Episode 4

251 14 2
                                    

SALMAN'S POV

"I... I... I like you." Roma said.

"So?" Yeh achanak Roma ko kiya ho gaya. Mujhe hairat hoi..

"So.. Nothing.. Leave it" She said.

"Chalo phir kl milte hain. ALLAH HAFIZ"
Mene Roma ko Office mai he apne cabin mai choor diya aur wahan se bahir nikal aya. Mai janta tha kay woh mujhe pasand krti hai. Yasir bohat baar mujhe bata chuka tha aur woh chahta tha kay mai Roma kay sath relation mai a jaon..
Itna easy nahi hota kissi ko bhulana aur uski jagah kisi aur ko dena.. Aur USKI jagah tu kabhi kissi ko mil he nahi sakti.. Ah.. Abb tu shayad kabhi bhi naa milay woh.

"Hello yasir." Apne apartment mai pohanch kr sab se pehle mene yasir ko call ki..

"Haan bool. Khair tu hai naa ?" Yasir ne kaha.

"Roma ai thi aj mere Cabin mai" Mujhe kahin naa kahin lag raha tha kay uske ane kay pichay yasir ho sakta hai.

"Phir Han bol di tune? Huh."  Yasir said.

"Matlab tum ne he usse bheja tha naa. Janta tha main.."  Yeh keh kr mene call end kr di.. Mujhe samajh nahi ati log mere mamlay mai itna interfere kyun krte hain.. Yasir kay pass koi aur kaam nahi hai kiya.. Awein Roma ko bhi koi jhooti umeed dilai honi isne. Yeh kabhi nahi sudharne wala..

"Ammi aap kl a rahi hain phir lahore?"
Yasir se baat krne kay baad mene Ammi ko call ki..

"Haan In Sha ALLAH kl a jaon gi. Tumhare Abbu ko tu doctor ne safar se mana kiya hai tu mai Babar kay sath a jaon gi. Tum kl ghar pr ho ge naa ?"
Ammi ne kaha.

"G kl office se off hai mai a jaon ga aap logo ko lene. Aap bss jaldi se a jaye." Pata nahi kyun par mai Ammi ko bohat miss kr raha tha. Ek wohi tu hain jo mujhe samajhti hain. Maa shayad hoti he essi hain apni aulad ka har dukh har dard baghair kahay samajhne wali. Unhay tu kabhi kuch batana bhi nahi parta..

"Salman tum theek ho naa?" Ammi ne pocha.

"G theek Hoon Main.. Bilkul theek Hoon.. Aap preshan naa hoon."
Phir unhay ALLAH HAFIZ Bool kr men phone rakh Diya.. Aab mujhe Market jana tha kuch saman lene.
Tu socha abhi nikal jata hoon ghar se wesse bhi akele ghar beth kar bhi tu kuch nahi karna.  

"Baaz nahi ao ge naa tum. Huh.
Bss ek he chocolate le kar doon gi baki sab rakho side pr chalo shabash"

Yeh awaaz tu... Haan yeh tu ussi ki awaaz hai. Mai uski awaaz pehchan'ne mai dhoka nahi kha sakta.  Kabhi bhi nahi.

"Pehle he bohat dair ho gai hai chalo jaldi kro aab niklain yahan se"

Meri traf dekhe baghair woh departmental store se bahir nikl gai. Aur mai usse bss jatay hoye he dekhta raha.  Mai chahta tha usse awaaz doo.. Rook loon usse. Yaa yeh waqt ruk jaye bss ek pal ko. Pr meri awaaz mera sath he ni de rahi thi. Essa lg raha tha kay meri awaaz kahin kho gai ho. 

"May I help you, sir "
Salesgirl ki awaaz par mai chonka..

"Hmm... Nahi ... thanks."
Meri nazrain abhi bhi ussi ko dhond rahi thi par woh ab phir kahin kho gai thi..

"Ayeshah married hai? But...."

                  ***************

SALMAN'S POV

"Ammi apka safar kesa raha?" Ammi aur Babar ko airport se le kar mai apne apartment le aya..

"It was awlla bhai" Babar ne khushi se btaya..

"Good" Mene bhi muskurate hoye jawab diya. 

"Mene jab tumhay kaha tha kay hum train se a jaye ge tu tum ne itni fazool kharchi kyun ki? Kuch bacha kr rakhna seekho beta kl ko tumhari biwi bhi tumhari jesi he naa mil jaye tumhay." Ammi ne naraz hote hoye kaha.

"Tu biwi pr nahi kroon ga naa kharch apni Ammi pr karoon ga" Maine haste hoye kaha. 

"Kyun ji. Yeh kahan ka insaaf hoa kay Maa pr kharch kro aur beghum pr nahi. Mai tu tumhay essa naa krne doon gi." Ammi ne phir naraz hote hoye kaha.

"App ko tu khush hona chahiye kay mai shadi kay baad bhi apki side pr rahoon ga hamesha.." Mene fakhriya andaaz se kaha..

"Khabardaar meri bahu ko kharch krne se yaa kuch bhi krne se rooka.. Warna tumhari........ "
Ammi ki baat mukammal hone se pehle he Babar bool para "Ammi aap dono tu esse baat kr rahay hain jese bhai ki shadi ho chuki hai. Pehle Bhabi dhond tu lain"
Babar ki baat pr Ammi bhi hasne lag gai. Aur Ammi ki hassi dekh kr mai bhi muskura diya.

"Tumhari Ammi ki hassi kitni pyari hai Salman" Kahin se awaaz ai..

"Salman? Beta Salman kahan kho gaye?"

"G Ammi.  Kahin nahi bss esse he" Mene zabardasti muskurate hoye kaha..

"Aap dono thakay hoon ge fresh ho jaye mai tab tak khana lagata hoon aj mil kr khaye ge." Ammi ki nazro se bachte hoye mai yeh keh kr kitchen ki traf chala gaya.. Ammi aj bhi mera chahra parh leti hain.

"Kiya hoa hai tumhay? Essa lg raha bohat si ratoon se soye nahi" Ammi ne pyaar se mere baloon pr hath pherte hoye pocha..

"Kuch nahi Ammi.. Office kay kamo ki wajah se bohat masroof raha hoon. Bss issi liye.." Mene Ammi ko tasalli dete hoye kaha.

"Bss issi liye?" Ammi ko tasalli nahi hoi.

"Salman Meri ek baat mano gay?" Ammi ne ussi pyaar se pocha.

"Kabhi essa hoa kay apki baat naa mani ho. App bss bataye." Mene Ammi ko kaha. 

"Shadi kar lo aab beta. Bohat hoa intezaar us larki ka. Woh tumhari qismat mai nahi hai.. Agar hoti tu aj tumhare sath hoti. Hum sari zindagi kissi ek kay intezaar mai nahi reh sakte. Waqt sab bhula deta hai. Haan thora waqt chahiye hota hai waqt ko bhi. Mai tumhay abb youn akela nahi dekh sakti.."
Ammi ne ussi muhabbat se mere baloon pr hath pherte hoye kaha. Ammi ki batoon mai janay kiya asar tha kay mai haan keh betha.

"Ammi jesse aap ki marzi"

Par kahin naa kahin mai khud youn Ammi ki baat man'ne pr hairaan tha. Par agar woh restaurant  aur store wala incident naa hoa hota tu shayad abb bhi haan naa bolta. Khud ko tasalli dete hoye socha mene..

"ALLAH ka shukar tum maan gaye. Ek bojh tha jo hat gaya aab. Kl he tumhare abbu ko phone kar kay btati hoon. Dekhna woh bohat khush hoon ge" Ammi ki awaaz mai khushi zahir thi. Aur meri wajah se agar unhay koi khushi milti hai tu yeh bohat sasta sooda hai.

Par iss muhabbat ka kiya kroon jo bin mangi, bin bulaye a gai hai aur aab kissi sorat bhi dil se nikalne ko raazi nahi hai. Aur iss dil ko apna he ghar samajh bethi hai.
Ahhhh...





Please comment.. :)

Bin mangi MuhabbatOnde histórias criam vida. Descubra agora