sath mein khana khayenge.
Dhruv tabhi apne phone se ek cab book karta hai or thodi der mein cab waha aa jati hai
Shaurya Shock - Adhbut papasa yeh kya hai
Dhruv - Shaurya beta yeh hai car
Shaurya - Car
Dhruv - Ise tum hamari duniya ka rath bol sakte ho
Tara in mind - Hey Kahna ji pita putra ki zodi bas ase hi humesha khush rahe
(Dhruv pehle Tara or Shaurya dono ko kapado ki dukan mein le jata hai or unke liye 21vi sadi ke kapade khareedata hai. Shopkeeper or baki logo ko Tara or Shaurya ke kapade dekhar thoda ajeeb lagta hai Dhruv Tara or Shaurya phir cab mein baithkar restaurant mein jaate ha)
Dhruv - Shaurya beta hum yaha par khana khayenge or yeh jagah kaisi lagi
Shaurya - Adhbut papasa yeh jagah tho bhaut achi hai
Dhruv - Tara Shaurya batao kya khaoge
Tara - Dhruv aapko jo acha lage aap woh manga dijiye
Dhruv apne or Tara ke liye manchurian order karta hai or Shaurya ke liye pizza with chocolate sake
Dhruv Tara or Shaurya teeno ek dusre ko apne hatho se kahna khilate hai (Kitne pyare lag rahe hai what a lovely family)
Aaj ke liye itna hi