Two days later, Isha and Ishaan finally leaves kasauli leaving a heartbroken Shantanu behind.
It was a hectic day for Isha. She did all the pending works in college and had five lectures. She came home and sat on the sofa. Amma came in and sat beside her.— To tu mujhse saab chupayi!
Isha looked towards her and frowned.
— Kya?
— Tera or Atul ka sach, Shantanu naam ke ladke ki baat.
Isha got tensed and asked,
— Apko kisne bataya?
— Atul ne. Dekh beta tu...
In the mean time, some women came and knocked the door. Isha opened the door.
— Isha, amma ko bhejo na, mujhe pota hua hai zara nazar utar degi!
Isha nodded her head and Amma went witht he women.
Isha was super angry on Atul. As soon as Atul came home, she questioned...— Apne saab bata diya Amma ko?
Atul nodded, then said,
— Ha.
— Kyu bataya! Whyyy?
Isha screamed. Atul said,
— Dhire dhire plz. Unko waise bhi shaq tha. Aap apne kaamre mein kisiko ghusne nahi deti hai, wajah pucha tha unhone. Isiliye...
— Isiliye apne saab bata diya. Aap itne careless kaise ho sakte hai Atul? Shantanu ka izzat, meri izzat, uska zindagi saab iss ek jhooth pe tika hai. Aap saab jaan ke bhi...
— Isha ji, you have to understand. Kitne din aise rehenge. Sat saal or puri zindagi same nahi hai. Ajj bhi Akka Saheb call karti hai apko blackmail karne ke liye... Mein khud police hu, phir bhi aap ki wajah se maine saab chupchap kiya hai. But, aise kitne din?
— Apko azadi chahiye thi to bol sakte the na!
— Isha Ji... Kya bol rahi hai aap?
— Sahi bol rahi hu. Maine apko clearly kaha tha ki apko azadi chahiye hogi to aap batana, mein divorce ki baat bolke yeha se chali jaungi...
— Isha ji, aisa kuch bhi nahi hai. Aap meri aadat ban gayi hai, abb mujhe problem nahi hota. But...
— Ek second. Aadat ho gayi hai matlab? Kuch samjhi nahi mein.
— Matlab, apke saath rehe rehe ke meri aadat ho gayi hai. Kuch din nahi thi aap, mujhe ghar khali laag raha tha.
— Aadat badliye Atul... Mein zindagi bhar yeha nahi rahungi. Mein das saal yeha rukungi, jiska sat saal beet gaya.
— Isha ji plzz... Meine apko yeha rukne nahi kaha. Mera koi haqq nahi hai apke upar...
— Exactly. Apka koi haq nahi hai meri or Shantanu ki baat kisi bhi or ko bina mujhe bataye bol dene ki. Amma bohot pyaar karti hai humse, I know. But mein Shantanu ke izzat, life ke saath risk nahi le sakti.
— Isha ji, Meri zindagi de di maine aap dono ke liye. Zindagi bhar akele rehene ka socha maine. Aap to Ramtek chodhke chali jayengi, mujhe zindagi bhar ek fake divorce ko leke jeena hoga. Itna haqq to mujhe iss pure incident pe hai!
— Maine aisa kabhi nahi kaha ki aapne kuch nahi kiya. Mein hamesha apki ahesanmand rahungi. But, aapko mere or apke rishte ke sach ke alawah meri kisi bhi cheez mein bolne ki, decision lene ki koi haq nahi hai. Shantanu or mera rishta kyu tuta, kya hua tha saab raz rehega jaab taak mein chahungi. Apne Amma ko bataya, abb aap amma ko batayenge ki woh yeah baat kisiko na bole. Samjhe? And yes, aage se yeah galati nahi honi chahiye.
Isha went inside her room and locked the door.
************************
Shantanu took his last class and was going to the teacher's room when his phone rang. Sriti was calling.— Hello!
— Bhaiya ji. Woh madam ji or Ishaan aaya tha na, to ajj kaamre saaf karne gayi to dekha madam ji apna bracelet vul gayi. Woh call nahi utha rahi, aap to unhe jante hai isiliye...
— Aap rakhiye Sambhal ke, mein jaake collect kar lunga. Or ha, woh ring back kare to bolna matt ki bracelet mila, samjhe?
— Ji Sir ji.
Shantanu hanged up the call and went ahead.
In the evening, he was sitting in his room. He was watching the bracelet carefully. The diamond bracelet had beautiful design which made it more attractive.
— Yeah bracelet mein apne paas rakh raha hu Isha. Kabhi mulaqat hogi to atleast baat karne ka topic mil jayega. Or isse tumhari khusbo bhi aarahi hai. Aise hi guzara kar lunga mein.
******************************
Its a dark room in kasauli. A man was sitting on a chair infront of the computer. The computer was showing the footage of Shantanu watching the bracelet with lover's eye.— Dekh lo Shantanu saab. Zaldi apki zindagi mein toofan aanewala hai. Woh bracelet leke mein jaunga apne jaan ke paas. Or gaana baaje ga, " Hiriye sehera bandh ke mein to aaya re! Haiya, Djoli baarat bhi saath mein me to laya re!"
Bete ne to ma bana hi diya hai jaan ko, baas abb meri biwi ban jaaye. Tera chance to gaya re Shantanu, woh meri ho jayegi!His evil laugh made everything more evil.
_________________________________________
To be continued... ❤️
Do Vote and comment...
With love,
Author ❤️