Episode 3

384 12 8
                                    

SALMAN'S POV

"Hey! Good Noon Mate..."
"Yasir tum ? Yahan ? Everything okay naa ?" Yasir ko apnay apartmnent main dekh kr thori hairat hoi mujhe..
"Sab theek hai. Tum theek ho naa ?
Time dekho kiya ho raha hai. Office nahi aye aur meri ek bhi call receive nahi ki. What happened man ?"
"Mujhe kiya hona hai ? bilkul theek tu hoon Time kiya hoa hai ?" Mene hairat se pocha..
" 2 baj rahay hain bhai "
"What ?"
"Yes!"
"Itni dair kesay soya reh gaya main Office k liye late ho gaya aj tu" Mujhe khud par sach mai hairat hoi kay mai tu hamesha time par office jata hoon yeh kessay possible hai kay alarm baja ho aur mai utha naa hoon.. ALLAH aaj tu Boss barasne wala hai mere par..
"5 min bss.. Abhi tyaar ho kr ata hoon tum nichay wait kro mera" Yasir ko yeh keh kr mai tyaar hone lg gaya..
10 min baad mai yasir kay sath apartment se nikla aur woh mujhe essay dekh raha tha jesse mai koi alien hoon..
"Kiya hai ? Essay kyun dekh rahay ?" Mene chirte hoye bola..
"Salman Sahab ko dekh raha hoon aj thore badle hoye mizaaj lg rahay hain. Khair tu hai naa ? Yasir tu mazaak kay mood mai tha aur mujhe uljhan ho rahi thi.. Mai usse raat wali baat btana nahi chahta tha tu nazre sarak ki traf kar li.. Ignore kiya mene usse par mai janta tha iske questions kabhi bhi shuru ho sakte hain..
"Boss ne bohat ghussay main hoon ge naa aj meeting thi aur main nahi pohancha "
Mene Yasir se pocha..
"Array nahi yarr Boss aj aye hi nahi unki wife ki tabiyat ni theek. Aur tum tu jante ho jab boss ki beghum bemaar hoon us din koi meeting nahi hoti.. tum lucky ho wesse."
Yasir ne akhri jumla haste hoye bola..
Aur jawab mai main bhi muskura diya..
Yeh tu mai bhi nahi janta kay mai lucky hoon yaa unlucky.. Meri qismat mai kiya likha hai aur abb yeh mujhe kahan le kar janay wali hai mujhe koi khabar nahi hai..

*******************

AYESHAH'S POV

"Hurry up ladies.. Hamay sab kuch aj he krna hai aur koi garbar nahi honi chahiye.."
Aj mere bhai ki shadi hai aur mujhe sab kuch perfect chahiye.. Kab se wait kr rahi thi is din ka.. Finally bhai ko koi larki pasand a he gai..
"Ayeshah tum aj kiya pehan rahi ho ?"
Maidah ne pocha..
" Surprise hai yeh tu "
Yeh keh kr mai wahan se muskurate hoye Amma kay pass chali gai..
Meri Mama ki death kay baad Amma ne he mujhe sambhala tha.. Amma meri Tayi thi aur Maidah unhi ki sab se choti beti thi.. 3 bhaiyoo aur 2 behno se choti thi woh aur ladli bhi.. Usse acha nahi lgta tha Amma ka mujhe pyaar krna.. Pata nahi konsi insecurities thi usse.. Mere se saal choti thi. Woh aj sab se alag nazar ana chahti thi issi liye aj subha se 100 baar poch chuki thi k mai kiya pehan rahi hoon aur mai usse naa bata kay tang kr rahi thi.. "Yaar Maidah ka dress tum se zyada expensive hai aur bohat khoobsurat hai par phir bhi jab tak tumhara dress nahi dekh le gi chain se nahi bethe gi yeh larki.."
Asma baji ne Maidah ko dekhte hoye kaha..
"Hahaha.. janti hoon main baji aur isse tang krne mai maza a raha aj "
Maine haste hoye kaha..
"Chalo tum Amma se poch lo kay koi kaam tu nahi hai mai zara bachu ko dekh loon "
Asma baji yeh keh kr chali gai aur mai Amma se kaam pochne lag gai..
"Chalo larkiyoo Mehandi ki thaal le ao aur phir rasamay shuru krain hum "
Amma ki awaaz par sab uth gai.. Bhai kay dostoo ne unhay stage pr bithaya aur maine mehandi ki thaal samne table pr sajaa di.. Bhai aj kitne khush lg rahay hain naa.. Mai bhi tu aj bohat khush hoon.. Par phir bhi essa lg raha kay mai khush nahi hoon.. "Ahh! Mama kash aap aj hamaray sath hoti.. tu yeh khushi itni adhori naa lgti.."
Mujhe sb se alag kharay dekh kar bhai ne mujhe isharay se apne pass bulaya.. Woh jante thay kay mai kyun udaas ho rahi hoon. Bhai esse he hote hain shayad apke bolne se pehle he sab samajh janay walay.. Yeh Rishtay kitnay achay hote hain naa..
Bin mangay rishtay.. :)
"Aj tu koi bohat haseen lg raha hai"
Bhai bolay.
"Bhabi sach mai bohat pyaari lg rahi hain"
Mene bhabi ki traf muskurate hoye dekha..
"Mai apni behan ki baat kr raha hoon. Aur yeh lehnga bohat acha lag raha hai tum par Ayeshah. Mama hoti tu nazar utarti tumhari..Tum hamesha Mama ka yeh Lehnga pehan kar kehti thi kay yeh tumhara hai aur dekho aj yeh tumhara he hai "
Bhai bohat ghoor se mujhe dekh rahay the mai nahi chahti thi kay aj kay din woh udaas hoon tu bhai ka aur bhabi ka hath pakar kar dance floor par le ai..
Shadi kay saray functions bohat achay ho gaye aur Hadia bhabi hamaray ghar a gai.. Woh sach mai bohat achi thin. Akhir mere bhai ki pasand hai achi kyun naa hoti.
"Tum job kab se start kar rahi ho ? "
Chaye peetay hoye bhai ne mere se pocha..
"Beta choro yeh job wagera ka chakar.. Tum iske liye koi larka dhondo aur isko bhi rukhsat krain ab. Betian apne ghar he achi lgti hain"
Amma ne meri jagah jawab diya aur mai Bhai ko ghoorne lg gai..kitni baar mana kiya kay Amma kay samne job ka zikar naa krain par bhai ko tu bahana chahiye hota mujhe tang krne ka..
"Amma kitni baar bola kay mujhe abhi shadi nahi karni "
Maine Amma ko dekhte hoye kaha..
"Beta shadi nahi tu mangni he kra lo.. Meri nazar mai bohat acha rishta hai "
Amma ne khushi se btaya..
"Ek mangni ka haal dekh chuki hoon Amma aab dobara uss waqt se guzarna nahi chahti. Aap mujhe thora time de dain please.. "
Yeh bool kar mai wahan se uth kr ander chali gai..
In baro kay liye Shadi itni important kyun hoti hai.. Kyun har baar mera acha bhala mood kharab kar dete hain.. Nahi acha lgta apni shadi ka topic. Kitni baar bola hai par yahan koi samajhta he nahi hai.. "Mama aap ko hona chahiye tha mere pass"

Please comment.. ;-)

Bin mangi MuhabbatМесто, где живут истории. Откройте их для себя