Arre a gaye aap log, accha chalo ek kahani sunata ho. Har kahani ki tarah is kahani mein koi rajkumar ya Rajkumari nhi hai. Na hi koi Cindrella jaisi khubsurat rajkumari aur na hi prince Charles jaisa koi rajkumar. Ye kahani suru toh inke ghar walo ne ki hai lakin inka milna kismat mein lekha tha.
Chaliye ab hamari baat karte hai, hum hai Mukul Raj Raghuwanshi. Raghuwanshi khandaan ke sabse bada warish. Ye kahani hamari hai aur us ladki ki bhi jo hamare gale ka fanda ban gayi, jab se hum usse mile hai. Unka naam hai Shreya Rudra Pratap. Rudra Pratap khandaan ki choti beti. Unka ek bada bhai hai, jinse hamari acchi dosti hai. Lakin ab wo hamare sirf dost nhi balki Saleji hai.
( Sale stands for brother-in-law)Hamari kahani suru hoti hai, Shanivaar wale us din ja. Jis din ye medam London se India wapas a rahi thi. Inke bhai yani ki Nakul Rudra Pratap us din busy the. Toh hamare Dadaji ne hame inko airport se lane bhaj diya aur yahi hamari sabse badi galti thi.
(Shanivaar means Saturday)Mein in madam ko airport lene gaya. Inki flight thoda deri se ai, isliye mein inka intzaar car mein kr raha tha.
Mein apni duniya mein tha jab mujhe aisa laga ki koi gadi ki peche wali seat pr betha hai. Meine peche dekha toh ek ladki thi aur mein samajh gaya ki ye wahi hai.
"Driver, chalo ghar chalna hai, Arre kya dekh rahe ho kabhi ladki nhi dekhi kya".
" Pehli baat toh ye ki mein driver nhi ho aur dusri baat ki ladkiya toh bohot dekhi hai lakin tum jaise badtameez aaj pehli baar dekh raha ho".
"Ajib insaan ho tumhari shakal acchi nhi hai toh kam se kam baat toh acchi kiya karo".
" Madam konse dekh mein gadi chalane wala itna handsome hota hai".
"Yaha ka nhi pata lakin London mein hote hai aur ek minute tumhe kisne kaha ki tum handsome ho".
Hum baat kar hi rahe the ki Nakul ka phone a gaya aur usne mujhe inko ghar jaldi chordne ke liye kaha. Toh inki bakwas pr dhyan na de kr mein ghar ki taraf nikal pada.Ghar pahunchte hi meri mulakaat Nakul se hui.
"Meri behan ko lane ke liye thank you".
"Thank you bolne ki zarurat nhi hai lakin tumhe pehele batana chahiye tha ki tumhari behan dimag se pagal hai".
"Hahaha toh tumhe bhi ye pata chal hi gaya".
"Bhai aap is driver ke samne mujhe aise kaise bula sakte ho."Excuse me madam, shayad apne mujhe suna nhi, mein koi driver nhi ho".
" Accha, toh driver seat par bethne wale ko kya bolte hai Bawarchi".
"Madam ab aap apni hadd se bahar ja rahi ho, aap mere dost ki choti behan ho isliye jane de raha ho, nhi toh abhi tumhe ek thappad mar kar tumhare is chehre ka naksha badal deta".
"Hey, hey, hey guys stop! Mukul tu yaha se ja, meri behan ki taraf se mein sorry bolta ho yar".
"Ja raha ho lakin apni is behan ko chashma lagao kyuki iski paas ki nazar kamzor hai, kisi ko bhi driver bolti hai".
Mein itna bol kar waha se nikal aya."Akhir ye hai kon?".
"Ye tumhe kal pata chal jayega, abhi ke liye tum jakar fresh ho jao, mom dad aaj ghar jaldi a rahe hai"."Nakul tumne usse bataya tha na ki aaj late nhi hona hai".
" Ha ma, mujhe yaad hai meine usko bataya tha".
"Toh yeh ladki itna time kyu laga rhi hai?, puja ka subh muhrat khatam ho jayega aise".
" Mein a gayi, chalo chalte hai, kya dekh rahe ho aap log, derr ho rahi hai jaldi chalo".
"Derr is ladki ne ki aur hame bol rahi hai, Nakul tumhari behan ka kuch nhi ho sakta".Aaj dono parivaar mandir mein puja karaane aye hai. Mein jis musibat se bachne ki koshish kar raha tha, wo mere samne hi khadi hai. Wo kehte hai na jis chiz se jitna bhagoge, wo utna hi tumhare paas ayegi.
"Tum yaha kya kar rahe ho?, driver ki jagah gadi mein hoti hai".
" Tumse mein kitni baar bol chuka ho, mein driver nhi ho"."Shreya tum yaha, kab ayi London se".
" Ansh! So good to see you after a long time, mein kal hi wapas ayi".
"London jakar toh tum mujhe bhul hi gayi, na koi call na hi koi message".
" Aye tum aisa nhi bol sakte, meine tumhe kitni baar contact kiya lakin tum hi busy the".
"Arre bade bhai, apko papa bula rahe hai".
" Kya kaha tumne, bade bhai?
Mein papa se baat karne chala gaya, behtar yahi hai ki mein is ladki se durr hi raho.
"Tumhara bada bhai kab se paida ho gaya? "
"Hum pehle se hi teen bhai the, tum bade bhaiya se isliye nhi mili kyuki wo bachpan se nani ke yaha rahte the".
" Waise ek baat bolu, tumhara bhai bohot hi badtameez insaan hai".
"Tumhe koi galat fami hui hai, bhai kabhi kisi se badtameezi kar hi nhi sakte".
" Prateek nhi dikh raha, kaha hai wo aaj kal? "
"Uska aaj exam tha toh college mein hai abhi, jald hi a jayega"."A jayega nhi a gaya boliye bhaiya".
" Prateek!"
"Shreya! Tum kab ayi? "
"Jab tum gayab the"
Hum dono ek dusre se baat kar hi rahe the ki kisi ne Prateek ke kaan pakar kar usko apni taraf khicha.
"Bhai bhai bhaiya, please bhaiya kaan chord do dard ho raha hai".
" Dard ho raha hai, mera bas chale toh mein tumhare dono kaan pakad kar tumhe is mandir ki ghanti se latka du".
"Please bhai chord do fir aisa nhi karungi, Nakul bhai please bhaiya ko aamjhao, koi toh bachao mujhe".
" Ab rahne bhi do, tumhara chota bhai hai".
Hum sab baat kar hi rahe the ki gharwalo ne puja mein bethne ke liye bula liya. Sab bohot khush hai, itne din baad hum sab saath aye hai. Shreya aur meri mulakaat pehli baar ho rahi hai. Meine mera zyada bachpan nani ke yaha hi bitaya hai.Puja khatam ho gayi aur hum sab saath mein beithe hai mandir ki sidhi par.
"Guys hum log itne din baad saath ays hai, toh kyu na kuch mazedaar kiya jaye".
" Prateek, Tu shayad bade bhaiya ke haatho se marr kha kar hi manega".
"Teen ghante ka exam bolkar pach ghante mein wapas aya".
" Jo bhaiya mujhe college mein kaam tha".
"Ye college ka kaam midnight club mein kab se hone laga".
" Mukul ab rehne bhi do, kyu usko pareshan kar rahe ho".
"Tu iski side mat le Nakul, ye jo bhi ho raha hai wo teri wajah se hi hai, Tu hamesha isko bacha leta hai".
"Waise Prateek sahi keh raha hai, tum log toh hamesha milte ho, lakin mein toh first time mil rahi ho tum sabse ek saath, toh kyu na kahi ghumne chale".
" Dekho bade bhaiya ab toh Shreya ne bhi bol diya, chalo na kahi chalte hai, please bhaiya".
"Accha thik hai lakin time se ghar wapas a jayenge okay"
"Okay captain! "Hum sab ek gadi mein aur Prateek apni bike par tha, toh hum sab nikal pade beach ki aur. Shaam hone ko hai toh sab chahte the ki sunset dekhne ko mil jaye. Mein ne gadi sunset point par rok di. Sab gadi se bahar a gaye.
Bas ab hame intezaar tha sunset hone ka. Jald hi asmaan suraj ki roshni aur rangon se bhar gaya. Aisa lag raha tha jaise ki asmaan khush ho raha ho. Sab bohot khush the, Ansh aur Nakul drinks aur snacks lekar a gaye. Prateek ek nayi board game lekar aya hai toh hum sab usko khel raha the.Raat hone ko a gayi toh hum sab ghar ki aur nikal pade. Itne din baad sabke saath time spend karke mujhe purane din yaad a gaye. Bachpan kitna accha hota hai, apne maan ke maalik hote hai hum aur bade ho kar hum apna bachpan piche chord dete hai.
YOU ARE READING
Dil Dariya
RomanceYe kahani hai ek aise raja aur rani ki jinka milna ek ittefaq se kaam nhi hai. kon soch sakta hai ki ye dushman ek din pyaar ke bandhan mein bandh jayenge. Mohabbat ke naam pr bhi inko nafrat karne ki adat se thi aur wo ek saath zindagi bitane ki ka...