Part 6

521 79 6
                                    

Abhimanyu and aarohi were shocked to see shefali lying on the floor.

Aarohi made her stand and abhimanyu held parth's collar.

Abhi - yeh kya kar rahe the aap, aapki himmat kaise hui bhabhi ke saath aisa karne ki.

Parth - abhimanyu tum galat samajh rahe ho woh toh shefali ka pair fisal gaya tha...

Abhi - humne khud dekha aapko bhabhi ko dhakka dete hue...

Aarohi saw marks on shefali's face and arms.

Aarohi - abhimanyu.

He looked at her.

Aarohi - yeh dekho.

He looked at the marks and he got heartbroken.

He slapped parth.

Parth - mujhpe haath uthaya apne bade bhai pe.

Abhi - nahi, maine us pati par haath uthaya hai jo apni patni ko jaanwaro ki tarah rakhta hai, aapki himmat kaise hui bhabhi par haath uthane ki.

Aarohi - bhabhi kahi yeh reason toh nahi hai na ki aap shibu ko durr rakh rahi hai.

She looked at her and they understood.

Abhi - bhabhi kab se chal raha hai yeh sab.

She looked at parth.

Abhi - bhabhi unhe nahi mujhe dekhiye aur bataiye, kab se chal raha hai.

Shefali - 4 saalo se.

They were shocked.

Abhi - bhabhi 4 saalo se aur aapne bataya nahi.

Parth - abhimanyu yeh humare beech ki baat hai tumhe bolne ki zarurat nahi hai.

He held his collar and dragged him downstairs.

Mahima - abhimanyu yeh sab kya hai, kaisa tarika hai apne bhai ke saath behave karne ka.

Abhi - tai ji apne bhai ke saath behave karna toh main sikh hi jaunga lekin aap inhe apni biwi ke saath behave karna sikha nahi paayi...

Anand - hua kya hai koi batayega..

Manjiri - abhi kya hua, aarohi tum batao.

Aarohi - maa parth bhaiya shefali bhabhi ko maarte hai.

Everyone was shocked.

Mahima - Aarohi...!!!

Abhi - tai ji please ab toh apne bete ka saath dena bandh kariye, shefali bhabhi ki chot nazar nahi aa rahi aapko, aur aaj se nahi 4 saalo se chal raha hai yeh sab.

Manjiri - kya..!!!

Shefali - itne saalo se main chup rahi apne bete ke liye, mujhe laga agar mera ghar tut gaya toh mere bete ka dil tut jayega, par main samajh gayi, main kitna bhi kar lungi na yeh aadmi kabhi nahi sudhrega.

Anand held parth's collar.

Anand - sach hai yeh..??

Mahima - Anand...

Anand - mahima...baat kar raha hu main...

She looked down.

Anand - tu bol.

He looked down.

He slapped him hard...

Anand - aaj agar yehi chiz shefali police ke saamne kahe na toh teri izzat tera naam sab ek baar mein mitti mein mil jaaye, nikal jaa iss ghar se abhi.

Parth - dad.

Anand - maine kaha nikal... koyi jagah nahi hai teri iss ghar mein.

He looked at mahima.

Anand - apni maa ki taraf dekhna bhi mat, maine kaha nikal.

Shefali - dad shibu ghar aa raha hai agar parth ko nahi dekhega toh...

Anand - usse hum samjha lenge, lekin agar woh iski sangat mein raha toh aisa hi ho jayega, aur tu security ko bulau ya aap khud niklenge.

He looked at shefali and went from there..

Mahima - Anand hui hai galti parth se par.

Anand - galti, isse tum galti kehti jo mahima, galti nahi hai yeh, crime hai gunaah hai, apni bahu ko shukriya kaho ki police mein nahi gayi warna tumhara laadla jail mein hota iss waqt.

She didn't say anything and went from there.

Manjiri - aarohi shefali ko kamre mein le jao aur uske chot par marham lagao, main uske liye haldi wala doodh lekar aati hu.

She nodded.

Abhi - aarohi main nikalta hu mujhe surgery ke liye late ho raha hai, bhabhi main aapse aa kar milta hu.

She nodded.

Abhimanyu left.

Aarohi and nishtha took shefali to the room.

They made her sit on the bed and cleaned her wounds.

She cried.

Nishtha - bhabhi shaant ho jaiye.

Aarohi - bhabhi please calm down, himmat rakhiye, aap hi himmat haar jayengi toh Shibu ka kya hoga, main jaanti hu abhi aapke mann mein kya chal raha hoga lekin shaant ho jaiye...

Shefali - aarohi bina maa baap ka baccha khud ko sambhal leta hai kyuki usse pata hota hai ki usse akele hi rehna hai, kisi bacche ke pass agar ek hi parent hai toh woh bhi yeh samajh jaata hai ki uss ek ki kami usse zindagi bhar rehne wali hai, lekin jiske pass dono ho, phir bhi woh usse ek complete family na de sake toh baccha tut jaata hai aur mere shibu ke sath aisa hi hoga...

Aarohi - aisa kyun soch rahi hai bhabhi, hum sab hai Shibu ke saath, kya hum uski family nahi hai, aur jo bhi hua usme aapki koi galti nahi hai, iss waqt bhi aapko apne bacche ki fikar hai wahi fikar parth bhaiya ko bilkul nahi hai, agar hoti toh woh yeh sab karte hi nahi, bhabhi aapne suna hoga na ki paani jab patthar par zyada padta rehta hai toh patthar mein bhi darrar aa jaati hai, kyuki uski bardasht karne ki limit khatam ho jaati hai, hum toh phir bhi insaan hai, kabhi kabhi chize humari capacity ke bahar chali jaati hai, aakhir insaan kab tak seh sakta hai, bhabhi ab aapko strong banna hai apne baare mein sochna hai shibu ke baare mein sochna hai, aapne darr ki wajah se shibu ko khud se durr rakha lekin ab usse apne pass rakhiye aur unn logo ko yeh dikha dijiye ki ek akeli maa kya kar sakti hai, woh bhi apne bacche ka utna hi acche se dhyan rakh sakti hai jo dono parents mil kar rakh sakte hai.

She hugged her.

Abhirohi : our little princess Where stories live. Discover now