Akshara discusses the plan and explains virat what is to be done.
Akshu- bas tum itna karo virat. Tum aditya ko phone karoge, aur usey uksao, pretend as if you hate your father, and tumhe kuch bhi kar ke unse ek bar milna hai. Hume papa ko samne lana bahot zaruri hai. Kyunki agar unhe papa ko marna hi hota na toh woh pehele hi maar dete. Mumma ko zinda rakha, papa ko bhi rakha hoga unhone. Bas. Tell him about me As in Akshara karthik goenka ke office mein tum job karte ho. Woh mera name papa ke name ke sath sunte hi they will get tensed. Us tension mein koi na koi toh mistake karenge. Aur ye bolna ki agar tumhe papa se nahi milwaya toh tum papa ki pic news mein de doge. Tab toh news sun ke papa ko aana hi padega.
Virat- but di, isse main...
Vansh- virat isse unhe do taraf se threat hoga ek toh tum jo apne papa se milne ki zidd kar rahe hoge, dusri akshu ki kahin unka raaz na khul jayega. Hume unhe harane ke liye we have surround them completely unhe kuch aur plan karne ka mauka hi nahi dena hai.
Manish- aur main janta hun aditya ko bahar kaise lana hai. Abhi tak maine kabhi nahi socha tha main karunga. Aditya ki company mein hamare 35% ahare holdings hai. Jo as a revenge kartik ne lia tha jab usne hamare business ko take over karne ki koshish ki thi. Us time naksh aur kartik ne mil ke na hi sirf hamara business bachaya tha balki uske business mein holding bhi le li ghi. Lekin uske parents ka soch ka humne usey kabhi cheda nahi. Ab time aa gaya hai ki vansh aur kairav woh holdings wapas lele.
Suhasini- tum theek keh rahe ho manish beta. Lekin hume lagta hai in sab ke barey mein hume sabse pehele naitik beta se, naksh se aur vishambhar ji se baat karni chahiye.
Akshu- uska time nahi hai mimi. Aur nanu, mamu, ya fir koi bhi bada aaj tak mujhse bhi nahi mile hai. Mujhse contact krish bhaiya ne rakha. Unhone hi mujhe sare bhai beheno se milwaya. Nanu aur baki sab ke india chodne se leke aaj tak jo kuch bhi hua hai sirf hum bachcho ko pata hai. Isiliye abhi hum unhe kuch nahi bata sakte.
Vansh- akshu theek keh rahi hai mimi. Mumma ke jaane ke baad nanu ko major heart attack aaya tha yaad hai. Abhi hum unhe achanak se kuch bhi shocking news na de toh achcha rahega.
Kairav- lekin hum krish bhaiya se toh baat kar sakte hai na. Pranav bhaiya aur gaurav bhaiya se bhi.
Akshu- theek hai main unhe bata dungi. Aur bade papa aap kal hi apne shares withdraw kar lijiye.
Step 1:- professional attack
Vansh- step 2:- virat ka attack
Kairav- step 3:- kartik goenka naam hi kaafi hai unhe darane ke liye
Akshu- bade papa ye purushottam zaveri ka kya scene hai. Mumma ki diary mein sirf inka naam mentioned tha, ki kaise mumma papa ne ek aur problem solve kia.
Elders get shocked listening this name after such a long time.
Suhasini- hum batate hai. Purushottam yani hamare chacha ka beta puru. Hamara bhai. Manish aur akhilesh ka mama tha. Bachpan se hi woh aata jaata reheta tha, kittu, kirti, bhi usey puru mama kehene lage. Jab kittu chota tha, toh hamare yahan ek mansi bol ke ladki kaam karti thi. Puru ne uske sath galat bartav kia tha, jab mansi hume batane aayi tab humne usey paise de ke uska muh band kar dia, aur puru ko america wapas bhej dia. Naira ke aane ke pehele hum bahot zada orthodox the, reputation, image, paise ye sab ko bahot zada importance dete the. Hum nahi chahte the ki yeh baat police tak jati aur hamare khandaan ka naam kharab hota. Aur hamare bure samay mein puru ne hamare business mein bahot paise lagaye the jo usne kabhi wapas nahi manga. Kayi salon baad, jab shubham ki maut ke do saal baad kittu naira ki fir se shaadi hogayi, puru apni beti ke sath yahan aaya tha. Uski gandi nazar naira pe pad gayi thi. Naira ne pehele toh bahot ignore kia, lekin teej ke function ke din hume puru ko galat iradon se naira ko chute dekh lia tha. Humne usey warn bhi kia lekin hume nahi pata tha us samay hamari sari baatein naira ne sun li thi. Usne hume confeont kia, aur fir woh gusse mein wahan se chali gayi. Hume laga tha humne puru ko warn kar dia toh woh maan jayega. Lekin aisa nahi hua. Ek hafte baad samarth ki shaadi wale din jab sab log niche the puru naira ke piche uske kamre tak pahuch gaya, darwaza andar se band kar lia. Woh toh bhagwan ki kripa thi kuch anhone se pehele hi kartik ko ehsas ho gaya aur woh naira ko dhundhte hue apne room tak chala gaya. Wahan usne bahar se puru ki shari ghinauni baatein sun li. Bas fir kya tha usne aur naira ne mil ke pure parivar ke samne uska sach le aaye. Usey jail bhijwa dia.
YOU ARE READING
Yeh Rishtaa Kya Kehlata Hai 3.0- Reprise
FanficA tale of unconditional love, empathy, understanding, and trust which makes two broken imperfect people, perfect! A tale of jealousy, betrayal, ego which makes two sisters enemy of each other. A tale od untold truths, hidden relations, and undermin...