𝟺

22 6 1
                                    


Words count : 2956 words

___________________________________________

Subah ka waqt,

Apeksh ki neend khuli hi thi ki uski nazar Shanya ke maasoom chehre pe padi. Shanya sote waqt bohot hi pyari Or maasoom lag rahi thi. Apeksh kuch der tak lgataar shanya ko dekhta rha. Aaj ki subah uski zindagi ki sabse sundar subah thi kyunki jisse wo pyaar karta tha wo uski baaho mein duniya se bekhabar hokar so rhi thi. Ye uske liye sabse jyada sukoon ka pal tha.

Apeksh kuch der tak shanya ko nihaarta rha. Fir usee dheere se side mein letaakar fresh hone chala gya lekin shanya abhi bhi aaram se so rahi thi jaise kuch hua hi na ho.

Thodi der baad,

Apeksh ready hokar aaya or usne dekha ki shanya abhi bhi aaram se so rahi hai. Lekin ab uski position ulti sidhi ho gai hai. Usee dekhkar Apeksh uske pass gya or uske forehead par kiss karke bola, "good morning princess".

Ye sunkar shanya smile karne lagi or doosri taraf palatkar so gai. Usee yu aaram se sota dekh Apeksh niche chala gya.

Apeksh ne niche aakar dekha ki hall mein daadi, rohan aur amani baithe hue the. Amani ne jaise hi Apeksh ko dekha to wo pyaar se boli, "beta, tum baitho, main breakfast lga deti hu"

Apeksh Ne Thode gusse Mein Jawab Diya "iski Koi jarurat Nahin Hai, mom..."

Ye kah kar Apeksh Bahar ki or Ja hi raha tha ki tabhi Dadi Boli " Tum Aaj Kahan Ja Rahe Ho Apeksh?"

Apeksh ruk kar Bina palte hi bola, "office"

To Dadi Haie samjhate Hue Boli, "lekin beta Tumhari kal hi shaadi Hui aur aaj Tum office ja rahe ho? abhi to shaadi ki Kai Rasmein Baki Hai".

Iss par Apeksh Ne Palat kar apni Dadi ki taraf Dekhte Hue poochha, "Kaisi rasmein"

Daadi Ne samjhate Hue Kaha, "Bahut Si Rasmein Hoti Hai Shaadi ke baad, to Aaj Shanya ki Muh Dikhai hai"

Ye sunkar Apeksh Ne thoda gusse Mein Jawab Diya, "Shanya ki Muh Dikhai Nahin Hogi, Main Nahin Chahta Shanya ke bare mein kisi ko pata Chale, uske liye yah safe Nahin Hai"

Apeksh ki baat se sehmat Hote Hue Rohan Ne Kaha, "Apeksh Sahi Kah Raha Hai maa, abhi yah sab shanya ke liye Sahi nahin hai, vah abhi bahut Chhoti Hai, usmein Itni samajhdari Bhi Nahin Hai, Ki vah Bahar Ke Logon Ko handle Kar Paye"

To daadi ne bhi Kuchh sochte Hue Kaha, "theek hai agar tum Sab Yahi chahte ho To Yahi theek hai, Nahin Hogi Muh Dikhai, lekin pahli Rasoi ki rasm aur ek Puja karvani Hai vah to kar sakte hain na"

Rohan ne jawab diya, "haa, ye theek rahega"

To daadi boli, " thik hai, lekin hamari nai bahu hau kahan? "

Tabhi daadi ki taraf Aati Hui Samiti Ne hanskar Kaha, "vah? vah to pakka Ghoda Tabela bech ke so rahi Hogi. aur kya kaha aapane? Rasoi ki rasm? shanya acche se Pani garm kar le vah bhi Meherbani Hai"

Apeksh kuch der Tak Sab Ki baten sunane ke bad, fir se upar Apne Kamre Ki Taraf Chala Gaya. usne andar Aakar Dekha To Vahi Hua Jo Samiti Ne Kaha Tha Shanya abhi bhi aaram se Soi hui thi.

Apeksh ne Ek aavaj lagte hue kha, " shanya uth jao, Subah Ho Gai"

To Shanya neend me hi boli, "thodi der aur, please.. "

Apeksh ne fir se zor dete hue kha, "nhi shaan, abhi utho"

Jab Apeksh ne dekha ki shanya abhi bhi nahin uth rahi hai to vah Uske pass gaya aur usne uske upar se chaddar khinch Li.

Devil Hubby (On Hold) Where stories live. Discover now