PAHELI ( PART - 2)

177 22 27
                                    

Ravi froze at his place after seeing the picture.

Ravi : Eh... Eh toh main hu.... Par kaise?

Dev : Sach mein kuch garbar hain Ravi. Teri aur Roshni ki tasveer ehape kaise? Mujhe lagta hain hume ehase nikal na chahiye...

Ravi : Nahi mujhe bohot sare sawalon ke jawab lene hain aur jawab Roshni degi...

Ravi went down the hall and started shouting

Ravi : Roshni...Roshni...Kaha ho tum bahar aao

Roshni came down in a rush.

Roshni : Kya huya cheekh kyun rahe ho?

Ravi : Woh study mein woh tasveer kiski hain? Main kyun hu uss tasveer main?

Roshni : Woh study ki tasveer... Woh toh iss ghar ke pichle Malik ki aur unki biwi ki hain. Unlogo ne eh ghar bad mein hume bech diya.

Dev : Par tum aur Ravi uss tasveer mein kyu ho?

Roshni : Mujhe kaise pata hoga? Eh tasveer 25 saal purani hain. Iss ghar ke pichle Malik, umm kya nam tha unkaa!!!!

Roshni tried to think of their names...

Ravi : Anirudh Roychoudhary...

Roshni : Ha Anirudh Roychowdhury aur unki biwi Bondita Roychowdhury ki.

Ravi : Bondita....

Roshni looked at him, with the same eyes he saw for years in his dreams. Ravi held Roshni's hand and pulled her closer...

Ravi : Tumhe sab pata hain mere saath esab kyun hota hain? Kyun har roj main tumhara chehra dekhta hu sapno mein? Kyun?

Dev came to separate Ravi from Roshni but Ravi pushed him...

Dev : Kya kar raha hai tu...

Roshni smirked at Ravi and replied...

Roshni : Ek kahani sunoge?

Ravi : Paheliyan mat bujhao Roshni, jawab do..

Roshni : Ya toh kahani suno barna chale jao iss ghar se. Phir kabhi tumhe apne sawal ke jawab nahi milega Ravi...

Ravi took a deep breath and replied...

Ravi : Bolo ...

Roshni : Toh suno eh kahani hain Bondita ki... Bondita bas 12 saal ki thi jab uski shaadi London returned Barrister Anirudh Roychoudhary se huyi. Anirudh ne bondita ko sati hone se bachane ke liye shaadi ki thi, pure samaj se ladke.

Dev : Phir?

Roshni smiled at Dev and continued...

Roshni : Phir anirudh poore duniya se lada bondita ko padhaya, par usne galti bhi ki, usne bondita ko sahi rashte pe lane ke liye dusri shaadi bhi ki thi, ek Krantikari se...

Dev : Dusri shaadi karke kaun sahi rah pe kisiko la sakta hain? Bakwas...

Roshni : Issi liye hi toh galti kaha...

Dev : Phir kya huya?

Roshni : Phir woh krantikari apni muhim ko pura karte huye Mari gayi. Bondita ne maaf kar diye apne pati ko. Par kismat ko kuch or hi manjoor tha. Anirudh ne child marriage annulment ki arzi ki thi aur woh pass ho gaya. Toh unki shaadi Tut gayi.

Dev : Kya phir woh dono alag ho gaye?

Roshni : Nahi... Duniya mein itni takat nahi tha ke unhe alag kare. Par koshish bohot huyi thi. Bondita ki thakuma uski dusri shaadi karwana chahti thi par bondita ko padna tha. Issi liye Anirudh Bondita ko bhagake London le gaya. Bondita London me hi reh gayi apni padhai puri karne ke liye aur Anirudh laut gaya. Bondita 8 saal bad apni padhai khatam karke phirse apne desh lauti. Dil mein umeed aur ankhon mein apne Patibabu ke liye pyaar leke. Par kismat ne usse phir dhoka de diya. Bondita jab lauti usse pata chala sab kuch badal chuka hain, eha tak ushke Patibabu bhi. Dusmani ne sab kuch badal diya...

BARRISTER BABU : THE IMAGINATION (OS/SS)Where stories live. Discover now