Pal..

41 7 10
                                    

This are some old shayaris I wrote in my teen years, hope you will like it.

Phoolo me rang he to kaate bhi he,
Sache he ye kisse to baate bhi he.
Har pal ye pyaas,
Har pal ye ehsaas,

Har koi jaise koi raaz.

Mushkil meri bas he yahi,
Sab kuch he, kuch bhi nahi....

Ek taraf kaante jo chubhe,
Duji or phool bhi khile,

Ek daali k ye do roop mere khwaabo me mile.

Har dard, har pareshani.
Har chaahat, har khushi,

Mushkil meri bas he yahi,

Sab kuch he, kuch bhi nahi.

♥ Saamna huva jab guzre kal ka aaj se,

Hum huve udaas se,
Woh huve naaraaz se.

Woh soch rahe the anjaam humara,

Hum dar gaye aagaaz se..

Apni hi nazro me nazro ka pher he,

Duje ko kya kehna jab apne hi gair he.

Pyaar ko baandhna sikha nahi humne,

Chaahe mile samundar ya chahe mile zarra.

♥ Aankho me hi ruk sakte to duniya me kabhi pyaar aur aansoo hote nahi,

Pyaar jo hota na aankho me, to duniya me log rote nahi...

♥Kaanch ki gudiya hoti he zindagi, tut jaye to kya hoga,

Aankhe band ho jayegi to sochoge zindagi sach thi ya dhoka..

♥ Kehte he log, Suraj or chaand ka milna nahi ho sakta,

Phir bhi suraj ki roshni se chaand ghar aabaad he,

Suraj k dubne se hi chaand aazaad he.

♥♥♥♥♥

Today got my old dairy so thought to add it in this collection, I know its not to good but just...... thought to add it.

Thank for reading. .
.

Ba-bye...

AARZOO/DESIRESWhere stories live. Discover now