Chapter-3

119 10 5
                                    

Continue from last part .

At Headquarters Mumbai .

At Commissioner cabin .

Rahil bhaiya smiles hearing that his team are ready to do anything for saving the country .

Rahil : Mujhe bahut khushi yeah jankar ki aap log bhi unn logon mein se hai joh apne desh ko bachaane ke liye khuch bhi kar sakte hai . Mujhe mere missions ke liye esi hi teams chahiye joh apne country ke liye kuch bhi kar guzarne ko humesha tatpar rahe jinki aakhon mein humesha apne desh ke prati kuch karne ka jazba aur junun dikhe and I got that in you all guys .

Hearing this all smiles .

Munjarin : Sir mission ki training kabse start hongi aur mission ka name kya hoga ?

Karishma : Mission ka naam hum log Desh ki suraksha rakhte hai kyu bhaiyu ?

Rahil : Maryaada ka dhyaan rakhiye Miss Karishma yahan mai aapka cousin nahi senior hun so call me Sir here not bhaiyu aur haa hum log mission ka naam black panther rakhenge and that's final .

All : Ok Sir .

Hearing this Karu di got sad and Rahil bhaiya and all notice that .

Karishma (In mind : Bhai ko hua kya hai woh mere se itna badla badla behave kyu kar rahe hai kyun baar baar khudko mera cousin bol rahe hai jabki mai unko real se bhi bahut jyada pyaar karti hun aur woh bhi toh mujhe apni sagi behen maante hai (sadly )) .

Rahil (In mind : Maine kabhi bhi nahi socha tha ki mai tujhe nirash karunga kabhi laadoo lekin abb mujhe karna hoga tujhe hurt bhi karna hoga aur nirash bhi itna ki tuu khud mujhse aake bole ki aap mere sage nahi chachere bhai hai aur mai aapse nafrat karti hun )

Rahil : Training kal se shuru hogi kyunki aap log aaj hi thake haare aaye hai toh aj sab rest karenge phir kal subah 5 baje aap logon ko hum training denge . Aur haa ek baat hum time ke bahut punctual hai so guys please dhyan rakhna ki diye hue time par hi pahuncho kyunki aap log jitna late karoge utni hi strict punishment milegi .

All : Okk Sir .

Rahil : Miss Karishma aap sabse jyada dhyan rakhiyega iss baat ka kyunki humein pata chala hai ki inn dino aapko har jagah thoda late aane ki aadat padi hai So be careful because You know how Strict I am .

Karishma : Jii Sirr mai dhyan rakhungi iss baat ka . ( Stretching the word Sir)

Rahil : Wahi accha hoga .

Then Rahil bhaiya saw the tiredness at Karu di's face because she was looking very tired due to continuous travel . Then Karu dii ko jhapki aane lagti hai but she ignored it and Rahil bhaiya notice that too.

Rahil (In mind : Kashu bahut jyada thak gayi hai abhi ghar jaana chahiye . Yeah bhi nind aa rahi hai toh bol de naa ki Sir hum jaa sakte hai par nahi har chiz ignore karni hai . Aayi bhi bike se hai taxi se nahi aa sakti thi itni door koi bike se aata hai kya ek paisa khud par nahi kharchti hai humesha dusron par kharchegi arre thoda bahut kharcha toh khud par bhi karna chaiye kudh kama rahi hai toh kamayi ka thoda fayda khud ke liye nahi uta sakti yeah .. )

Then again Karu di ko nind ki jhapki aati hai but woh phirse ignore kar deti hai aur Rahil bhaiya phirse yeah notice karte hai .

Rahil ( In mind : Khud toh kuch karegi nhi mujhe hi kuch karna hoga )

Rahil : Sir agar aapki permission ho toh abb hum chale because yeah sab thake hue aaye hai toh thoda rest bhi kar lenge .

Commissioner : Thik hai aap sab abhi jaa sakte hai agar kuch important hua toh I will call you again .

Ek Veer Ki Ardaash Veera .Where stories live. Discover now