Hara..

28 4 4
                                    

Hi I don't know this poem is good or not but today m feeling to write something and let my heart speak for few minutes as I usually keep it lock to save it..

Kudrat bhi kisi paheli se kam nahi,

Jab bhi sochte he ki samajdaar ho gaye usi pal hamari nadani ka saboot de deti.

Sochte the hum k is duniya me har chiz adhuri banai gai, jise mukammal kehne k liye ek aur nasf ki zarurat hain.

Jaise shaam ko seher ki.

Jaise wakt ko peher ki.

Jaise raat ko chaand ki.

Jaise nadi ko baandh ki.

Jaise pura karta hain dariya ko katra katra.

Waise hi in ankho ko khush karta hain rang hara.

Patta patta, daali daali ankho ko pura kar jaati hain,

Nam aankho ko bhi muskurahat de jaati hain.

Subha subha jab sabnam ki boonde patiyo se phisalti hain,

Najane kyu meri aankho ko phirse adhura kar jati hain,

Phirse nami de jaati hain,

Najane kyun phirse meri zameen le jaati hain,

Phir samaj gaye naadaani kya thi,
Meri aankho ki zarurat koi aam nahi,

Hariyali to chaaro taraf hain,

Bus tum hi nahi.

@@@@@@@@

So tell me what you think about it..

Ba-bye.....

AARZOO/DESIRESWhere stories live. Discover now